Friday, November 4, 2011

Duryodhan ki Dasha..

Paandwo ne kaha :
Do nyay agar to aadha do, or usme yadi badha ho,
To dedo kewal paanch graam, or rakho apni dharti tamaam..!
Hum wahi khushi se khaayenge, or manmarji na uthayenge,

Lekin Duryodhan,
Duryodhan wo bhi de na saka, hansi samaj ki sah na saka,
Ulte hari ko baandhne chala, jo tha ashadhya saadhne chala,
Hari ne bhishad hunkaar kiya, apna swarup vistaar kiya,


Dagmag dagmag diggaj dole, bhagwaan kupit hokar bole,
Janjir badha kar saadh mujhe, haa aa duryodhan baandh mujhe,
Ye dekh magar mujhme lay h, ye dekh pawan mujhme may h,
Mujhme vilay ye sankaar sakal, mujhme hi ye sansaar sakal,
Sab janm mujhe se paate h, or laut mujhi me aate h,
Ye dekh mahabhaarat ka rad,
Jaha faili laasho ki bu h, pahchaan kaha isme tu h.....

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts