Friday, December 30, 2011

Sikh-2011_Ki

Bahut se sabak sikha gya hame... :( :)
kabhi khushi kabhi gam kaa paath padha gya hame,
sab kuch pana nahi hota jindgi ka naam,
jindgi ka ye saar samjha gya hame... :)
ye saal bahut kuch bata gya hame...


jo h ussi me khush rahna h,
ye choti si baat bata gya hame,
kuch diya ho na diya ho...
par ek naya ahsaas dila gya hame...
ye saal bahut kuch bata gya hame...


pana hi sab kuch nahi hota,
kuch khona bhi padta h jindgi me,
ye ek nayi baat bata gya hame,
jiya krte the jindgi apni hi sharto par,
par jindgi apni sharto par nahi ji jaati ye samjha gya hame...
ye saal bahut kuch bata gya hame...


bahut si kadvi sacchiyo se rubru krwa gya hame..
Naye Anubhavo ka ek pulinda thama gya hame...
manjar hi nahi log bhi badal jaate h,
ye ahsaas dila gya hame,
ye saal kya kuch nahi bata gya hame...


Kisiske juda hone ka drd kisike milne ki khushi,
dono ka hi ahsaas kra gya hame...
ye saal itna sab kuch bata gya hame.... :( :)

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts