Monday, February 27, 2012

Intzaar By- Nidhi

Ye gazal bahut khaas hai kyoki isko likhne waali bahut hi khaas h..
aap bhi isse padenge to lagega ki jaise aap hi ke liye likhi ho ye lines par isse likhne waale sakhs ne isko apane kisi khaas ke liye likha h...
nahi shayad bahut khaas ke liye.... :)

Phir aajkoi gazal uske naam na ho jaaye,

aaj kahi likhte likhte shaam na ho jaaye,
kr rahi hu intzaar uske izah-e-mohbaat ka,
iss intzaar me jindgi tamaam na ho jaaye...

nahi leti uska naam sar-e-aam iss dar se,
kahi naam uska badnaam naa ho jaaye,
maangti hu dua jab bhi wo yaad aata h,
k judaai mere pyar ka anjaam na ho jaaye,

soch kr hi darti hu aksar tanhaai me,
uske dil me kisi or ka muqaam naa ho jaaye,
Zid hai usse paane ki, uski mohbbat se dil ko sajaane ki,
kahi zid ye had se badh naa jaaye,
kahi paaglo me shaamil mera bhi naam naa ho jaaye,

Ghzalo ka silsila fir chala hai ek baar,
kahi ye daur ab aam naa ho jaaye,
dua hai meri rab se ki jinda rooh naa ban jaau,
kahi uska ye dil kisi or ke naam naa ho jaaye,
Ab aarzoo he to un nigaaho me mohabbat dekhu,
par iss aarzoo ke lekr hi jindgi ki shaam naa ho jaaye....!!


By :- Nidhi...

2 comments:

Anonymous said...

Owsome gazal... :)

Anonymous said...

nice one... you have a nice blog

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts