Thursday, September 8, 2011

Marasim

1.  haath chooTen bhi tho rishthe nahin choDa karthe
    waqt ki shaak se lamhein nahin toDa karthe

    jiski aawaaz meiN silwat ho nigahoN meiN shikan
    aisi tasvir ke tukDe nahiN joda karthe

    shahad jeene ka mila karta hai thoDa thoDa
    jaane waaloN ke liye dil nahin thoDa karthe

    lagke saahil se jo beHta hai use beHne do
    aisi dariya ka kabhi rukh nahiN moDa karthe

2. ek puraana mausam lauTa, yaad bhari purvayi bhi aisa to kam hi hotha hai, wo bhi ho tanhaayee bhi yaadon ki bauchaaroN se jab palke bheegne lagti hai kitni soundi lagthi hai tab maanjhi ki ruswaee bhi do do shakleN dikthi haiN is behke se aayine meiN mere saath chala aaya hai aapka ik saudayee bhi khamoshi ka haasil bhi ik lambi si kamoshi hai unki baath suni bhi humne, apni baat sunayi bhi.
3. aankhon mein jal raha hai kyoon, bujtha nahin dhuaaN uThtha tho hai gata sa barastha nahiN dhuaaN choolha nahin jalaye ya basti hi jal gayi kuch roj ho gaye hain abh uThtha nahin dhuaaN aankhoN se ponchne se laga aanch ka patha yoon chehra pher lene se chuptha nahin dhuaaN aankhoN se aansoon ke marasim purane haiN mehmaan ye ghar meiN aayen tho chubtha nahin dhuaaN
4. woh kaaTh ke purze uDa raha tha hawavon ka roop dikha raha tha kuch aur bhi ho gaya numaayaN main apna likha mita raha tha usi ka eemaan badal gaya hai kabhi jo mera khuda raha tha wo ek din ek ajnabi ko meri kahani suna raha tha wo umR kam kar raha tha meri maiN saal apne baDha raha tha
5. shaam se aankh meiN namiN si hai aaj fir aapki kami si hai dafan kar do hameiN ki saans mile nabz kuch der se thami si hai waqt rehtha nahin kahin chupkar iski aadat bhi aadmi si hai koi rishtha nahin raha fir bhi ek tasleem laazmi si hai
6. zindagi yoon huyi basar tanha kaafila saath aur safar tanha apne saaye se chaunk jaate haiN umR guzri hai is kadar tanha raat bar bolthe hain sannaaTe raat kaaTe koi kidhar tanha din guzartha nahin hai logon meiN raat hothi nahin basar tanha humne darwaaze tak tho dekha tha fir na jaane gaye kidhar tanha
7. ek parvaaz dikhayee di hai teri aawaz sunayee de rahi hai jiski aankhon meiN kaTi thi sadiyaaN usne sadiyoN ki judayee di hai sirf ik safha palaT kar usne beeti baaton ki safaayee di hai fir wahiN lauTke jaana hoga yaar ne kaisi rihayee di hai aag ne kya kya jalayaa hai shavpar kitni khushrang dikhayee di hai
8. din kuch aise guzaartha hai koi jaise ahamsa utaartha hai koi aayina dekhkar tasalli huyi humko is ghar main jaantha hai koi pak gaya hai shejar pe fal shaayad fir se patthar uchaaltha hai koi der se goonjthe hain sannaaTe jaise humko pukaartha hai koi

Silsilay

1.   maiN bhool jaaoon tumhe, ab yahi munaasib hai
     magar bhoolna bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN
     ke tum to fir bhi haqikat ho koi khwaab nahiN
     yahan to dil ka ye aalam hai kyaa kahoon 'kambakht'
     bhula saka na ye wo silsila jo thaa hi nahiN
     wo ik khyaal jo awaaz tak gaya hi nahin
     wo ek baat jo maiN keh nahiN saka tumse
     wo ek rawt jo hum meiN kabhi raha hi nahiN
     muJhe hai yaad wo sab jo kabhi huwa hi nahiN
     agar ye haal hai dil ka to koi samjhaaye
     tumhe bhulaana bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN
     ke tum to fir bhi hakikat ho koi khwaab nahiN


2. mere dil ne kaha, ae diwaane bata jab se koi mila, tu hai khoya huwa, ye kahani hai kya, hai ye kyaa silsila, ae diwaane bata maine dil se kaha, ae diwaane bata dhaDkane meiN chupi, kaisi awaz hai kaisa ye geet hai kaisa ye saaz hai, kaisi ye baat hai, kaisa ye raaza hai, ae diwaane bata mere dil ne kaha , jab se koi mila chaand taare fizaaN, phool bhaNwaare hawa ye haNsi waadiyaaN, neela ye aasmaaN sab hai jaise naya, mere dil ne kaha maine dil se kaha, muJhko ye to bata, jo hai tuJhko mila, usme kyaa baat hai kya hai jaadoogari, kaun hai wo pari, ae diwaane bata na wo koi pari, na koi mehJabiN na wo duniya meiN sabse hai zyaada haseeN, bholibhaali si hai, seedhi saadhi si hai, lekin usme adaa ek niraali si hai uske bin mera jeena hi bekaar hai, maine dil se kaha, baat itni si hai, ki tuJhe pyuaar hai mere dil ne kaha muJhko ikraar hai, haaN muJhe pyaar hai.
3. jaate jaate wo muJhe achchhi nishaani de gaya uMr bhar dohraoonga aisi kahaani de gaya uss se maiN kuch paa sakooN aisi kahan ummeed thi gham bhi shaayad wo baraaye meharbaani de gaya sab hawaaeN le gaya mere samander ki koi aur muJhko ek kashti baadbaani de gaya khaiR maiN pyaasa raha, par usne itna to kiya mere palkoN ki kataroN ko wo paani de gaya
4. dard apnaata hai paraaye kaun kaun sunta hai aur sunaaye kaun kaun dohraaye puraani bateN gham abhi soya hai jagaaye kaun wo jo apne haiN, kya wo apne haiN aur dukh Jhele, aazmaaYeN kaun ab sukooN hai to bhoolne meiN hai lekin us shaksh ko bhulaaye kaun aaj fir dil hai kuch udaas-udaas dekhiye aaj yaad aaye kaun
5. muJhko yakeeN hai sach kehti thi jo bhi ammi kehti thi jab mere bachpan ke dine the, chaand meiN pariyaan rehti thee ek ye din jab apnoN ne bhi humse jnaata toD liya ek wo din jab ped ki shaakheN boJh hamara sehti thee ek ye din jab saari saDkeN ruThi ruThi lagti haiN ek wo din jab aaO khele saari galiyaN kehti thee ek ye din jab jaagi raateN diwaaroN ko takti hain ek wo din jab shaamoN ko bhi palkeN boJhal rehti thee ek ye din jab laakhoN gham aur kaal pada hai aaNsoon ka ek wo din jab ek zara sa baat pe nadiyaaN behti thee
6. sach ye hai bekaar meiN gham hota hai jo chaaha tha duniya meiN kam hota hai Dhalta suraj faila jangal rasta gum humse puchO kaisa aalam hota hai gairOn ko kab fursat hai dukh dene ki jab hota hai koi hamdum hota hai zakhm to humne in aankhoN se dekheN haiN logoN se sunte haiN marham hota hai zehan ki shaakhoN par ashaar aa jaateN haiN jab teri yaadOn ka mausam hota hai
7. dard ke phool bhi bikhar jaate haiN zakhma kaise bhi ho bhar jaate haiN jab dareeche meiN bhi ab koi nahin aur hum bhi sar jhukaaye huye chupchaap guzar jaateN hain raasta roke khaDi hai yahi ulJhan kabse koi pooche to keheN kya ki kidhar jaate haiN naram awaaz, bhali baateN muhazzaB lehze pehli barish meiN hi ye rang utar jaate haiN
8. dariya ka saahil ho, poore chaand ki raat ho aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho pariyoN ki mehfil ho, koi tumhari baat ho aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho ye naram mulaayam thanDi hawaayeN, jab ghar se tumhaare guzre tumhari khushboo churaayeN, mere ghar le aayen, kabhi yooN bhi to ho sooni har mehfil ho, koi na mere saath ho aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho ye baadal aise TooT ke barse, mere dil ki tarah milne ko, tumhara dil bhi tarse, tum niklo ghar se, kabhi yooN bhi to ho tanhaai ho dil do, boonde hoN barsaat ho aur tum aaO.

Love is Blind

1.   chak jigar ke see lete haiN
     jaise bhi wo jee lete haiN 
     
     dard mile to seh lete haiN 
     ashk mile to pee lete haiN

     aap kaheN to mar jaayeN hum  
     aap kaheN to jee lete haiN 

     bejari ke andhi-yaare meiN  
     jeene wale jee lete haiN

     hum to haiN un fuloN jaise  
     jo kaanTo meiN jee lete haiN 
     

2. kabhi khamosh baithogi, kabhi kuchh gungunaaogi maiN utna yaad aaoonga, mujhe jitna bhulaaogi koi jab poochh baithega, khamoshi kaa sabab tumse bahot samajahna chaahogi, magar samjhaa na paogee kabhi duniya mukkammal banake, aayengi nigaahOn meiN kabhi meri kami duniya ki, har ek shey meiN paaOgi kahiN par bhee raheN hum tum mohabbat fir mohabbat hai tumhe hum yaad aayenge, hameN tum yaad aaogee
3. wo kaun hai, duniya meiN jise, gam nahiN hota kis ghar meiN khushi hoti hai, maatam nahiN hota aise bhi haiN, duniya meiN jinheiN, gam nahiN hota ek hum haiN hamaara, kabhi kam nahiN hota kya surmaa bhari, aankhoN se, aansoo nahiN girte kya mehandi lage, hathoN se, matam nahiN hota kuch aur bhee, hotiN haiN, bigadane ki adaayeN par meri samaj ye, ek aalam nahiN hota
4. aaj ham bichhade haiNto, kitne rangeele ho gaye meri aankheN sukhi, tere haath peele ho gaye kab ki patthar ho chuki thee muntazir aankhe magar chhooke dekha to mere hath geele ho gaye jane kya ehsas saaz-e-husn taroN meiN haiN jinko chhoote hi mere nagmeN raseele ho gaye ab koi ummeed hai sahid, na koi aarzoo aasre TooTe to jeene ke waseele ho gaye
5. tum ye kaise juda ho gaye har taraf har jagah ho gaye apana chehra na badlaa gaya aayine se khafa ho gaye jaane waale gaye bhi kahaaN chand suraj ghaTa ho gaye bewafa to na wo the na hum yuuN hua bas juda ho gaye aadmi banana aasaaN na tha sheikhjee aarasa ho gaye
6. samajhte the, magar fir bhi, na rakhi dooriyaN humne charakhoN ko jalaane meiN, jalalee oongliyaaN humne koi titalee, hamare paas, aati bhi to kya aati sajae ang bhar kagaj ke phool-pattiyaaN humne yooN hi ghut ghut, ke mar jana, humeN manjoor thaa lekin kisi kambal par, zaahir na ki, majbooriyaaN humne hum us mehfil meiN bas ek bar sach bolane vali jubaaN par umR bhar mehsoos kee chingariyaaN humne
7. aaj fir unka saamna hoga kya pata uske baad kya hoga aasmaaN ro raha hai do din se aapne kuchh kaha suna hoga do kadam par sahee tera gooncha ye bhi sadiyoN ka fasala hoga ghar jaltaa hai roshni ke liye koi mujhsaa bhi dil-jala hoga
8. ek jaam bhee leke, kuchh log ladkhadayeN peene gaye the chalke, le gaye uthake sahebaaN ki aabaroo par, pani na fare 'saqi' maiN khud bhee pi raha hooN, aansoo mila mila ke wo mere lagajeesho , tana kide kar rahe hai jo maikade meiN khud bhi, chalate haiN lad-khadaake ek deen tu aa ke bhi, mannat ki laaj rakha le kab se ujadata hun, mehfil saja saja ke ae man najeer rakhana, dera-e-muto ko (!!!) dil ke bade dhani hai, baithe haiN dhan luta ke

Mirage

1.  apni marzi se kahaN apni safar ke hum haiN
    rukH hawaaON ka jidhar ka hai udhar ke hum haiN

    pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai
    apne hi ghar meiN kisi doosre ghar ke hum haiN

    waqt ke saath miTTi ka safar sadiYoN se
    kisko maaloom kahan ke haiN kidhar ke hum haiN

    chalte rehte haiN ke chalnaa hai musaafir ka naseeb
    sochte rehte haiN kis raah guzar ke hum haiN


2. rishta kya hai tera mera maiN hooN shab aur tu hai sawera tu hai chaand sitoroN jaisa meri kismat ghoR andhera phooloN jaise raaheN teri kaaToN jaisa mera Dera aata jaata hai ye jeewan pal-do-pal ka raiN basera
3. dushman ko bhee seene se lagana nahiN bhoole hum apne buzurgoN ka zamana nahiN bhoole tum aaNkhoN ki barsaat bachaaye huye rakhna kuch log abhi aag lagaana nahiN bhoole ye baat alag haath qalam ho gaye apne hum aapki tasveer bananaa nahiN bhoole ik umR huyee maiN to hansi bhool chuka hooN tum ab bhee mere dil to dukhaana nahiN bhoole
4. koi chaudhweeN raat ka chaaNd bankar tumhaare tasavvuR meiN aaya to hoga kisi se to kee hogi tumne mohabbat kisi ko gale se lagaya to hoga tumhaare khayaloN ke angDaaiyoN meiN meri yaad ke phool mehKe to honge kabhi apne aanKhoN ke kaajal se tumne mera naam likhkar miTaaya to hoga laboN se mohabbat ka jaadoo jagake bhari bazm meiN sabse nazareN bachaake nigaahoN ki raahoN se dil meiN samaake kisi ne tumHe bhee churaaya to hoga kabhi aaeeNe se nigaaheN milakar jo lee hogi bharpoor angDaaiyoN toone to ghabraake khud teri angDaaiyoN ne tere husN ko gud-gudaaya to hoga
5. ik baramhahN ne kaha hai ke ye saal achhaa hai zulm ki raat ab jaldi Dhalegi abto aag choolhoN meiN har ek roz jalegi abto bhookh ke maare koi bachha nahiN royega chaiN ki neeNd har ik shaksh yahaN soyega aandhi nafrat ki chalegi na kahiN ab ke baras pyaar ki faSl ugaayegi zamiN ab ke baras hai yakiN ab na koi shor-sharaaba hoga zulm hoga na kahiN khoon-kharaaba hoga Os or dhooP ke sadme na sahega koi ab mere desh meiN be-ghar na rahega koi naye waadoN ka jo Daala hai wo jaal achha hai rehnumaaoN ne kaha hai ke ye saal achha hai dil ke khoosh rakhne meiN 'Ghaalib' ye khayal achha hai
6. maiN na hindoo na musalmaan muJhe jeene do dosti hai mera imaaN muJhe jeene do koi ehsaaN na karo muJhpe to ehsaaN hoga siRf itna karo ehsaaN muJhe jeene do sabke dookh-dard ko apna samaJh ka jeena bas yahi hai mera armaaN muJhe jeene do log hote haiN jo hairaaN mere jeene se log hote rahe jairaaN muJhe jeene do
7. zindagi say badi saza hi nahin aur kya jurm hai pata hi nahin itne hissoN meiN bat gaya hoon maiN meray hisay meiN kuch bacha hi nahin sach ghatay ya badey to sach na rahey jhooth ki koi intehaa hi nahin jad do chaandi meiN chahey sonay meiN aaiana jhooth bolta hi nahin
8. mai rahe meena rahe gardhish meiN paimaana rahe mere saaqi tu rahe aabaad maikhaana rahe harsh hee to ho chuka rukh se nahiN haTthi naqaab hadh bhee aakhir kuch hai kab tak koi deewaana rahe raat ko jo baiThte haiN roz hum majnu ke paas pehle an-ban reh chuki hai ab to yaaraana rahe zindagi ka luTf ho uDati rahe hardam 'riyaz' hum hoN seeshe ke pari ho ghar parikhaana rahe

Unique

1.   muJhe gusaa dikhaaya jaa raha hai
     tabassum ko dabaaya jaa raha hai

     wahaN tak aabroo jaBt-e-gham hai 
     jahaN tak mushkuraaya jaa raha hai

     do aalam maiNe chODe jiske khaatir
     wahi daaman chuDaaya jaa raha hai

     kareeb aane meiN hai ujko takalluF
     wahiN se mushkuraaya jaa raha hai


2. kaun aayega yahan koi na aaya hoga mera darwaaza hawaaoN ne hilaaya hoga dil-e-naadaaN na dhaDak ae dil-e-naadaaN na dhaDak koi khat leke paDosi ke ghar aaya hoga gul se lipTi huyee titli ko girakar dekho aandhiyoN tumne daraftoN ko giraaya hoga 'kaif' pardesh meiN math yaad karo apna makaaN abke baarish ne use toD giraaya hoga
3. buJh gayee tapti huyee dil ki agaN saanJh ne chup-chaap hi pee lee agaN raat rijH aayee pehan ujla wasan pRaan tum kyooN mauN ho kuch gun-gunaaO chaandni ke phool tum mushkuraaO ek nili jHeel sa faila achal aaj ye aakaash hai itna saJal chaaNd jaise roop ka uBhraa kamal raat bhar is roop ka jaadoo jagaaO pRaan tum kyooN mauN ho kuch gun-gunaaO chal raha hai chait ka chanchal pawan ...............bikhri huyee undal sakhan aaj ho kaJraa udaasi hai nayan maaNg bhar lo baal par bindiyaa sajaaO pRaan tum kyooN mauN ho kuch gun-gunaaO
4. tera chehra kita suhaana lagta hai tere aage chaand puraana lagta hai tirche-tirche teer nazar ke lagte haiN seedha-seedha dil pe nishaana lagta hai aag ka kya pal-do-pal meiN lagti hai buJhte buJhte ek zamaana lagta hai sach to ye hai phool ka dil bhee chalni hai haNste haNste ek bahaana lagta hai
5. maan mausam ka kaha chaayee ghaTa jaam uTha aag se aag buJha phool khila jaam uTha ae mere yaar tuJhe uski kasam deta hooN bhool jaa shikwe gile haath mila jaam uTha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyoN jaisa der kay karna yahaN haath baDha jaam uTha pyaar hi pyaar hai sab log baraabar haiN yahaN maikade meiN koi choTa na baDa jaam uTha
6. bas ek waQt ka khanJar meri talaash meiN hai jo roJ bhesh badal ka meri talaash meiN hai maiN ek katra hooN mera alag waJood to hai hua kare jo samandar meri talaash meiN hai maiN dewtaa ki tarah qaid apne mandir meiN wo mere jisM ke baahar meri talaash meiN hai maiN jiske haath meiN ek phool deke aaya tha usi ke haath ka patthar meri talaash meiN hai
7. mere kareeb na aaO ke maiN sharaabi hooN mera ..... jagaaO ke maiN sharaabi hooN zamaaNe bhar ke nigaahoN se gir chuka hooN maiN nazar se tum na giraaO ke maiN sharaabi hooN ye aRz karta hooN gir kar khulush waaloN se uTha sakO to uthaaO ke maiN sharaabi hooN tumhari aaNkh se bhar looN suroor aaNkhoN meiN nazar nazar se milaaO ke maiN sharaab hooN
8. aap se gila aap kee kasam sochte rahe kar sake na hum uski kyaa khata la dawa hai gham kyooN gila kareN chaargar se hum ye nawazisheN aur ye karam farte shauK se mar na jaaye hum khechte rahe umR bhar muJhe ik tarah khuda ik taraf sanam ye agar nahiN yaar ki gali chalte chalte kyoon ruk gaye kadam

Cry for Cry

1.   ab main ration ki kataRon mein naZar aata hooN
     apne khetoN se bichchaDne ki saza paata hooN

     itnee menhgaayee ke bazaar se kuch laata hooN
     apne bachchoN meiN us'se baanT ke sharmaata hooN

     apnee neendo ki lahoo pochne ki koshish meiN
     jaagte jaagte, thak jaata hooN so jaata hooN

     koi chaadar samaJh ke kheench na le fir se "Khaleel"
     maiN qafan oDh kar foot-paath pe so jaata hooN
 


2. aaj ke daur mein ae dost ye manjhar kyoon hai. zakhM har sar pe har ik haath meiN paththaR kyoon hai jab haqeeqat hai ke har zaRRe meiN tu rehta hai fir zamiN par kahiN masjid kahin mandir kyoon hai apna anjaam to maaloom hai sabko phir bhi apnee nazroN mein har insaan sikandar kyoon hai zindagi jeene ke qaabil hi nahiN ab "Faakir" warna har aaNkh meiN ashkoN ka samandar kyoon hai
3. maa sunao mujhe wo kahani jisMe raja na ho na ho raNi jo hamari tumhari katha ho jo sabhi ke hriday ki gatha ho gandh jisme ho apni dhara ki baat jisme na ho apsara ki ho na pariYan jahaN aasmaani wo kahani ko hasna sikha de pet ki bhookh ko bhi mita de jisme sach ki bhari chaandni ho jisme um'meed ki roshni ho jisme na ho kahani puraani
4. kabhi aansoo kabhi khushi bechi hum gariboN ne bekasi bechi chaNd saanse khareedne ke liye roz thoDi si zindagi bechi jab rulaane lage muJhe saayee maiNe uqta ke roshni bechi ek hum the ke bik gaye khud hi warna duniya ne dosthi bechi
5. apne chechre se jo zaahir hai chupaayeN kaise teri marzi ke mutaabik nazar aayeN kaise ghar sajaaNe ka tasawwur bahut baad ka hai pehle ye tay ho ke is ghar ko bachchayeN kaise kar kaha aankh ka bartaav badal deta hai hansNe waale tuJhe aaNsoo nazar aayeN kaise koi apnee hi nazar se to hume dekhega ek qatre ko samandar nazar aayeN kaise
6. mujh mein jo kuch achchha hai sab uska hai. mera jitna charcha hai sab uska hai uska mera rishta baDa puraana hai maiNe jo kuch socha hai sab uska hai meree aankheN uski noor se roshan hai maiNe jo kuch dekha hai sab uska hai maiNe jo kuch khoya tha sab uska tha maiNe jo kuch paaya hai sab uska hai jitnee baar maiN TooTa hooN wo TooTa tha idhar udhar jo bikhRa hai sab uska hai
7. wo rulakar hans na paya der taq jab maiN rokar mushkuraaya der taq bhoolna chaaha agar usko kabhi aur bhi wo yaad aaya der taq bhookhe bachchoN ki tasalli ke liye maa ne phir paani pakaya der taq gungunata jaa raha tha ik fakeer dhoop rehti hai na saaya der taq
8. lab pe aati hai dua banke tamanna meri zindagi shamma ki surat ho khuda ya meri ho mere dum se yuN hi mere watan ki zeenat jis taraH phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho meri parwaane ki surat ya rab iLm ki shamma se ho muJhko mohabbat ya rab ho mera kaam gariboN ki himaayat karNa dard mando se zaeefoN se mohabbat karNa mere allaah buraayee se bachchana muJhko nek jo raah ho uss reh pe chalaana muJhko

Insight

1.   garaj baras pyaasi dharthi par phir paani de maula
     chidiyoN ko daane bacchoN ko guD-dhaani de maula

     do aur do ka jod hamesha chaar kahan hota haiN
     soch samajh waaloN ko thoDi naadaani de maula

     phir roshan kar zeher ka pyaala chamka nayee salibeN
     jhootoN ki duniya meiN sach ko taabaani de maula
   
     phir moorath se bahar aakar chaaroN aur bhikar ja
     phir mandir ko koi meera deewaani de maula

     tere hote koi kisi ki jaan ka dushman kyooN ho
     jeene waaloN ko marne ki aasaani de maula


2. Dohe
3. badlaa na apne aap ko jo the vahii rahe milte rahe sabhii se magar ajnabii rahe duniyaa na jeet paao to haaro na Khud ko tum Tho.Dii bahut to zaheN mein naaraazagii rahe apni tarah sabhii ko kisii kii talaash thii ham jiske bhii qariib rahe duur hii rahe guzro jo baaG se to duaa maa.Ngate chalo jismeiN khile hain phool wo Daalii harii rahe
4. ye zindagii aaj jo tumhaare badan kii chhoTii-baDii nasoN meiN machal rahii hai tumhaare pairoN se chal rahii hai ye zindagii tumhaarii aawaaz meiN Gale se nikal rahii hai tumhaare lafzoN meiN Dhal rahii hai ye zindagii jaane kitne sadiyoN se yuuN hii shaqleiN badal rahii hai badalatii shaqleiN badalate jismoN meiN chaltaa-phirtaa ye ik sharaaraa jo is ghaDii naam hai tumhaaraa isii se saarii chahal-pahal hai isii se roshan hai har nazaaraa sitaare toDo yaa ghar basaao qalam uThaao yaa sar jhukaao tumhaarii aaNkhoN kii roshnii tak hai khel saaraa ye khel hogaa nahiiN dubaaraa ye khel hogaa nahiiN dubaaraa
5. Jeevan kya hai
6. muuNh kii baateN sune har koii, dil kaa dard na jaane kaun aavaazoN ke baazaaroN meiN Khaamoshii pehachaane kaun sadiyoN sadiyoN wahii tamaashaa rastaa rastaa lambii khoy lekin jab ham mil jaate haiN, kho jaataa hai jaane kaun vo meraa aaeenaa hai maiN us kii parachhaaii huuN mere hii ghar meiN rehtaa hai, mujh jaisaa hii jaane kaun kiran kiran halkaa saa suuraj, palak palak khultii niiNndeN yuuN hii dil pighal rahaa hai, zaRRaa-zaRRaa jaane kaun
7. apna gham le ke kahin aur na jaaya na jaye ghar meiN bikhri huee cheezoN ko sajaaya jaye jin chiragoN ko hawaOn ka koi khauf nahiN un chiragoN ko hawaOn se bachaya jaye baag mein jaanay ke aadaab hua karte haiN kisi titlee ko na phoolon say udaya jaye ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar le kisi rote huye bachay ko hansaya jaye
8. chaaNd se phool se yaa merii zubaaN se suniye har taraf aap kaa qiSSaa jahaaN se suniye sab ko aataa hai duniyaa ko sataa kar jiinaa zindagii kyaa mohabbat kii duaa se suniye merii aawaaz pardaa mere chehare kaa maiN hooN Khaamosh jahaaN muJhko wahaaN se suniye kyaa zaRooii hai ki har pardaa uThaayaa jaaye mere haalaat apne apne makaaN se suniye

Desires

1.    din aa gaye sabaab ke aaNchal sambhaaliye
      hone lagi hai shehar meiN halchal sambhaaliye

      chaliye sambhal sambhal ke kaThin rah-e-ishq hai
      naazuk baDi hai aapKi paayal sambhaaliye

      saj dhaj ke aap nikle sare raah khair ho
      Takra na jaaye aapka paagal sambhaaliye
   
      ghar se naa jaaO door kisi ajnabi ke saath
      barseNge jor-jor se baadal sambhaaliye
 


2. ulfaT ka jab kisi ne liya naam ro paDe apni wafa ka soch ke anJaam ro paDe har shaam ye sawaal mohabbat se kya mila har shaam ye jawwab ke har shaam ro paDe raaH-e-wafa meiN humko khushi ki talaash thee do gaam hi chale the ke har gaam ro paDe roNa naseeb meiN hai to auroN se kya gila apne hi sar liya koi ilzaam ro paDe
3. gulshan ki faqat phooloN se nahiN kaaTon se bhi zeenat hoti hai jeene ke liye is duniya meiN gham ki bhi zaroorat hoti hai ae waaiz-e-naadan karta hai tu ek qayamat ka charcha yahan roz nigaHen milti haiN yahan roz qayamat hoti hai wo pursish-e-gham ko ayae HaiN kuch keh na sakooN chup reh na sakooN khaamosh rahooN to mushkil hai keh dooN to shikaayat hoti hai karna hi padega jabt-e-alam peene hi padenge ye aansoo fariyad-o-fugaaN se ae naadaaN tauheen-e-mohabbat hoti hai jo aake ruke daamal pe saba wo ashq nahiN hai paani hai jo ashq na chalke aankhoN se us ashq ki keemat hoti hai
4. shamme mazaar thee na koi sogwaar tha tum jis pe ro rahe the wo kiska mazaar thaa taDpoonga uMr bhar dil-e-marhoom ke liye kambaKht naamuraad laDakpan ka yaar thaa jaadoo hai ya tilisM tumhari jubaaN meiN tum jhooT keh rahe the muJhe aetbaar thaa kya kya hamari sazde kee ruswaaeeyaN huyeeN nakshe-kadam kisi ka sare rehguzaar thaa
5. ye kaisi mohabbat kahan ke fasaane ye peene pilaane ke sab haiN bahaane wo daaman ho unka ke sun-saan sehra bas humko to aakhir haiN aansoo bahaane ye kisne muJhe masth nazroN se dekha lage khud-ba-khud hi kadam laD-khaDaane chalo tum bhi 'gumnaam' ab maikade meiN tumhe daFn karne haiN kai gham puraane
6. kaanTon ki chubhan paayee phoolon ka maza bhi dil dard ke mausam meiN roya bhi hasa bhi aane ka sabab yaad na jaane ki khabar hai wo dil meiN raha aur use toD gaya bhi har ek se manzil ka pata pooch raha hai gumraah mere saath hua raahnuma bhi 'gumnaam' kabhi apnO se jo gam huye haasil kuch yaad rahe unme to kuch bhool gaya bhi
7. jab tera naam pyaar se likhti haiN oongliyaN meri taraf zamaane ki uThthi haiN oongliyaN daaman sanam ka haath meiN aaya tha ek pal din raat uss ek pal se mehakthi haiN oongliyaN jab se door ho gaye ho uss din se hee sanam bas din tumhare aane ke ginti haiN oongliyaN patthar taraash kar naa bana taj ek naya fankaar ke zamaane meiN kaTthi haiN oongliyaN
8. baat saaqi ki na Taali jaayegi karke tauba toD daali jaayegi dekh lena wo na khaali jaayegi aah jo dil se nikaali jaayegi gar yahi tarz-e-fugaN hai andali to bhi gulshan se nikaali jaayegi aate aate aayega unko khayaal jaate jaate bekhayali jaayegi kyoon nahiN milti gale se tegh-e-naaz id kya ab ke bhi khaali jaayegi

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts