Jahan pujte the Mata Pita ko Bhagwan k saman
Aaj wahin yea rista khokla ho gaya hai
Kehlate aaj bhi who Abhibhavak hai
Par unke prati Dayitav kahin kho gaya hai
Manushay aaj k daur mea itna aage bad chukka hai
Ki na jane kyun who apne aap se dur ho gaya hai
Dhan aur maan sammaan ki doud mea bhagte hue
Apne AAdarsho ko kahin bhul gaya hai
Mohabbat basti thi jahan logo k Dilo mea
Wahin aaj chahat lavz sirf juban tak reh gaya hai
Khilwaad ho raha hai pyar k naam par
Insaan aaj khud apni mohabbat ka dusman hua hai
Bad gaya hai Adharm is jahan mea itna
Dharm ka Nishaan dundala hua hai
Kahin , aatankwaad, lutpaat, durachaar, atyachaar
Kyun koon karaba, Beimaani ka aasra, insaan ka mastisk hua hai
Yea kya ho gaya hai insaan ko yahan
Paripakav hai who Mastisk se par dil se Nisahaaye hua hai
Samay k saath bagte -2, khud apne aap se pichad gaya hai
Samajh wahin hai par Insaniyat ka mulya badal gaya hai........!!
nice buddy
ReplyDelete