Friday, September 20, 2013

Mai tumko pyaar nahi de paaunga

This poem was performed by Ramesh Muskan in a SAB television show "Wah Wah Kya Baat Hai". He is presented as a "Chupa-Rustam" in the episode 3 - that is aired on 29th September 2012.
(Bhumika : Ek sanskaarwaan kisaan ka beta padhne ke liye videsh chala gya, or waha uska prem ek morden ladki se ho gya, jo puri tarah se paschatya rang mai rachi basi thi, kuch dino baad usse laga ki iske saath mera nirvahan nahi ho sakta meri iske saath nahi nibh sakti to usne ladki ko ek patr likha ki mai tumhe pyar nahi de paaunga, or kyo nahi de paaunga saare tark likhe)


O computer yug ki chori - 2, man ki kaali tan ki gori,
kinchit apni baaho ka gal haar nahi de paaunga,
krna mujhko maaf, mai tumko pyar nahi de paaunga,
O computer yug ki chori..

tum fasion model si lagti, mai bhajno waala chennal hu - 2
tum minrol water ki bottal, mai ganga ka pawan jal hu,
tum karo gaadiyon ki maange, mai paanw paanw chalne waala,
tum helojan si jalti ho, mai deepak saa jalne waala,
to chamak-damak waala tumko, sansaar nahi de paaunga,
krna mujhko maaf, mai tumko pyar nahi de paaunga,
O computer yug ki chori..

tum ramp pe deh dikhati ho, mai sanskaar ko jita hu - 2
jab tumhe dekh siti bajti, mai ghut lahu ka pita hu,
tum sada swapn mai jiti ho, mai hu yatharth jine waala,
tum soop hamesha piti ho, mai hu mattha pine waala,
to fast food bhi mai tumko, har baar nahi de paaunga,
krna mujhko maaf, mai tumko pyar nahi de paaunga,
O computer yug ki chori..

tum pop music si bajti, mai bansi ki dhun ka dhuniya - 2
mujhpar dart phone bhi naa, tum par interneti duniya,
tum mobile ke message si, mai postcard likhne waala,
tum teddy bear si lagti, mai gubaara udne waala,
to bhotikwaadi sukh-sadhan, sanchaar nahi de paaunga,
krna mujhko maaf, mai tumko pyar nahi de paaunga,
O computer yug ki chori..

tum dedy ko ab ded kaho, mummy ko mom batati ho - 2
tum karwachauth bhul baithi, day valentine manati ho,
to tumhe tumhaare sapno ka, tyohaar nahi de paaunga,
krna mujhko maaf, mai tumko pyar nahi de paaunga,
O computer yug ki chori..



Ramesh Muskan

Tuktak

This poem was performed by Ramesh Muskan in a SAB television show "Wah Wah Kya Baat Hai". He is presented as a "Chupa-Rustam" in the episode 3 - that is aired on 29th September 2012.


Mohabbat sirf kharcho ki badi lambi kahani hai -2
Kabhi picture dikhani hai kabhi saadi dilani hai,
Master roj kahta hai kaha hai fees ke paise..?
Usse samjhau mai kaise mujhe chori patani hai...

And here is one more : Kisi kamniya kanya ka kahi jo deed ho jaaye -2
ye smbhav hai nahi uss pal sabhi ki eid ho jaaye,
chhura le kr sadak par hai nikalti choriyaan abto,
naa jane kab kaha pe aapki bakrid ho jaaye...


Ramesh Muskan

Buddho ke bhi man mai mayur

This poem was performed by Ramesh Muskan in a SAB television show "Wah Wah Kya Baat Hai". He is presented as a "Chupa-Rustam" in the episode 3 - that is aired on 29th September 2012.

ki barish mai bhegi hui nayika ko dekh kr,
Buddho ke bhi man mai mayur naachne lage,

ki barish mai bhegi hui nayika ko dekh kr,
Buddho ke bhi man mai mayur naachne lage,

Rangne lage wo baal thokne lage hai taal,
Umr ko chupane waala churn faakne lage,
Kurta galfdaar, chatri sirok dhaar, 
ainak se ghur - ghur rup aankne lage,

kintu ek sodh si baala ne jab baba kaha,
chaati matha koot ke bagal jhaakne lage..

Ramesh Muskan

Saturday, August 17, 2013

Majburiyaan - Anjum Rahbar


Majburiyion ke naam par sab chodna pada,
Majburiyion ke naam par sab chodna pada,
Dil todnaa kathin tha magar todna pada,
Dil todnaa kathin tha magar todna pada,
Meri pasand aur thi sab ki pasand aur,
Meri pasand aur thi sab ki pasand aur,
Itni zarasi baat pe garh chodna pada,
Itni zarasi baat pe garh chodna pada,
Dil todnaa kathin tha magar todna pada,

- Anjum Rahbar

Chithiyaan - Anjum Rahbar


Padati rahti hu mai saari chithiyaan,
Padati rahti hu mai saari chithiyaan,
Raat hai or hai tumhaari chithiyaan,
Raat hai or hai tumhaari chithiyaan,

Tum ho mere paas lekin dukh hai ye,
Ab nahi aati tumhaari chithiyaan,
Tum ho mere paas lekin dukh hai ye,
Ab nahi aati tumhaari chithiyaan,

Hum nazar aayenge ek-ek harf(Akshar/Shabd) mai,
Hum nazar aayenge ek-ek harf(Akshar/Shabd) mai,
Jab jalaoge hamari chithiyaan,
Jab jalaoge hamari chithiyaan,

Likh to rakhi hai magar bheji nahi,
Likh to rakhi hai magar bheji nahi,
hai abhi tak wo kunwaari chithiyaan,
hai abhi tak wo kunwaari chithiyaan,

Daante anjum hai mujhko garh ke log,
Daante anjum hai mujhko garh ke log,
sab ne padhli hai tumhari chithiyaan,
sab ne padhli hai tumhari chithiyaan,

- Anjum Rahbar

Sun sun sun deewaane - Anjum Rahbar


Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Dhadkan ke har dwaare par, - 2
Jeewan ke ektaare par,
Saanso ki ye dhun..

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Ye nagri-baazaar, thago ka makkaron ka ghera,
Tera naa mera,
Ye nagri-baazaar, thago ka makkaron ka ghera,
Tera naa mera,
Jaane kab lut jaayega apna rain basera,
Ye jogi feraa,

Duniya ki gahraai mai - 2
Juth mai or sacchai mai,
Apna rasta chun...

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Pet ki paapi khaai ko hamne jeevan bhar hai paata,
Hai geela aataa,
Pet ki paapi khaai ko hamne jeevan bhar hai paata,
Hai geela aataa,
Halwaa, puri, chatni churi,
Aisa naan paraatha, Sabhi mai ghaata,

Pagle pyaar ka meva chakh - 2
Ek taraf sab chije rakh,
Daal namak saabun..

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Ujale-ujale kapdo waale sab hai man ke kaale,
Bade ghotaale,
Ujale-ujale kapdo waale sab hai man ke kaale,
Bade ghotaale,
Hum aansu ke ghut piye or ye madira ke pyaale,
Ye khaddar waale,

Jitne satta dhaari hai - 2
Iss dharti pe bhaari hai,
Sab hai pee ke tunn

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Dhadkan ke har dwaare par,
Jeewan ke ektaare par,
Saanso ki ye dhun..

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

- Anjum Rahbar

Sambhu Shikhar - Ultimate Poyem

Tumhaare saath baithe, time ka kuch use ho jaaye,
Tumhe chaahe ke dekhe dil bahut confuse ho jaaye,
Tumhaare saath baithe, time ka kuch use ho jaaye,
Tumhe chaahe ke dekhe dil bahut confuse ho jaaye,
Hamari har kahani har jagah surkhi mai ho dilbar,
Kabhi hum tum mile aise ki breking news ho jaaye,

Usse dene chala ek roj greeting card ki khushbu,
Nahi pahchaan paaya tha mai bodygaurd ki khushbu,
Usse dene chala ek roj greeting card ki khushbu,
Nahi pahchaan paaya tha mai bodygaurd ki khushbu,
Bahut toda mujhe foda hua mai AIMS mai bharti,
Abhi tak aa rahi jodo se jornal ward ki khushbu,

- Sambhu Shikhar, Mdhubani Bihaar

Friday, August 16, 2013

Sher


Bana kar fakiron ka humbhej gaalib,
Tamasa-a-ahle karam dekhte hai.
- Mirza Gaalib

Kon Kahta hai budhaape mai ishq ka silsila nahi hota,
Are, aam tab tak maja nahi deta jab tak pilpila nahi hota.
- Dr. Asthana


Muhabbat se jab bhi balam dekhte hai,
to satyam nahi sundram dekhte hai..
- Sundar


Hum naa urdu naa hindi mai gazal kahte hai,
Hum naa urdu naa hindi mai gazal kahte hai,
hum to bas aapki boli mai gazal kahte hai,
wo amiri mai gazal kahte hai, kahte honge,
Sacche sayar to fakiri mai gazal kahte hai..
- Unknown

Ishq mai raay bujurgon se nahi li jaati,
Ishq mai raay bujurgon se nahi li jaati,
Ki aag bujhte hue chulho se nahi li jaati..
- Munawwar Rana




Saturday, August 3, 2013

Slow Motion Angreza Lyrics - Bhaag Milkha Bhaag

This is an another superb track by SEL that makes you groove, awesomely sung by Sukhwinder Singh & Loy. Lyrics of this song are penned by Prasoon Joshi.

Song: Slow Motion Angreza
Singers: Sukhwinder Singh, Loy Mendonsa, Shankar Mahadevan
Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist: Prasoon Joshi
Cast: Farhan Akhtar, Sonam Kapoor
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

I just met a girl
And she is from wulu-mulu wulu-mulu wonder
I can dance and she can sing
We can rock the whole night longer (x2)

Wulu-mulu wulu-mulu wonder
Wulu-mulu wulu-mulu (x2)
Sing...!

Wulu-mulu wulu-mulu wonder
Wulu-mulu wulu-mulu (x2)

Hooo...
Dhin dana din din....

Ho slow motion angreza
Hun kyon time ganwaye
Ho slow motion angreza
Hun kyon time ganwaye
Seedhe baahon mein bhar le
Sarsari kyon badhaye
Meri whiskiye, meri tharriye
Tu menu chadh gayi, meri soniye
Roko naa, toko naa
Ho.. mujhko peene do raj ke

Ghul-mill, ghul-mill launda
Ghul-mill, ghul-mill (x2)
Sing....!

Wulu-mulu wulu-mulu wonder
Wulu-mulu wulu-mulu (x2)

Raat badhti jo jaaye
Haath kya kya tatole
Jhooth bole zubaan bhi
Dharm imaan doley... haaye (x2)

Tu jo dariya mein utrey
Saara paani gulabi, haaye!
Ho tu jo dariya mein utrey
Sara paani gulabi
Talli talli ho lehrein
Machhliyan bhi sharabi
Meri whiskiye, meri tharriye
Tu menu chadh gayi, meri soniye
Roko na, toko na
Ho.. mujhko peene de raj ke

Ghul-mill, ghul-mill launda
Ghul-mill, ghul-mill (x2)
Sing...!

Wulu-mulu wulu-mulu wonder
Wulu-mulu wulu-mulu (x2)

Ho kaanch si hai tu naazuk...
Kaanch si hai tu naazuk
Saans lena sambhal ke
Toot jaaye kahin naa
Bas karvat badal ke
(Hooo.. love you lady)

Tujhko meri zarurat
Aa main tujhko utha lu
Tujhko meri zarurat
Aa main tujhko utha lu
Dheere dheere se chalna
Apni aadat bana lu

Meri whiskiye (whiskiye)
Meri tharriye (tharriye)
O menu chadh gayi (chadh gayi)
Meri soniye
Roko naa, toko naa
Ho.. mujhko peene de rajj ke

Ghul-mill, ghul-mill launda
Ghul-mill, ghul-mill (x2)
Gaao!

Wulu-mulu wulu-mulu wonder
Wulu-mulu wulu-mulu (x2)

Wulu-mulu wulu-mulu wonder!
Ghul-mill, ghul-mill.... Launda!

Re Kabira Lyrics from Yeh Jawaani Hai Deewani

The song has two versions, one is sung by Rekha Bhardwaj & Tochi Raina which reminds you of Amit Trivedi's Iktara from Ayaan's previous film, especially Tochi Raina's vocals make you recall Iktara, He is just amazing in this song.
The other version Kabira (Encore) is sung by Arijit Singh & Harshdeep Kaur which is also nice but first one is just awesome! Kabira Lyrics are penned by Amitabh Bhattacharya.
====================================================================
Kabira sung by Rekha Bhardwaj & Tochi Raina :

Kaisi teri khudgarzi
Na dhoop chune na chhaaon
Kaisi teri khudgarzi
Kisi thor tike na paaon (x2)

Ban liya apna paigambar
Tar liya tu saat samandar
Phir bhi sookha mann ke andar
Kyun reh gaya

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera maan jaa
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera maan ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya

Tooti chaarpaai wohi
Thandi purvaai rasta dekhe
Doodhon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe..

Kaisi teri khudgarzi
Lab namak rame na misri
Kaisi teri khudgarzi
Tujhe preet purani bisri..
Mast Maula, mast Kalander
Tu hawa ka ek bavandar
Bujh ke yun andar hi andar
Kyun reh gaya..

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera maan jaa
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera maan ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya...
====================================================================
Kabira (Encore) sung by Arijit Singh & Harshdeep Kaur :

Banno re banno meri chali sasuraal ko
Ankhiyon mein paani de gayi
Duaa mein meethi gud dhaani le gayi (x2)

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera yun na ja
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera yun na ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya

Re Kabira, Re Kabira
Re Fakeera, Re Fakeera... (x2)

Tooti chaarpai wohi thandi purvaai rasta dekhe
Doodhoon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe... (x2)

Ho Doodhoon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe...

Gudiya ri gudiya tera gudda perdesiya
Jodi aasmani ho gayi
Shagun pe dekho shaad maani ho gayi (x2)

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera yun na jaa
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera yun na ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya

Re Kabira, Re Kabira...

Jigra Fakira Lyrics from Aurangzeb

A Sufi song composed by Amartya Rahut, sung by Kerthi Sagathia and these nice lyrics are penned by Manoj Kumar Nath.
Singer: Keerthi Sagathia
Music: Vipin Mishra
Lyrics: Manoj Kumar Nath
Cast: Arjun Kapoor, Rishi Kapoor, Prithviraj, Jackie Shroff, Sasheh Agha

Jigra fakira ho.. 
jigra fakira ho..
Saareyaan de dil di samajh da (x2)

Kamliyan de subbe toh hove Rab sab taa saanjha
Saareyaan de dil di samajhda

Ankhaan de hanju nahi dis de zamaane nu
Khushiyaan de bhaagi saare
Gham vichchon bisre kyun
Sukkhe suraahi vargi si saadi zindagi
Amrit di boondaan vargi hai Rab di aashiqui

Jigra fakira ho...
Jigra fakira ho
Saare aah de dil di samajhda..

Jigra manjira ho
Jigra manjira ho
Harvele yunhi ram da.. o ram da

Jigra fakira ho...
Jigra fakira ho
Saareyaan de dil di samajhda..

Jag saara vekhyaan milla
Dil nu nahi sukoon
Rishtaan de dhaage kachche
Rab ne banaaye kyun
Saare jahaan ko sacchi
Rab di hai bandagi
Kho jaa tu paa jaayega
Saddi vargi har khushi

Jigra fakira ho
Jigra fakira ho
Saareyaan de dil di samajhda (x2)

Kamliyan de subbe toh hove Rab sab taa saanjha
Saareyaan de dil di samajhda

Jigra fakira ho
Jigra fakira ho
Saareyaan de dil di samajhda

--------------English Translation----------------------

Jigra fakira ho
Heart is a deep thinker 

Jigra fakira ho
Heart is a deep thinker 

Saare aah de dil di samajhna
All the pain tears of soul  heart understands them

Aankhaan de anju  nahi Dis de zamaane nu
For this world,  there are no tears in my eyes 

Khushiyaan de bhaggi saari
To share happiness everyone is there 

Gham vichchon bisre kyun
But in times of sadness grief no one is there 

Sukkhe suraahi vargi Si saddi zindagi
My life was like  dry vessel pot 

Amrit ki boondaan bhar ki Hai Rab di aashiqui
From sky few raindrops started to fell, it is one of way  of God to show his love

Jigra fakira ho
Heart is a deep thinker 

Jigra fakira ho
Heart is a deep thinker 

Saare aah de dil di samajhna
All the pain tears of soul  heart understands them

Jigra manjeera ho
Heart is like a simple instrument cymbals

Jigra manjeera ho
Heart is like a simple instrument cymbals 

Saare aah de dil di samajhna
All the pain tears of soul  heart understands them

Jag saara dekhyaan milla Dil nu nahi sukoon
I saw whole world but still heart is restless

Rishtaan de dhaage kachche Rab ne banaaye kyun
Why god made threads of relationship weak 

Saare jahaan to sachchi Rab di hai bandigi
In this whole world, devotion to god is only true thing 

Khoja to paa jaayega Saddi vargi har khushi
If  you want to get all the happiness in this world just get lost in it get fully devoted to it

Jigra fakira ho
Heart is a deep thinker 

Jigra fakira ho
Heart is a deep thinker 

Saare aah de dil di samajhna
All the pain tears of soul  heart understands them

Jigra fakira ho
Heart is a deep thinker 

Jigra fakira ho
Heart is a deep thinker 

Saare aah de dil di samajhna
All the pain tears of soul  heart understands them

Meaning of words –

1.  Fakira - Thinker, Great Poet Kabir was a fakira 

2.  Amrit – Amrit is a drink which makes one immortal, he escapes from death forever , sometimes  for raindrops also word Amrit is used

3.   Manjïrà or manjeera - The manjïrà (manjeera) is a traditional percussion instrument of India. In its simplest form, it is a pair of small hand cymbals Manjeera is a small metal Instrument Manjira has a significant importance in Gujarati and Marathi folk music, in Maharashtra it is known as Taal  Initially Manjira were played in Aarti of God and Goddess. In Gujarat and Maharashtra, Manjeera has a significant importance and played in Bhajan, Santvani and Dayro.

Thursday, July 25, 2013

Saathiya Saathiya - Sonu nigam

Music : A.R Rehman
Lyrics : Gulzar
Singers : Sonu Nigam

A very famous song which is sung by Sonu Nigam in the film saathiya, the most interesting part is that this song have a very critical ups and downs in the rhythm all three paras gives different filling then other. This song is written by Gulzar Sahab and he had given his one of the best lyrics for this song.


Saathiya, saathiya
Maddham maddham teri geeli hansi,

Saathiya, saathiya
Sunke humne saari pee li hansi,


(Hansti rahe tu hansti rahe
Haya ki laali khilti rahe
Zulf ke neeche gardan pe
Subah-o-shaam milti rahe) - 2

Saundi si hansi teri khilti rahe milti rahe
Peeli dhoop pehenke tum dekho baag mein mat jaana
Bhanwre tumko sab chhedenge, phoolon mein mat jaana
Maddham maddham hans de phir se
Sona sona phir se hans de


Taaza gire patte ki tarah sabz-e-laan par lete hue
Saat rang hai bahaaron ke, ek ada mein lapete hue
Saawan bhaadon saare tumse
Mausam mausam hanste rehna
Maddham maddham hanste rehna


Saathiya, saathiya
Maddham maddham teri geeli hansi
Saathiya, saathiya
Sunke humne saari pee li hansi


Kabhi neele aasmaan pe, chalo ghoomne chale hum
Koi abr mil gaya to zameen pe baras le hum
Teri baali hil gayi hai
Kabhi shab chamak uthi hai, kabhi shaam khil gayi hai
Tere baalon ki panaah mein yeh siyaah raat guzre
Teri kaali kaali aankhen koi ujli baat utre
Teri ek hansi ke badle, Meri yeh zameen le le, mera aasmaan le le


Saathiya, saathiya
Maddham maddham teri geeli hansi
Saathiya, saathiya
Sunke humne saari pee li hansi


Barf giri ho vaadi mein
Un mein lipti simti hui
Barf giri ho vaadi mein
Aur hansi teri goonje
Un mein lipti simti hui
Baat kare, dhuaan nikle
Garm garm ujla dhuaan, narm narm ujhla dhuaan..

Saturday, July 20, 2013

Ek Pyaar Ka Naghma Hai

Music : Laxmikant-Pyarelal
Lyrics : Santosh Anand & Varma Malik
Singers : Lata Mangeshkar & Mukesh

Movie : Shor

Ek pyaar kaa naghamaa hai, maujon ki ravaani hai 

Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai... (2)
Kuchh paakar khonaa hai, kuchh khokar paanaa hai
Jeevan ka matalab to, aanaa aur jaanaa hai
Do pal ke jeevan se, ek umr churaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai 
Ek pyaar ka naghamaa hai

Tu dhaar hai nadiyaa ki, main teraa kinaaraa hoon
Tu meraa sahaaraa hai, main teraa sahaaraa hoon
Aankhon men samandar hai, aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
Ek pyaar kaa naghamaa hai


Toofaan to aanaa hai, aakar chale jaanaa hai
Baadal hai ye kuchh pal kaa, chhaakar dhal jaanaa hai
Parachhaainyaan rah jaatin, rah jaati nishaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai 
Ek pyaar kaa naghamaa hai


English Translation of Song :

Life is a melody of love,It is the flow of waves,
Life is nothing more than your and my story... (2)
Life is about finding and then losing, It is about losing and then finding,
It is about coming and going,
From the few moments called life, we need to steal a lifetime
Life is nothing more than your and my story
Life is a melody of love

You are the current of the river, I am your (river)bank
You are my support, I am your support
There is an ocean in our eyes, Brimming with hope
Life is nothing more than your and my story
Life is a melody of love

The storm HAS to come, But after coming, it has to go too
These are but transient clouds, They have to fade away after hanging over us briefly
Only shadows remain, Only marks (signs) remain
Life is nothing more than your and my story
Life is a melody of love

Thursday, June 20, 2013

2 Shabd Betiyon ke Naam...


Kya likhun? Ki woh pariyon ka roop hoti hai…

Ya kadakti thand mein suhaani dhoop hoti 
hai…
Wo hoti hai udaasi ke har marz ki dawa ki tarah…

Ya uss mein sheetal hawa ki tarah…

Woh chidiyon ki chehchahahat hai,
Ya ke nishchal khilkilahat hai… Woh aangan mein faila ujaala hai..

Ya mere gusse pe laga taala hai…
Woh pahad ki choti pe suraj ki kiran hai…

Ya zindagi sahi jeene ka aacharan hai… 
Hai woh takat jo chote se ghar ko mahal bana
de…

Hai woh kaafiya jo kisi gazal ko mukkamal kar de… Kya likhun ??…
Woh akshar jo na ho toh varn maala adhoori
hai…
Woh, jo sabse zaada zaroori hai… Ye nahi kahoonga ki woh har waqt saath saath
hoti hai, Betiyaan toh sirf ek ehsaas hoti hain Woh mujhse australia mein chuttiyaan,
mercedes to drive,
5 star mein dinner ya mehenge Ipods nahi
mangti…
Na woh dher se paise piggy bank mein
udhelna chahti hai Woh bas kuch der mere saath khelna chahti
hai… Aur main kehta hoon yehi…
ki beta bahut kaam hai.. nahi karunga toh
kaise chalega…
Majboori bhare duniya daari ke jawaab dene
lagta hoon… Aur woh jhuta hi
sahi, Mujhe ehsaas dilati hai..
Ki jaise sab kuch samajh gayi ho..
Lekin aankhein band kar ke roti hai…
Jaise sapne mein khelte hue mere saath soti
hai.. Zindagi na jaane kyun itni ulajh jaati hai…
Aur hum samajhte hain, betiyaan sab samajh jaati hain.. 

Written By : - Shailesh Lodha(About The Writer)
Shailesh Lodha (born 15 July 1969 in Jodhpur, Rajasthan) is an Indian actor, comedian and writer.
He appears in the sitcom as Taarak Mehta Ka Ooltah Chashmah as real-life columnist Taarak Mehta.
Lodha has also written four books: the first two were satirical humour, the third was a self-help book co-written with his wife, and his most recent book, Diljale Ka Facebook Status, is a collection of poems written from the point-of-view of a jilted lover. He is the helper,friend,mentor of Jethalal Champaklal Gada aka Dilip Joshi. He is currently anchoring SAB TV programme 'Wah Wah Kya Baat Hai', a comedy programme that invites established and new poets.

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts