Thursday, March 7, 2013

Ye Kaghzi Phool Jaise Chahre

yeh log, pathar ke dil hain jin ke,
numaaish-e-rung main hain doobe,

yeh kaagazi phool jaise chehre,
mazaaq urraate, hain aadmi ka,
inhain koi kaash yeh bataa de,
maqaam ooncha hai saadgi ka,

inahan bhala zakhm ki khabar kya ,
keh teer chalte huwe na dekha,
udaas aankhon main aarzoo ka khoon jalte hue na dekha,
andhera chaaya hai in ke aage haseen ghaflat ki roshni ka,

yeh kaagzi phool.........

yeh sehn-e-gulshan main jab gaye hain bahaar hi loot le gaye hai,
jaahan gaye hain yeh do dilon ka qaraar hi loot le gaye hain,
ke dil dukhana hai in ka sheva inhain hay ehsaas kab kisee ka,

yeh kaagazi...........
main jhoot ki jagmagati mehfil main aaj sach bolne laga,
main ho ke majboor apne geeton main zehr phir gholne laga hoon ,
yeh zehr shayad urraa deh nasha ghuroor main doobi zindagi ka,

yeh kaagazi phool jaise chehre,
mazaaq urraate` hain aadmi ka,
inhain koi kaash yeh bataa de,
maqaam ooncha hai saadgi ka ,

yeh kaagazi phool jaise chehre,

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts