Showing posts with label Unknown. Show all posts
Showing posts with label Unknown. Show all posts

Saturday, August 17, 2013

Majburiyaan - Anjum Rahbar


Majburiyion ke naam par sab chodna pada,
Majburiyion ke naam par sab chodna pada,
Dil todnaa kathin tha magar todna pada,
Dil todnaa kathin tha magar todna pada,
Meri pasand aur thi sab ki pasand aur,
Meri pasand aur thi sab ki pasand aur,
Itni zarasi baat pe garh chodna pada,
Itni zarasi baat pe garh chodna pada,
Dil todnaa kathin tha magar todna pada,

- Anjum Rahbar

Chithiyaan - Anjum Rahbar


Padati rahti hu mai saari chithiyaan,
Padati rahti hu mai saari chithiyaan,
Raat hai or hai tumhaari chithiyaan,
Raat hai or hai tumhaari chithiyaan,

Tum ho mere paas lekin dukh hai ye,
Ab nahi aati tumhaari chithiyaan,
Tum ho mere paas lekin dukh hai ye,
Ab nahi aati tumhaari chithiyaan,

Hum nazar aayenge ek-ek harf(Akshar/Shabd) mai,
Hum nazar aayenge ek-ek harf(Akshar/Shabd) mai,
Jab jalaoge hamari chithiyaan,
Jab jalaoge hamari chithiyaan,

Likh to rakhi hai magar bheji nahi,
Likh to rakhi hai magar bheji nahi,
hai abhi tak wo kunwaari chithiyaan,
hai abhi tak wo kunwaari chithiyaan,

Daante anjum hai mujhko garh ke log,
Daante anjum hai mujhko garh ke log,
sab ne padhli hai tumhari chithiyaan,
sab ne padhli hai tumhari chithiyaan,

- Anjum Rahbar

Sun sun sun deewaane - Anjum Rahbar


Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Dhadkan ke har dwaare par, - 2
Jeewan ke ektaare par,
Saanso ki ye dhun..

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Ye nagri-baazaar, thago ka makkaron ka ghera,
Tera naa mera,
Ye nagri-baazaar, thago ka makkaron ka ghera,
Tera naa mera,
Jaane kab lut jaayega apna rain basera,
Ye jogi feraa,

Duniya ki gahraai mai - 2
Juth mai or sacchai mai,
Apna rasta chun...

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Pet ki paapi khaai ko hamne jeevan bhar hai paata,
Hai geela aataa,
Pet ki paapi khaai ko hamne jeevan bhar hai paata,
Hai geela aataa,
Halwaa, puri, chatni churi,
Aisa naan paraatha, Sabhi mai ghaata,

Pagle pyaar ka meva chakh - 2
Ek taraf sab chije rakh,
Daal namak saabun..

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Ujale-ujale kapdo waale sab hai man ke kaale,
Bade ghotaale,
Ujale-ujale kapdo waale sab hai man ke kaale,
Bade ghotaale,
Hum aansu ke ghut piye or ye madira ke pyaale,
Ye khaddar waale,

Jitne satta dhaari hai - 2
Iss dharti pe bhaari hai,
Sab hai pee ke tunn

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

Dhadkan ke har dwaare par,
Jeewan ke ektaare par,
Saanso ki ye dhun..

Sun sun sun deewaane sun sun sun,
Sun sun sun deewaane sun sun sun,

- Anjum Rahbar

Sambhu Shikhar - Ultimate Poyem

Tumhaare saath baithe, time ka kuch use ho jaaye,
Tumhe chaahe ke dekhe dil bahut confuse ho jaaye,
Tumhaare saath baithe, time ka kuch use ho jaaye,
Tumhe chaahe ke dekhe dil bahut confuse ho jaaye,
Hamari har kahani har jagah surkhi mai ho dilbar,
Kabhi hum tum mile aise ki breking news ho jaaye,

Usse dene chala ek roj greeting card ki khushbu,
Nahi pahchaan paaya tha mai bodygaurd ki khushbu,
Usse dene chala ek roj greeting card ki khushbu,
Nahi pahchaan paaya tha mai bodygaurd ki khushbu,
Bahut toda mujhe foda hua mai AIMS mai bharti,
Abhi tak aa rahi jodo se jornal ward ki khushbu,

- Sambhu Shikhar, Mdhubani Bihaar

Friday, August 16, 2013

Sher


Bana kar fakiron ka humbhej gaalib,
Tamasa-a-ahle karam dekhte hai.
- Mirza Gaalib

Kon Kahta hai budhaape mai ishq ka silsila nahi hota,
Are, aam tab tak maja nahi deta jab tak pilpila nahi hota.
- Dr. Asthana


Muhabbat se jab bhi balam dekhte hai,
to satyam nahi sundram dekhte hai..
- Sundar


Hum naa urdu naa hindi mai gazal kahte hai,
Hum naa urdu naa hindi mai gazal kahte hai,
hum to bas aapki boli mai gazal kahte hai,
wo amiri mai gazal kahte hai, kahte honge,
Sacche sayar to fakiri mai gazal kahte hai..
- Unknown

Ishq mai raay bujurgon se nahi li jaati,
Ishq mai raay bujurgon se nahi li jaati,
Ki aag bujhte hue chulho se nahi li jaati..
- Munawwar Rana




Tuesday, April 16, 2013

Nahi Hoti


Ruthna khafa rehna,Ye Wafa nahi hoti,
Chahaton mein logon se kya khata nahi hoti.
Sab ko aik jaisa kyun tum samajhne lagte ho,
Kyun k saari duniya to bewafa nahi hoti,
Har kisi se yaari har kisi se waaday,
Pyar karne walon mein ye ada nahi hoti,
Be-Naqaab Chehre bhi ek Hijaab rakhte hain,
Sirf saat Pardon mein to haya nahi hoti,
Sab kuch kho diya tumhare pyar mein hum ne,
Kya ye b Chahat ki intha nahi hoti.

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts