Thursday, February 24, 2011

Gajal

1.   milkar juda huye tho na soya karenge hum
     ek doosre ke yaad meiN roya karenge hum

     aaNsoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar
     moti palak palak meiN piroyaa karenge hum

     jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi
     jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum

     gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel'
     sahil pe kashtiyoN ko doobOya karenge hum


2. yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye muJhe ke sang tuJhpe gire aur zakhm aaye muJhe wo meharbaaN hai tho ikraar kyooN nahiN kartha wo badgumaaN hai tho sau baar aazmaaye muJhe wo mera dost hai saare jahaaN ko hai maaloom daga kare wo kisi se tho sharm aaye muJhe maiN apni zaat meiN neelam ho raha hooN 'qateel' gham-e-hayaat se keh do khareed laaye muJhe
3. dil ko gham-e-hayaat gaNwaara hai in diNo pehle jo dard tha wahi chaara hai in diNo ye dil zara sa dil teri yaadoN meiN kho gaya zaRRe ko aandhiYon ka sahara hai in diNo tum aa sako to shab ko baDha dooN kuch aur bhi apne kahe meiN subhO ka taara hai in diNo
4. apne haathoN kee lakiroN meiN basa le muJhko main hooN tera to naseeb apna bana le muJhko muJhse too poochne aaya hai wafa ke maani ye teri saadaa-dili maar na Daale muJhko khud ko maiN baaNt na DaalooN kahiN daaman-daaman kar diya tune agar mere hawaale muJhko waada fir waada hai maiN zehar bhi pee jaaooN 'qateel' shaRt ye hai koi baahoN meiN sambhaale muJhko
5. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO
6. angDai par angDai leti hai raat judaaee kee tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya meiN maiNe aaNkh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par waqt se pehle dhooB gaye taaroN ne baDi daanaee kee uDte uDte aas ka paNchi door ufaq mein dooB gaya rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee
7. sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN naa jaane kis adaa se liya toone mera naam duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN
8. tumhare anjuman se uthke diwane kahaaN jaate junba basta huye hamse wo ab sare kahaaN jaate tumhari berukhi ne laaj rakh li waada-faan-e ki tum aaNkhoN se pila dete to paimane kahaaN jaate chalo achchha hua kaam aa gayi diwaangi apni warna ham zamaane bhar ko samjhaane kahaaN jaate
9. pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye fir jo nigah-e-yaar kahe maan jayeeye pehle mijaaz raah guzar jaan jayeeye fir kard-e-raah jo bhi kahe maan jaayeye kuchh keh rahi hai aapke seene ki dhadkane mera nahi to dil ka kaha maan jayeeye ik dhoop si jami hai nigaahoN ke aas paas ye aap haiN to aap pe kurbaan jayeeye shayad huzoor se koi nisbat hame bhi ho aaNkhO me jhaank kar hame pehchaan jayeeye
10. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO hame to aaj ki shab poh faTe tak jaagna hoga yahi kismat hamari hai sitaroN tum to so jaaO hame bhi neend aa jayegi hum bhi so hi jayenge abhi kuchh bekarari hai sitaroN tum to so jaaO

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts