Sunday, May 22, 2011

Hum 3 Dost....

Jo ghar say door ho gye ham, bahUt majboor ho gye hm
Kabhi tanha se din kate, kabhi chup chup k ro gye hm
Gharon ki yaad fir aai, toh phir faryad bhi kar li,
Mager jo be-sahara h Gharon say bekinara h
Unhe ghar koun deta hai? Ye khatra koun leta hai,

Badi mushkil say eik kamra, jaha koi na rahta tha
Nagar say paar hi paya, bohat bekar Hi paya
Mile do teen hum jaisey mile jitne hi the paisey
Aur apas may ye baten thi , k mil jul k rah lenge
Koi khana banayega, koi jhadoo lagayega
Koi dho lega sab kapde, toh rahlenge sakoon se hm
Magar garmi bhari ratein, tapish or syah snaate
Aur upar say ajab karma, Ghootan aur bebas sa ek pahra
Thakan say choor ho gye hm, sukhon say door ho gye hmm

Bohat jee chahta hai ab, k MAA ko bhej dey Ya Rab
Jo aapni Godh may le le, Hume Thandi Hawa de de
Sula de neendh aisi, k tute phir na eik pal bhi,
Magar kuch bhi nahi hoga, Hme krna hai samjhouta
Koi Dil may bilak le ab, Koi Pahron sulag le ab
Jab aapna kaam kar k hum, paltey hai to ankhein namm

Makaan viraan milta hai, bohat bejaan milta hai
Khushi gumsum si rahti hai, hwa khamosh bahti hai
Bohat mjboor hokar k, bade kamjoor hokar ke
aakhir mai mahine k, Jb apne khoon pasine k
Jo paise jodh lenge ham, gharon ko bhej denge hmm

Aur aapne khat mai likh denge, hum aapna khayal rakhte hai
Badi khushwar ghadiya hai,yahan khushiya he khushiyan hain…..!!!

Written By : "Manish Sharma"

Wednesday, May 18, 2011


Udhta Firtaa Madmast Sare Jahan Mei Main
Geet Gaataa Huwa Us Neele Aasmaan Mei Main
Fikra Hoti Naa Mujhe Duniyaa Kii Nazron Kii Koii
Jeeta Yun Apne Chhote Se Aashiyaan Mei Main
Faasle Miilon Ke Naa Koii Bhi Maayne Rakhte
Ghar Har Shehar Ko Batata Is Jahaan Me Main
Diidaar-E-Yaar Se Hi Sajtaa Yeh Tasavvur Mera
Shab-E-Vasl* Hi Dohraata Apne Bayaan Me Main
Soch Soch Ke Naa Khulte Ye Lab Muskurane Ko
Zindagi Khushi Se Bitataa Har Samaan Mei Main
Dhoondhe Se Naa Dikhtii Koii Maathe Pe Shikan
Laataa Na Be-Adabi Kabhi Apni Zubaan Me Main
Kaash Hota Main Azaad Chhotaa Saa Ekk Panchhii
Udh Udh Mita Deta Faasle Darimiyaan Mei Main

Aaj Main Tanha Behti Yaadon Ke Nakhenon Se
Maazi Ki Raakh Kured Rahi Hoon
Us Aakhri Shaam Ki Yaad Ab Tak
Dilke Kisi Kone Mein Padi Ro Rahi Hai
Jab Mere Sath Saans Lete Hue Aansu
Chilla Chilla Kar Keh Rahe The
Hamein Chhod Kar Mat Jao
Magar
Mere Lab Khamosh The Aur Tum
Mere Aansu Ki Aawaz Sun Nahi Paaye The
Shaam Dhire Dhire
Dhalti Jaa Rahi Thi
Parinde Apne Baseron Ko Laut Rahe The
Aur Tum
Mere Dilka Basera Chhod Kar Jaa Rahe The
Kahin Door
Shayad Bahut Door
Darakht Khamosh Khade The Aur Main
Darakht Ke Kandhe Par Sar Rakh Kar Ro Rahi Thi
Tumne Aakhri Baar
Meri Jaanib Mud Kar Dekha Aur
Tumhari Nigahon Mein Na Jaane Kya Tha Keh
Meri Palkon Pe Thehra Aakhri Aansu
Ek Nokeeli Salakh Ki Maanind
Dil Mein Utar Gaya Tha
Aah…. Wo Shaam
Kitni Andheri Thi
Amavas Ki Raat Se Bhi Zyada Andheri
Magar Na Jaane Kyon
Itna Waqt Beet Jaane Ke Baad
Aaj Maine
Shaam Ki Gulaabi Hatheli Pe Likha
“Meri Bichhdi Koi Shaam
Ek Baar Laut Kar Aao
Main Tumhari Muntazir Hoon

Ek intezaar sa tha ab nazar mein wo bhi nahi
Safar main marne ki fursat thi ghar mein wo bhi nahi
Zara malaal ki zulmat ko talane ke liye
kia khayal the ab to asar mein wo bhi nahi
Jo sang-o-khaar the meri hi gardishon tak the
Main rah-guzar mein nahi rah-guzar mein wo bhi nahi
The chashm-e-baam nazar mein ajab tuloo ke rang
Wo ek nishaat-e-sahar the sahar mein wo bhi nahi
Rahe na kuch bhi magar ye kya kam hai
Jis aagahi ki kami thi hunar mein wo bhi nahi

Kya Kami Dekhi Tumne Apne Deewane Mein, Sare Aam Badnam Kiya Mujhe Zamane Mein.
Jiska Naam Likha Hum Ne Dil Ki Deewaron Mein, Usne Hi Kasar Na Chodi Mujhe Bhulane Mein.
Jo Payal Ki Jhankaren Thi Mere Tarane Mein, Sharab Wahi Khanak Sunati Hai Ab Paimane Mein.

Tuesday, May 17, 2011

Jisne hame chah hum usse chah na sake,
hamne jisko chaha usse hum paa na sake,
ye samjh lo dil tutne ka khel h,
hamne kisi ka toda or khud ka bacha na sake....!!:(
Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat
Wo Shakhs Ke Jis Ko Mera Hona Bhi Nahi Hai
Yeh Ishq-O-Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajab Hai
Paana Bhi Nahi Hai, Usse Khona Bhi Nahi Hai..

Sunday, May 8, 2011

Aankho me arman diya karate hai,
Ham sabki Neend Chura liya karate hai,
Ab jab jab aapki palke Zukengi,
Samaj lena ham aapko yaad kiya karate hai.
kaash wo nagme humein sunaye na hote,
aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,
agar is tarah bhul jaana hi tha,
to itni gehrai se dil mein samaaye na hote..
Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai,
Nigaah kokisi soorat ki pyaas rehti hai,
Tere bina zindagi mein kami toh nahi,
Phir bhi tere bina zindagi udhaas rehti hai
Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Tapan suraj se hoti hai,
Tapana Zameen ko padta hai,
Mohabbat Ankho se hoti hai,
Tadpana dil ko padta hai.
Bhula kar hame wo khush reh payenge
sath mein nahi to mere jane k baad muskuraye ge
Dua Hai Khuda se ki unhe kabhi dard na dena,
Hum to seh gaye par wo toot jayenge!
Tanhai jub muqaddar mein likhi hai,
To kia shikayat apnon aur bayganon se,
Hum mit gaye jin ki chahat main,
Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se.
Lamha Lamha ye waqt gujar jayega
Bas khuch hi ganto baad naya saal ajayega
Isliye Abhi se naye saal ki badhai lelo
Warna Bazi koi aur mar jayega.
Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya,
Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya,
Unko pasand thi roshni,
Aur maine khud ko hi jala diya.
Hathon ki lakiron main kismat hoti hai,
Milna aur bhul jana logo ki fitrat hoti hai,
Bikharta to har koi hai dard me,
Magar gum bhulana ensaan ki jarurat hoti hai..
Bari mudat sey chaha hey tumhain
Bari duaoon sey paya hai tumhain…
Tumhain bhulaaney ka socho b kasey
Kismat ki lakiron se churaya hai tumhain…!!
`
Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log
Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log
Tu Zehr Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi
Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log…
`
Raabton, Rishton Mai Uljhan Thi Bohot
Is Nizam-E-Shehr Mai Rehne Ki Himmat Hi Na Ki
Lafz Yeh Logon Mai Raij Tha “Bohot”
Is Liye Is Shehr Mai Hum Ne Mohabbat Hi Na Ki…
`
Har Taraf Aap Ki Yaad Par Laga Ke Pehra
Jee Kara Kar Ke Betha Tha Ke Mat Yad Aye
Nagahan dil kisi baat par aesa dukha,
Mai Bohot Roya, Mujhe Aap Bohot Yad Aye…
`
Duniya To Hai Kaanton Ka Bichona Pyaare
Tum Hum Se Kabhi Hona Na Judaa Pyaare
Aao Mil Kar Dukh Ke Lamhe Kaaten
Ik Jashn Hai Sath Sath Rona Pyaare…
`
Rota Hun To Ahbaab Bura Maante Hain
Hansta Hun To Mujrim Mujhe Gardante Hain
Har Haal Mai Aetiraaz Karne Waale
Nadaan Mere Halaat Kahan Jaante Hain…
`
Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat
Wo Shakhs Ke Jis Ko Mera Hona Bhi Nahi Hai
Yeh Ishq-O-Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajab Hai
Paana Bhi Nahi Hai, Usse Khona Bhi Nahi Hai..
`
Dekhte Hain Aaj Hum Us Raah Ki Weeraaniyan
Yaaron Ke Sang Kaati Jahan Hum Ne Zindaganiyan
Guzar Gaya Wo Daur, Bichar Gaye Sab Dost
Sath Reh Gaen To Un Lamhon Ki Kahaniyaan..
`
Kisi Ki Dhun, Kisi Ke Gumaan Mai Rehte Hain
Hum Ek Khuwab Ki Surat Jahan Mai Rehte Hain
Ghamon Ki Dhoop Se Darte Nahi Hain Wo Amjad
Kisi Nigaah Ke Jo Saiybaan Mai Rehte Hain..
`
Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati Hai
Ahsaas Ki Lo Aur Bhi Barh Jaati Hai
Mai Barhta Hun Zindagi Ki Janib Lekin
Zanjeer Si Paon Mai Chanak Jaati Hai..

Gar Mere Bas Me Hota

Apna Use Banana Gar Mere Bas Me Hota
Lout Ata Lout Aana Gar Mere Bas Me Hota
Ankhon Me Unki Jata Surat Badal Badal Kar
Khawabon Me Aana Jana Gar Mere Bas Me Hota
Chahere Ko Muskrahat Ko Mai Sajaye Rakhta
Aye Yaar Muskrana Gar Mere Bas Me Hota
Duniya Se Khatam Karke Rakh Deta Ranj O Gham Ko
Pyar muhabbat Milana Gar Mere Bas Me Hota
Qadmon Me Unke Lakar Taare Bekhair Deta
Taaron Ko Tod Lana Gar Mere Bas Me Hota
Lata Na Naam Bhi Mai Us Bewafa Ka Lab Per
ALI Usko Ko Bhulana Gar Mere Bas Me Hota…
Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara dy do,
Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,
Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,
Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,
Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do
Apna Use Banana Gar Mere Bas Me Hota
Lout Ata Lout Aana Gar Mere Bas Me Hota
Ankhon Me Unki Jata Surat Badal Badal Kar
Khawabon Me Aana Jana Gar Mere Bas Me Hota
Chahere Ko Muskrahat Se Mai Sajaye Rakhta Hoon
Aye Yaar Muskrana Gar Mere Bas Me Hota
Duniya Se Qatam Karke Rakh Deta Ranj O Gham Ko
Bazm-e-Tarab Sajana Gar Mere Bas Me Hota
Qadmon Me Unke Lakar Taare Bekhair Deta
Taaron Ko Tod Lana Gar Mere Bas Me Hota
Lata Na Naam Bhi Mai Us Bewafa Ka Lab Per
Shahezad Ko Bhulana Gar Mere Bas Me Hota…
Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi
Manga Khuda se her Waqt, Tere siwa Kuch b nahi
Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe
Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch b nahi
Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar
Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch b nahi
Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak
Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch b nahi
Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga
Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch b nahi
Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hon, Rag-e-Jaan se laakh Qareen Sahi
Hamein Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahein Sahi
Hamein Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi
Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamein Intizaar Qabool hai
Wo Kabi mile, wo kahin mile, wo kabi Sahi, wo kahin Sahi
Na ho Un per jo Mera Bus nahi, k yeh Aashqi hai Hawas nahi
Mai Unhi ka tha, Mai Unhi ka hoon, wo Mere nahi to nahi Sahi
Jo ho Faisla wo sunaye, use Hashar per na Uthaye
Jo kareinge Aap Sitam wahan, wo abi sahi, wo yahin Sahi
Usey dekhne ki jo Loo lagi, to ‘NASEER’ dekh hi leinge Hum
Wo Hazar Aankh se Door ho, wo Hazar Parda-Nasheen Sahi

Azhar Shehzad Sheikh

Mohabbaton mein agar koi rasm o raah nah ho
Sakoon tabaah nah ho, zindagi gunaah nah ho
Kutch aetedaal bhi laazim hai dill lagi key liey
Kissi sey pyaar agar ho to bepanaah nah ho
Iss ehtyaat sey mai terey saath chalta hon
Teri nigaah sey aagey meri nigaah nah ho
Mera wajood hai sachaaion ka aaina
Yeh aour baat keh mera koi gawaah nah ho

Qateel Shifaai

Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Kyun usey Tuu ne bas ek Phool kaha hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Tu jise itni Haseen cheez samajhta hai wo Phool
Sookh jaaye to Nigaahon ko bura lagta hai
Phool ka apna koi rang koi Roop nahi
Uske Jore mai saja ho to Bhala lagta hai
Mera Mehboob to har Waqt Naya hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Mere Mehboob ke Jalwon ka nahi koi Jawaab
Dhoop sa rang hai aur khud hai wo Chha’aoon jesa
Uski Payal mai Barsaat ka Mausam Chhanke
Sar pe Resham ka Dupatta hai Ghata’aon jesa
Wo jahan bhar ke Haseeno se juda hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Mere Mehboob ki Aankhen hain Do Gehri Jheelien
Jin mai khilte hain Mere waaste Chahat ke Kanwal
Unko dekhoon to Mujhe Shayari karni aa jaaye
Aur mai uske lye Gaaon Mohabbat ki Ghazal
Wo Mere Dil ke Dharakne ki sada hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi

Mehdi Hassan

Garmiye hasrat-e-nakaam se jal jaate hain
Hum chiraagon ki tarah shaam se jal jaate hain
Shama jalti hai jis aag mein numayish ke liye
Hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hain
Jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath
jaane kyon log mere naam se jal jaate hain…
Download: Mehdi Hassan Ghazals
Aap ki badd-dua bhi dua bann k lagi,
aapke har gham ne bhi sukoon diya,
hum zinda hai toh yeh jaankar k pyaar se na sahi par,
aapne hume yaad toh kiya…
Hum zindagi se aas kare bhi to kya kare,
Jab tum nahi ho paas, kare bhi to kya kare.
Aansu piye, sharaab piye, zeher bhi to pi liya,
Bujhti nahi hai pyaas, kare bhi to kya kare…
`
Muskurate palko pe sanam chale aate hein,
aap kya jaano kahan se hamare ghum aate hein,
aaj bhi us mod par khade hein,
jaha kisi ne kaha tha ke theron hum abhi aate hein…
`
Thukra ke usne mujhko,
kaha ki muskuraao!
Maine has diya,
aakhir sawal uski khushi ka tha.
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha…
`
Is jahan me mohabbat kash na hoti,
To safar-e-zindagi me mithas na hoti!
Agar milti BEWAFA ko saza-e-maut,
To diwano ki kabre yu udas na hoti!!
Yaadon ki kimat wo kya jaane
Jo khud hi yaadon ko mita baithe hain
Yaadon ki kimat to unse puchoo jo yaadon ke sahare
Jindagi bita diya karte hain.
`
Mausam ki nazakat hai
Hasraton ne pukara hai
Kaise kahen ke kitna miss karte hain
Yeh sms usi yaad ka ek ishara hai.
`
Bohut dur ho mager bahut pass rahty ho…
Aankhon se dur sahi…
Mager dil ka pass rehty ho…
Mujhe bas itna batao …
Kya tum bi mera bina udas rehty ho.
`
Kitne chehre hain is duniya me
Magar humko ek chehra hi nazar aata hai,
Duniya ko hum kya dekhe,
Uski yadon me saara waqt guazar jaata hai……
`
Bhigi raat hai geela chand baadlon me soya hai,
Main bheega hoon , kya baadal koi tum pe bhi aaj roya hai?
Saawan ka hai mausam, baadal hi tum barasne do,
Meri aankhein na yu barsao, ab aa jao.
Lakhon Zakhm khaye hum ne,
Afsoos unhe hum par aitbaar nahi hai,
Kya guzarti hai Dil pe,
Jab tum kehti ho hume tum se Pyaar nahi hai.
`
Zindagi mein hum ne kabhi kuch chaha hi nahi,
Jise chaha usse kabhi paaya hi nahi,
Jise paaya usse yuh kho diya,
Jaise Zindagi mein kabhi koi aaya hi nahi.
`
Ab unki chahat mein yeh naubat aa gayi,
Thandi hawa bhi hume jala gayi,
Kehti hai aap yahan tadapte hi reh gaye,
Mein tumhare sanam ko chuu kar bhi aa gayi.
`
Kissi ki yaadon ne pagal bana rakha hai,
Kahin mar naa jaaun kafan sila rakha hai,
Jalaane se pehle Dil nikal lena,
Kahin woh naa jal jaaye jo Dil mein chupa rakha hai.
`
Aankhon mein aansu aa jaate hai,
Phir bhi labon par hasi rakhni padti hai,
Yeh Mohabbat bhi kya cheez hai yaaron,
Jiss se karo ussi se chupani padti hai…
Kuch sochu to tera khayaal aa jata hai
kuch bolu o tera naam aa jata hai
kab tk chupau dil ki baat
uski har ada pr humko pyar aa jata hai….
Zindagi Kitni Khubsurat hoti,
Agar teri chahat adhoori na hoti,
Kuchh uljhane khuchh majbooriyan hoti beshak,
Magar pyar mein itni dooriyan na hoti…..

Thursday, May 5, 2011

नहीं दे पाऊँगा

ओ कल्पव्रक्ष की सोनजुही..
ओ अमलताश की अमलकली.
धरती के आतप से जलते..
मन पर छाई निर्मल बदली..
मैं तुमको मधुसदगन्ध युक्त संसार नहीं दे पाऊँगा
तुम मुझको करना माफ तुम्हे मैं प्यार नहीं दे पाऊँगा.
तुम कल्पव्रक्ष का फूल और
मैं धरती का अदना गायक
तुम जीवन के उपभोग योग्य
मैं नहीं स्वयं अपने लायक
तुम नहीं अधूरी गजल सुभे
तुम शाम गान सी पावन हो
हिम शिखरों पर सहसा कौंधी
बिजुरी सी तुम मनभावन हो.
इसलिये व्यर्थ शब्दों वाला व्यापार नहीं दे पाऊँगा
तुम मुझको करना माफ तुम्हे मैं प्यार नहीं दे पाऊँगा
तुम जिस शय्या पर शयन करो
वह क्षीर सिन्धु सी पावन हो
जिस आँगन की हो मौलश्री
वह आँगन क्या व्रन्दावन हो
जिन अधरों का चुम्बन पाओ
वे अधर नहीं गंगातट हों
जिसकी छाया बन साथ रहो
वह व्यक्ति नहीं वंशीवट हो
पर मैं वट जैसा सघन छाँह विस्तार नहीं दे पाऊँगा
तुम मुझको करना माफ तुम्हे मैं प्यार नहीं दे पाऊँगा
मै तुमको चाँद सितारों का
सौंपू उपहार भला कैसे
मैं यायावर बंजारा साँधू
सुर श्रंगार भला कैसे
मैन जीवन के प्रश्नों से नाता तोड तुम्हारे साथ सुभे
बारूद बिछी धरती पर कर लूँ
दो पल प्यार भला कैसे
इसलिये विवष हर आँसू को सत्कार नहीं दे पाऊँगा
तुम मुझको करना माफ तुम्हे मैं प्यार नहीं दे पाऊँगा
तुम मुझको करना माफ तुम्हे मैं प्यार नहीं दे पाऊँगा

निमन्त्रण है

तुम अगर नहीं आयीं…गीत गा ना पाऊँगा.
साँस साथ छोडेगी सुर सजा ना पाऊँगा..
तान भावना की है..शब्द शब्द दर्पण है..
बाँसुरी चली आओ..होट का निमन्त्रण है..
तुम बिना हथेली की हर लकीर प्यासी है..
तीर पार कान्हा से दूर राधिका सी है..
दूरियाँ समझती हैं दर्द कैसे सहना है..
आँख लाख चाहे पर होठ को ना कहना है
औषधी चली आओ..चोट का निमन्त्रण है..
बाँसुरी चली आओ होठ का निमन्त्रण है
तुम अलग हुयीं मुझसे साँस की खताओं से
भूख की दलीलों से वक़्त की सजाओं ने..
रात की उदासी को आँसुओं ने झेला है
कुछ गलत ना कर बैठे मन बहुत अकेला है
कंचनी कसौटी को खोट ना निमन्त्रण है
बाँसुरी चली आओ होठ का निमन्त्रण है

तुम्ही को भूलना सबसे ज़रूरी है समझता हूँ

जिसकी धुन पर दुनिया नाचे, दिल एक ऐसा इकतारा है,
जो हमको भी प्यारा है और, जो तुमको भी प्यारा है.
झूम रही है सारी दुनिया, जबकि हमारे गीतों पर,
तब कहती हो प्यार हुआ है, क्या अहसान तुम्हारा है.
जो धरती से अम्बर जोड़े , उसका नाम मोहब्बत है ,
जो शीशे से पत्थर तोड़े , उसका नाम मोहब्बत है ,
कतरा कतरा सागर तक तो ,जाती है हर उमर मगर ,
बहता दरिया वापस मोड़े , उसका नाम मोहब्बत है .
पनाहों में जो आया हो, तो उस पर वार क्या करना ?
जो दिल हारा हुआ हो, उस पे फिर अधिकार क्या करना ?
मुहब्बत का मज़ा तो डूबने की कशमकश में हैं,
जो हो मालूम गहराई, तो दरिया पार क्या करना ?
बस्ती बस्ती घोर उदासी पर्वत पर्वत खालीपन,
मन हीरा बेमोल बिक गया घिस घिस रीता तनचंदन,
इस धरती से उस अम्बर तक दो ही चीज़ गज़ब की है,
एक तो तेरा भोलापन है एक मेरा दीवानापन.
तुम्हारे पास हूँ लेकिन जो दूरी है समझता हूँ,
तुम्हारे बिन मेरी हस्ती अधूरी है समझता हूँ,
तुम्हे मै भूल जाऊँगा ये मुमकिन है नही लेकिन,
तुम्ही को भूलना सबसे ज़रूरी है समझता हूँ
कोई दीवाना कहता है कोई पागल समझता है
मगर धरती की बेचैनी को बस बादल समझता है,मैं तुझसे दूर कैसा हुँ तू मुझसे दूर कैसी है
ये मेरा दिल समझता है या तेरा दिल समझता है !!!
समुँदर पीर का अंदर है लेकिन रो नहीं सकता
ये आसुँ प्यार का मोती है इसको खो नहीं सकता ,
मेरी चाहत को दुल्हन तू बना लेना मगर सुन ले
जो मेरा हो नहीं पाया वो तेरा हो नहीं सकता !!!
मुहब्बत एक एहसानों की पावन सी कहानी है
कभी कबीरा दीवाना था कभी मीरा दीवानी है,
यहाँ सब लोग कहते है मेरी आँखों में आसूँ हैं
जो तू समझे तो मोती है जो न समझे तो पानी है !!!
भ्रमर कोई कुमुदनी पर मचल बैठा तो हँगामा
हमारे दिल में कोई ख्वाब पला बैठा तो हँगामा,
अभी तक डूब कर सुनते थे हम किस्सा मुहब्बत का
मैं किस्से को हक़ीक़त में बदल बैठा तो हँगामा !!!

har aahat par jaan nikal jaati hai FARAZ

yeh public toilet mein darwaza kiyun nhi hota

Is qabar mein bhi humko sukoon ki neend naseeb nhi hui ”Faraz”

Roz farishtey aa k kehte han aaj koi naya shair ho jae.

apnay mehboob ki yaad mein petrol pump par Cigeret kya lagaya "FARAZ"

Mere tu dunia hi badal gai aik damaky k sath!

b to dunyiya walon pe bilkul bharosa nahi karna ”Faraz”

Ek bewafa humko China ka Bakra keh kar Kutta Baich gaya.

meri khushi kay lamhay kis kadar mukhtasar hain faraz

abi mujra shuru hi hoa tha kay chaapa par gaya!!

Un se keh do woh mujhe Pagal na kahein FARAZ!

Ammi kehti hein jo kehta hai wo khud hi hota hai

Mujhe Raat bhar yeh baat sone Nahi deti Faraz

ke Zindagi 4 din ki hai to TEST MATCH 5 din key kio

Kisi ka jhoota peenay say muhabbat barhti hai FARAZ

ye keh kar woh meri ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,sari PEPSI pee gaya

A Cure to Die For: A Medical Thriller 

ek he suf mein kharey ho gaye mehmood o ayaaz

aur dono ki jotiyan ley key bhag gaya FARAZ

yeh keh kar unhoon nay hum say rishta tor diya Faraz

key moung phali mein daana nahin aur hum tumhare nana nahi.

woh mujh say kehtee rahee maan jaoo faraz..

lekin mein kia kerta mein tou hoon ejaaz

mera dost mujhse ye keh kar dur chala gaya FARAZ

k dosti dur ki achi,roti tandoor ki achhi

Mein khud bhi usey bhulana chahta hoon Faraz…

Per Ammi roz subha 7 badam khila deti hein…

Ab to vo Churaa mery pechay le k para hai faraz…

jis se ik bar kaha tha….

Dil cheer k dakh tera he naam hoga

Kabhi kabhi let kar sochta hoon FARAZ

agar beth kar sochoon to kon si qyamat a jaye gi

WO MILA TO KEHTA THA K " PILOT " BNOON GA FARAaz

ZINDAGI KI RANJISHOON NAY USAY JAHAaz BNA DIA

Woh mujhse mairay piyar ka hisaab chahti hai Faraz

jiski khud matric main hisaab ki supply thi

YU Barisho Se Dosti Achhi Nahi "FARAZ",

Ghar Main Paani Bhara To Tera Baap Nikaale Ga Kya

Thori He Dair K liye To Chaarpai Pe Lety Thy Faraz…

Kisi Ullu K Pathay Ne Janaza Parha Diya!

Masoom Muhabbat ka FARAZ

bas itna fasana hai..

Ammi Ghar se Nikalny Nahi Deeti

AUR mujhy DATE pe jana hai

Ab To BeghairTiyan Is Qadar Barh GaYi Hain "Faraz"

Sheir Kisi Aur Ka Hota Hai Aur Naam Mera Thok Dete Hain..!!

Mai washroom mai baitha hoon "FARAZ"

Bijli ajaaye to MOTOR yaad se chala daina

Log mujh say ronay key waja pochtay hain FRaaZ

Lagta hay kabi kisi key ungli darwazay main nahi phansi

Hamari zindagi to andheron mien guzarti hai FARAZ

Wo or log hain jo U.P.S laga lete hain

aaj wo date par boht hans rahi thi FARAZ

Ussk jany k baad pata chala k meri zip khuli thi

इस से पहले कि बेवफा हो जाएँ

इस से पहले कि बेवफा हो जाएँ
क्यूँ न ए दोस्त हम जुदा हो जाएँ,

तू भी हीरे से बन गया पत्थर
हम भी कल जाने क्या से क्या हो जाएँ,

हम भी मजबूरियों का उज़्र करें
फिर कहीं और मुब्तिला हो जाएँ,

अब के गर तू मिले तो हम तुझसे
ऐसे लिपटें तेरी क़बा हो जाएँ,

बंदगी हमने छोड़ दी फ़राज़
क्या करें लोग जब खुदा हो जाएँ.....

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts