Monday, April 29, 2013

Maa tu hoti to


I read it somewhere just wanted to share:-
(A short poem to remind you of your hostel life ,the days
away from home to fulfill your and your parents' dreams)

Neend bahout aati hai padte padte,
Maa tu hoti to keh dete ki ek cup chai bana de…!!
Thak gaye hai bahar ki roti kha kha k,
Maa tu hoti to keh dete parathe bana de…!!
Bandh gaye hai 1 kamre ki char diwari me,
Maa tu hoti to kehti zara bahar ghum le…!!
Wohi koshish roj khush rhane ki,
Maa tu hoti to muskura lete…!!
Pareshaniya to bhot hai yaha,
Maa tuje btate to tuje bhi rula dete…!!
Bahut door nikal aaye hai ghar se,
Maa tere sapno ki parwah naa hoti to kabke ghar chale
aate…!!
Aaye hai ghar se door,sirf yehi soch kar ki in pareshaniyo k
baad MAA-PAPA ko duniya ki har khushi dila de!!!

Tuesday, April 16, 2013

Nahi Hoti


Ruthna khafa rehna,Ye Wafa nahi hoti,
Chahaton mein logon se kya khata nahi hoti.
Sab ko aik jaisa kyun tum samajhne lagte ho,
Kyun k saari duniya to bewafa nahi hoti,
Har kisi se yaari har kisi se waaday,
Pyar karne walon mein ye ada nahi hoti,
Be-Naqaab Chehre bhi ek Hijaab rakhte hain,
Sirf saat Pardon mein to haya nahi hoti,
Sab kuch kho diya tumhare pyar mein hum ne,
Kya ye b Chahat ki intha nahi hoti.

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts