Monday, February 28, 2011

Jab pyaar ki baat adhoori ho..!!

Jab pyaar ki baat adhoori ho..
jab beech me thori doori ho..
jab milna bohut zaroori ho…
per milne mein majboori ho..
tum dil me yaad jaga lena..
kuch pyaar ke deep jala lena..
jab mujh se milne aa na sako..
aur yaad se bahar jaa na sako…

Ghamon ne bant lia yun mujhy


Khuli jo Aankh tou woh tha,
Na woh zamana tha,
Dehakti Aag thi,
Tanhai thi,
Fasana tha.
Ghamon ne ßant lia yun mujhy Aapas me,
K jaise main koi Loota hua khazana tha.
Yeh kia k chnd hi Qadmun pe thak k ßaith gaye?
Tumhen tou sath mera door tk nibhana tha.
Mujhy jo mere laho me dubo k Guzra hy,
Woh koi gair nhe,
Yaar ek purana tha.
Khud apne hath se shehzad usko kaat dia,
K jis darkhat ki Thehni pe Aashyana tha..

~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~


Agar Be-gharz Ho Jazba
Agar Manzil baney Rasta
Agar Chahat k Pardey Main
Koi Lalach Na Ho Lipta
Agar Tum Sonp Do Sab Kuch
Silay Main Kuch Na Maango
Agar Sauda Na Ho Koi
Mohabbat Bas Mohabbat Ho
Tou Phir Ye Sukh Hi Deti Hy
Kabhi Dukh Nahi Deti
~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~
HaPpY vAleNtInE’s DaY … (:

Asha....!!!


छुट रही हे रेट हाथ से, आशा हे पर डूबती किरण से,
ला सकते हे तारे गगन से, मुश्किल नहीं हे यह भी तुमसे,
जीवन में कुछ भी नहीं असंभव,  करो मेहनत पूरी लगन से,
विजयी होना हे अगर तुमको, करो संघर्ष बचो न श्रम से,
रुके रहे तुम अगर अभी से, पीछे रह जाओगे सबसे,
बहुत तेज वह नहीं चल रहा, मिल सकते हो अब भी उससे......

Thursday, February 24, 2011

Gajal

1.   milkar juda huye tho na soya karenge hum
     ek doosre ke yaad meiN roya karenge hum

     aaNsoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar
     moti palak palak meiN piroyaa karenge hum

     jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi
     jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum

     gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel'
     sahil pe kashtiyoN ko doobOya karenge hum


2. yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye muJhe ke sang tuJhpe gire aur zakhm aaye muJhe wo meharbaaN hai tho ikraar kyooN nahiN kartha wo badgumaaN hai tho sau baar aazmaaye muJhe wo mera dost hai saare jahaaN ko hai maaloom daga kare wo kisi se tho sharm aaye muJhe maiN apni zaat meiN neelam ho raha hooN 'qateel' gham-e-hayaat se keh do khareed laaye muJhe
3. dil ko gham-e-hayaat gaNwaara hai in diNo pehle jo dard tha wahi chaara hai in diNo ye dil zara sa dil teri yaadoN meiN kho gaya zaRRe ko aandhiYon ka sahara hai in diNo tum aa sako to shab ko baDha dooN kuch aur bhi apne kahe meiN subhO ka taara hai in diNo
4. apne haathoN kee lakiroN meiN basa le muJhko main hooN tera to naseeb apna bana le muJhko muJhse too poochne aaya hai wafa ke maani ye teri saadaa-dili maar na Daale muJhko khud ko maiN baaNt na DaalooN kahiN daaman-daaman kar diya tune agar mere hawaale muJhko waada fir waada hai maiN zehar bhi pee jaaooN 'qateel' shaRt ye hai koi baahoN meiN sambhaale muJhko
5. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO
6. angDai par angDai leti hai raat judaaee kee tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya meiN maiNe aaNkh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par waqt se pehle dhooB gaye taaroN ne baDi daanaee kee uDte uDte aas ka paNchi door ufaq mein dooB gaya rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee
7. sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN naa jaane kis adaa se liya toone mera naam duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN
8. tumhare anjuman se uthke diwane kahaaN jaate junba basta huye hamse wo ab sare kahaaN jaate tumhari berukhi ne laaj rakh li waada-faan-e ki tum aaNkhoN se pila dete to paimane kahaaN jaate chalo achchha hua kaam aa gayi diwaangi apni warna ham zamaane bhar ko samjhaane kahaaN jaate
9. pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye fir jo nigah-e-yaar kahe maan jayeeye pehle mijaaz raah guzar jaan jayeeye fir kard-e-raah jo bhi kahe maan jaayeye kuchh keh rahi hai aapke seene ki dhadkane mera nahi to dil ka kaha maan jayeeye ik dhoop si jami hai nigaahoN ke aas paas ye aap haiN to aap pe kurbaan jayeeye shayad huzoor se koi nisbat hame bhi ho aaNkhO me jhaank kar hame pehchaan jayeeye
10. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO hame to aaj ki shab poh faTe tak jaagna hoga yahi kismat hamari hai sitaroN tum to so jaaO hame bhi neend aa jayegi hum bhi so hi jayenge abhi kuchh bekarari hai sitaroN tum to so jaaO

मुझको..!!

अपने हाथों की लकीरों में बसा ले मुझको
मैं हूँ तेरा तो नसीब अपना बना ले मुझको।
मुझसे तू पूछने आया है वफ़ा के माने
ये तेरी सादा-दिली मार ना डाले मुझको।
ख़ुद को मैं बाँट ना डालूँ कहीं दामन-दामन
कर दिया तूने अगर मेरे हवाले मुझको।
बादाह फिर बादाह है मैं ज़हर भी पी जाऊँ ‘क़तील’
शर्त ये है कोई बाहों में सम्भाले मुझको।

kya khabar hai ..??

Wo milegi ya nahi abhi iski kya khabar hai
mere har ek dard se abhi to wo bekhabar hai
duniya ke gulshan me gul ki tarah kahi na kahi mehak rahi hogi
ye dil e bekarar uski ek jhalak ke liye besabar hai
uske bina ye mera man har ek khusi se beasar hai
tanha dil hai virana jigar hai ghayal si meri nazar hai
bas kalpnao ke sunhare aagosh me jiye ja rha hu
ye gul meri kismat me mehakega ki nahi meri kismat to abhi befikar hai
wo milegi ya nhi abhi iski kya khabar hai

Dard...

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Dub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sochta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De…
`
Aarzoo jhooth hai,
Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe..
Dil kabhi kisi se lagana nahi.
`
Ek pal mein jo aa kar gujar jaaye
yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kehti hai duniya jise,
ek rangeen dhokha hai .. aur kuch nahi..
`
Asmaan bhi baras raha hai,
Mere Ashko se takra raha hai,
Kisme hai jor jyada shayad yeh dekh raha hai,
Barsaat to phir bhi ruk jayegi,
Mere Ashko ka koi anth nahi,
Dil me hai dard itne jiska koi hisaab nahi…
`
Ya khuda maaf karna tere is gunehgaar bande ko,
Jo tumhari chamatkaar me dakhil hota hai,
Sirf ye poochne ke liye aaya hu mein,
Ke kyun har raat tanhai mein mera dil rota hai…

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts