Mera haal-e-dil kuch aisa hai k koi bata nehi skta,
suntay hein log per koi suna nehi skta
Hawaoon pay likha hai mein ne qissa apni hayat ka
kay koi lakh chahe b to mitaa nehi skta
har ek ki tamanna hai k phoolon pay guzray zindgi
per raah main paray kantoon ko koi hata nahi skta
dil mein dukh samoo k kab tak hanstay raho ge
aankhon mein aisay aansowoon ko koi chupa nehi skta
lakh chahe in mast mailon mein gum ho jaye
magar beetay howe lamhoon ko koi bhulla nehi skta
koi rooth jaye tum say to mana lena
kay jaane walon ko koi wapis bula nehi skta
her rooshan cheez ko paa lainay ki aarzo na kar
kay sooraj nikalta hai per uski taraf koi aankh utha nehi skta
samander ki lehroon pay likhte hein hum unka naam
kay koi aag laga b day per jala nehi skta
No comments:
Post a Comment