Wednesday, September 12, 2012

Sirf gyaan hi aapko aapka haq dilaata hai

Jeevan path jatil hai yeh, Kaalchakra kathin hai yeh,
Pag-pag par bhed-bhaav hai, Rakht ranjit paav hai,
Janam se kisi ke sar vansh ki chaav hai,
Juth ke rath par savaar daakuo kaa gaav hai,
kisi ke paas hai chal kapat, Kisi ko rup ka vardaan hai,
Yeh soch kr mat baith jaa ki yeh vidhi ka vidhaan hai,

Baj raha mradang hai, Yeh kahta ang-ang hai,
Ki praan abhi shesh hai, Maan abhi shesh hai,
Uthaale gyaan ka dhanush,
Ek kan bhi aur kuch maang mat bhagwaan se,
Gyaan ke kamaan par laga de tu vijay tilak,
Kaal ke kapaal par likh de tu ye gulaal se,
"Ki rok sakta hai koi to rok ke dikha mujhe,
Haq chhinta aaya hai jo ab chhin ke bata mujhe."

Gyaan ke manch par sab ek samaan hai,
Vidhi ka vidhaan palat de, wo bramhaastra gyaan hai,
To aaj se yeh thaan le, Yeh baat gaanth baandh le,
Ki karma ke kurukshetra mai,
Naa rup kaam aata hai, Naa jhuth kaam aata hai,
Naa jaati kaam aati hai, Naa baap ka naam kaam aata hai,
Sirf gyaan hi aapko aapka haq dilaata hai.

1 comment:

Anonymous said...

Thanks

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts