Song: Kyon
Film: Barfi!
Singer(s): Papon
Music Director: Pritam
Lyricist: Swanand Kirkire
Kyon, na hum tum
Chale tedhe-medhe se raston pe nange paanv re
Chal, bhatak le na baawre
Kyon, na hum tum
Phire jaake almast pehchaani raahon ke pare
Chal bhatak le na baawre
Inn timtimaati nigaahon mein
Inn chamchamaati adaayon mein
Luke hue, chhupe hue
Hai kya khayaal baawre
Kyun, na hum tum
Chale zindagi ke nashe mein hi dhut sarphire
Chal bhatak le na baawre
Kyun, na hum tum
Talashein bageechon mein phursat bhari chhanv mein
Chal bhatak le na baawre
Inn gungunati fizaaon mein
Inn sarsarati hawaaon mein
Tukar-tukar yun dekhe kya
Kya tera haal baawre
Na lafz kharch karna tum
Na lafz kharch hum karenge
Nazar ke kankadon se
Khamoshiyon ki khidkiyan yun todhenge
Mila ke mast baat phir karenge
Na harf kharch karna tum (harf means "Akshar - a letter")
Na harf kharch hum karenge
Nazar ki syaahi se likhenge
Tujhe hazaar chitthiyaan khamoshi jhidkiyaan
Tere pate pe bhej denge
Sunn, khankhanati hai zindagi
Le, hume bulati hai zindagi
Jo karna hai woh aaj kar, na isko taal baawre, aha ha
Kyun, na hum tum
Chale tedhe-medhe se raston pe nange paanv re
Chal bhatak le na bawre
Kyun, na hum tum
Phire jaa ke almast pehchaani raahon ke pare
Chal bhatak le na bawre
Inn timtimaati nigaahon mein
Inn chamchamaati adaayon mein
luke hue, chhupe hue
Hai kya khayal baawre

1 comment:
Lyrics are by Shri Neelesh Misra and not Swanand Kirkire. Please rectify this error.
Post a Comment