Thursday, June 23, 2011

Ye baat samajh me aai nai, or mummy ne samjhai nai.....

Ye baat samajh me aai nai, or mummy ne samjhai nai..!

Mai kaise meethi baat kru..?
jab meethi chij koi khai nai,
Ye chaand kaise maamu hua..?
jab mummy ka wo bhai nai,
Kyu lambe baal h bhalu k..?
kyo uski triming karai nai,
kya wo bhi ganda baccha h..?
ya jungal me koi naai nai,
Naani k pati jab nana h, daadi ka pati jab dada h,
didi k pati kyo dida nai..?

Ye baat samajh me aai nai, or mummy ne samjhai nai..!

Samundar ka rang kyo neela h..?
jab neel kisine milai nai,
Jab school me nind itni aati h,
kyo bed waha rakhwai nai..?
Jab shaadi k baad shudhrte h,
to pahle kyo karwai nai..?

Ye baat samajh me aai nai, or mummy ne samjhai nai.....

Saturday, June 4, 2011

kabhi - kabhi (Big B)

kabhi - kabhi mere dil me khayal aata h,
k jindgi teri julfo ki narm chaav me gujrne paati to shadab ho bhi sakti thi,
ye ranj-o-gam ki syahi jo dil pe chaai h, teri julfo ki shbao me kho bhi sakti thi,
magar ye ho na saka, magar ye ho na saka,
or ab ye aalam h tu bhi nahi tera gam teri justju bhi nahi,
or bhatak rahi h andhero me jindgi meri.. jaise isse kisi sahare ki aarju bhi nahi,
na koi raah, na manjil, na roshni ka suraakh, bhatak rahi h andhero me jindgi meri,
inhi andhero me rah jaaunga kabhi kho kr me bhi..
me jaanta hu meri hamnafaz magar yu hi...,
kabhi kabhi mere dil me khayal aata h...

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts