Sunday, June 17, 2012

Father's Day Special


Mere Pita or duniya ke saare Pitaao ko samrpit...


Jo dukho ki baarish me,
CHatri ban tante hai..
Garh ke darwaaje par,
Najarbattu se tangte hai..
Samet lete hai sabka andhiyara,
Khud aagan me ek deepak ban jalte hai,
Aise hote hai Pita


Beshaq Pita lori nahi sunaate,
Maaki tarah aansu nahi bahate..
Dinbhar ki thakan ke baavjud,
Raat ka pahraa ban jaate hai..
Or jab nikalte hai subah,
Tinko ki khoj mai
Kisi ke khilone..
Kisi ki kitaabe..
Kisi ki mithaai..
To kisi ki dawai..
..parwaaz par hote hai sabke sapne,
Pita kab hote hai khud ke apne..?


Jab saanjh dhale lotate hai ghar,
Maa ki chudiyan khanakti hai..
Nanhi gudiya chahakti hai..
Sabke sapne saakar hote hai..
Pita uss waqt avtaar hote hai
Jwaan betiyan badnaam hone se darti hai..
Har galti par aankho ki maar padti hai..
Darasal..
Bhay, Hayaa or Sanskaar ka Bolbaala hai Pita..
Muhalle bhar ki jaban ka taala hai Pita..


Sach hai..
Maa samwedna hai Pita kathaa
Maa Aansu hai Pita vyathaa
Maa pyaar hai Pita Sanskaar
Maa dulaar hai Pita vyavhaar


Pita wo - wo hai,
Jo - jo Maa nahi hai..
Maa jamin to Pita aasmaan,
Ye baat kitni sahi hai..
Pita baccho ki tutlaati aawaj mai bhi,
Ek surakshit bhawishya hai..
Jinke kandho pe baccho ka bachpan hota hai
Jinki jeb mai khilono ka dhan hota hai
Jinki baajuo se jutati hai taakat
Jinke saath se milti hai himmat
Jinki parmparao se vansh chalta hai
Pita bin baccho ko kaha naam milta hai
Pita wo himaalay hai
Jo garh ki surakha ke liye
Sir utha ke seena taan ke khada hota hai
Pita bin ghar kitna anmanaa hota hai
Pita hoto ghar swarg hota hai
Pita naa ho
To unki smratiyan bhi apna farz nibhaati hai..
Pita ki to taswir se dua aati hai...!!

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts