Showing posts with label SILSILA. Show all posts
Showing posts with label SILSILA. Show all posts

Sunday, December 4, 2011

Rang barse bheege chunar wali

Movie : SILSILA
Title : Rang barse bheege chunar wali : SILSILA
Singer(s) : AMITABH BACHCHAN

Video or MP3 for this Song

Holi hai...!!!
Hmmm Rang barse bheege chunar wali, rang barse,
Holi hai...!!!
Are kaine maari pichkaari tori bheegi angiya
O rangrasia rangrasia, ho...

Rang barse..
Are Rang barse bheege chunar wali, rang barse,
ho Are Rang barse bheege chunar wali, rang barse,
O Rang barse bheege chunar wali, rang barse,
ho Are Rang barse bheege chunar wali, rang barse,
Haa Rang barse bheege chunar wali, rang barse,

Sone ki thaali main jyona parosa
Are, sone ki thaali main jyona parosa
Haan, sone ki thaali main jyona parosa
Are, khaye gauri ka yaar balam tarse rang barse
Holi hai!!!
O, Rang barse bheege chunar wali, rang barse ...

Launga ilaichi ka, are launga ilaichi ka
Launga ilaichi ka? Haan
Are launga ilaichi ka beeda lagaya
Haan, launga ilaichi ka beeda lagaya
Chabe gauri ka yaar, balam tarse
Holi hai!!!
O, Rang barse bheege chunar wali, rang barse ...

Are, bela chameli ka sez bhichhaya
bela chameli ka, sez bhichhaya
Are, bela chameli ka sez bhichhaya
Haan, bela chameli ka sez bhichhaya
Soye gauri ka.....
Soye gauri ka yaar, balam tarse
Holi hai!!!
O, Rang barse bheege chunar wali, rang barse ...

Saturday, December 3, 2011

Yeh Kahan Aa Gaye Hum

MovieSILSILA
Title : Yeh Kahan Aa Gaye Hum : SILSILA
Singer(s) : AMITABH BACHCHAN AND LATA MANGESHKAR

Click Here To Watch Video For this Song

--MALE--
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain
Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti, tum voh kehti
Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to vaisa hota
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain


--FEMALE--
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Teri baahon mein hai jaanam, Mere jism-o-jaan pighalte...-(2 times)
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte


--MALE--
Yeh raat hai, ya tumhaari zulfein khuli hui hai
Hai chaandni ya tumhaari nazron se meri raatein dhuli hui hai
Yeh chaand hai ya tumhaara kangan
Sitaarein hai ya tumhaara aanchal
Hawa ka jhonka hai ya tumhaare badan ki khushboo
Yeh pattiyon ki hai sarsaraahat ke tumne chupke se kuch kaha hai
Yeh sochta hoon main kab se gumsum
Ke jab ki mujhko bhi yeh khabar hai
Ke tum nahin ho, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hai
Ke tum yahin ho, yahin kahin ho


--FEMALE--
O, tu badan hai main hoon chhaaya
Tu na ho to main kahan hoon
Mujhe pyaar karne waale
Tu jahan hai main vahan hoon
Hamein milna hi tha hamdam, Kissi raah bhi nikal ke...-(2 times)
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte,


hmmmm....
Meri saans saans maheke
Koi bheena bheena chandan
Tera pyaar chaandni hai
Mera dil hai jaise aangan
Hui aur bhi mulaayam, Meri shaam dhalte dhalte...-(2 times)
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte


--MALE--
Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
Tanhaai ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahe hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de
Deevaar jo hum dono mein hai, aaj gira de
Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi


--FEMALE--
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Yeh kahan aa gaye hum

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts