Showing posts with label Anjum Rahbar. Show all posts
Showing posts with label Anjum Rahbar. Show all posts

Saturday, August 17, 2013

Majburiyaan - Anjum Rahbar


Majburiyion ke naam par sab chodna pada,
Majburiyion ke naam par sab chodna pada,
Dil todnaa kathin tha magar todna pada,
Dil todnaa kathin tha magar todna pada,
Meri pasand aur thi sab ki pasand aur,
Meri pasand aur thi sab ki pasand aur,
Itni zarasi baat pe garh chodna pada,
Itni zarasi baat pe garh chodna pada,
Dil todnaa kathin tha magar todna pada,

- Anjum Rahbar

Chithiyaan - Anjum Rahbar


Padati rahti hu mai saari chithiyaan,
Padati rahti hu mai saari chithiyaan,
Raat hai or hai tumhaari chithiyaan,
Raat hai or hai tumhaari chithiyaan,

Tum ho mere paas lekin dukh hai ye,
Ab nahi aati tumhaari chithiyaan,
Tum ho mere paas lekin dukh hai ye,
Ab nahi aati tumhaari chithiyaan,

Hum nazar aayenge ek-ek harf(Akshar/Shabd) mai,
Hum nazar aayenge ek-ek harf(Akshar/Shabd) mai,
Jab jalaoge hamari chithiyaan,
Jab jalaoge hamari chithiyaan,

Likh to rakhi hai magar bheji nahi,
Likh to rakhi hai magar bheji nahi,
hai abhi tak wo kunwaari chithiyaan,
hai abhi tak wo kunwaari chithiyaan,

Daante anjum hai mujhko garh ke log,
Daante anjum hai mujhko garh ke log,
sab ne padhli hai tumhari chithiyaan,
sab ne padhli hai tumhari chithiyaan,

- Anjum Rahbar

Sun sun sun deewaane - Anjum Rahbar


Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Dhadkan ke har dwaare par, - 2
Jeewan ke ektaare par,
Saanso ki ye dhun..

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Ye nagri-baazaar, thago ka makkaron ka ghera,
Tera naa mera,
Ye nagri-baazaar, thago ka makkaron ka ghera,
Tera naa mera,
Jaane kab lut jaayega apna rain basera,
Ye jogi feraa,

Duniya ki gahraai mai - 2
Juth mai or sacchai mai,
Apna rasta chun...

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Pet ki paapi khaai ko hamne jeevan bhar hai paata,
Hai geela aataa,
Pet ki paapi khaai ko hamne jeevan bhar hai paata,
Hai geela aataa,
Halwaa, puri, chatni churi,
Aisa naan paraatha, Sabhi mai ghaata,

Pagle pyaar ka meva chakh - 2
Ek taraf sab chije rakh,
Daal namak saabun..

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Ujale-ujale kapdo waale sab hai man ke kaale,
Bade ghotaale,
Ujale-ujale kapdo waale sab hai man ke kaale,
Bade ghotaale,
Hum aansu ke ghut piye or ye madira ke pyaale,
Ye khaddar waale,

Jitne satta dhaari hai - 2
Iss dharti pe bhaari hai,
Sab hai pee ke tunn

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Dhadkan ke har dwaare par,
Jeewan ke ektaare par,
Saanso ki ye dhun..

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

- Anjum Rahbar

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts