Pages

Wednesday, June 13, 2012

Ek kavita har maa ke naam


Ghutno se rengte-rengte,
kab pairon par khada hua,


Teri mamta ki chaav me,
jaane kab mai bada hua,


Kaala-tika, dudh-malaai,
aaj bhi sab-kuch waisa hai,


Mai hi mai hu har jagah,
pyaar ye tera kaisa hai,


Sidhaa-sadha bhola bhaala,
mai hi sabse accha hu,


Kitna bhi hojaau bada,
"Maa..!" mai aaj bhi tera baccha hu....

No comments:

Post a Comment