Showing posts with label Nikhil Paul George. Show all posts
Showing posts with label Nikhil Paul George. Show all posts

Saturday, October 27, 2012

Main Kya Karoon Lyrics - Barfi!


SongMain Kya Karoon
FilmBarfi!
Singer(s)Nikhil Paul George
Music DirectorPritam
LyricistSwanand Kirkire


Dil yeh mera, bas mein nahi
Pehle kabhi aisa hota tha nahi
Hmm..
Dil yeh mera, bas mein nahi
Pehle kabhi, aisa hota tha nahi
Tu hi bata iss dil ka main
Ab kya karoon

Kehne pe, chalta nahi
Kuch dino se, meri bhi sunta nahi
Tu hi bata iss dil ka main, uff ab main kya karoon
Main kya karoon...
Iss dil kya karoon, main kya karoon...

Karta awaargi
Iss pe dhun chadhi, hai pyaar ki
Jaane gumm hai kahaan
Baaton mein hai pada, bekaar ki
Karta awaargi
Iss pe dhun chadhi, hai pyaar ki
Na jaane gumm hai kahaan
Baaton mein hai pada, bekaar ki
Ulti yeh baat hai
Aise halaat hai
Ghalti kare yeh main bharu

Uff dil ka kya karoon
Main kya karoon...
Iss dil kya karoon, main kya karoon...

Dil pe mera kaabu nahin
Fitrat kabhi iski aisi thi nahin
Tu hi bata iss dil ka main
Ab kya karoon

Kehne pe, chalta nahi
Kuch dino se, meri bhi sunta nahi
Tu hi bata iss dil ka main, uff dil ka kya karoon
Main kya karoon...
Uff ab main kya karoon...

Friday, October 26, 2012

Aashiyan Lyrics - Barfi!

Song: Aashiyan
FilmBarfi!
Singer(s): Nikhil Paul George, Shreya Ghoshal
Music DirectorPritam
LyricistSwanand Kirkire


Itti si hansi
Itti si khushi
Itna sa tukda chand ka
Khwaabon ke, tinkon se
Chal banaaye aashiyan
Itti si hansi
Itti si khushi
Itna sa tukda chand ka
Khwaabon ke, tinkon se
Chal banaaye aashiyan

Dabe dabe paaon se
Aaye haule haule zindagi
Honthon pe ungli chadha ke
Hum taale laga ke chal
Gumsum tarane chupke chupke gaaye
Aadhi aadhi baat le
Aaja dil ki yeh zameen
Thoda sa tera sa hoga
Thoda mera bhi hoga apna yeh aashiyan

Itti si hansi
Itti si khushi
Itna sa tukda chand ka
Khwaabon ke, tinkon se
Chal banaaye aashiyan

Naa ho chaar deewarein
Phir bhi jharokhe khule
Baadalon ke honthon pe
Shaakhe hari, pankha chale

Naa ho koi takraarein
Arrey masti thahaake chale
Pyaar ke sikkon se, mahine ka kharcha chale

Dabe dabe paaon se
Aaye haule haule zindagi
Honthon pe ungli chadha ke
Hum taale laga ke chal
Gumsum tarane chupke chupke gaaye
Aadhi aadhi baat le
Aaja dil ki yeh zameen
Thoda sa tera sa hoga
Thoda mera bhi hoga apna yeh aashiyan

Itti si hansi
Itti si khushi
Itna sa tukda chand ka
Khwaabon ke, tinkon se
Chal banaaye aashiyan
Itti si hansi
Itti si khushi
Itna sa tukda chand ka
Khwaabon ke, tinkon se
Chal banaaye aashiyan

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts