Saturday, November 5, 2011

Aarambh hai prachand...

Movie : Gulaal
Singer(s): Piyush Mishra, Swanand Kirkire
Music Director(s): Piyush Mishra
Lyricist(s): Piyush Mishra


Aarambh hai prachand,
Bolein mastakon ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do,

[ Aarambh hai prachand,
Bolein mastakon ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do,
Aan baan shaan,
Ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do ] - 2 times

Aarambh Hai Prachand....

[man kare so pran de,
Jo man kares so pran le,
Wohi to ek sarv shaktimaan hai ] - 2

Krishn Ki Pukaar Hai Ye,
Bhaagwat ka saar hai,
Ki yuddh hi to veer ka pramaan hai,
Kaurawon ki bheed ho,
Ya paandavon ka need ho,
Jo lad sakaa hai wohi To mahaan hai,
Jeet ki hawas nahi,
Kisi pe koi vash nahi,
Kya zindagi hai thokaron pe maar do,
Maut anth hai nahi,
To maut se bhi kyun darein,
Ye jaake aasmaano mein dahaad do!

Aarambh hai prachand,
Bolein mastakon ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do,
Aan baan shaan,
Yaki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do,
Aarambh Hai Prachand....

[Wo dayaa ka bhaav yaki,
Shaurya ka chunaav yaki,
Haar ka wo ghaav tum ye soch lo ] - 2

Yaki bhoore bhaal par,
Jalaa rahe vijay ka laal,
Laal ye gulaal tum ye soch lo,
Rang kesari ho ya mridang kesari ho,
Ya ki kesari ho taal tum ye soch lo,
Jis kavi ki kalpana mein,
Zindagi ho prem geet,
Us kavi ko aaj tum nakaar do,
Bheegti maso mein aaj,
Phoolti ragon mein aaj,
Aag ki lapat ka tum bhaghaar do,
Aarambh hai prachand,
Bolein mastakon ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do,
Aan baan shaan,
Yaki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do,
[Aarambh hai prachand... ] - 3 times

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts