1. apni aankho ke samundar meiN utar jaane de tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de ay nayey dosth maiN samjhoonga tujhe bhee apna pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de aag duniya ki lagayee hui bhuj jayeygee koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de zakhm kitne teri chaahat se mile haiN mujko soNchtaa hoon ki kahoon tujhse magar jaane de
2. neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai dekh lena abhi kuch der meiN duniya kya hai baandh rakha hai kisee sonch ne ghar say humko Varna apna dar-o-deewar se rishta kya hai ret ki eenT ki pathar ki hooN ya miTTi ki kisi deewar ke saye ka barosa kya hai apni daanist me samjhay koi duniya `Shahid' warna hathoN meiN lakiroN ke ilaawa kya hai
3. apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai patthar beech aaeeena rakhna kitna mushkil hai kitna aasaaN hai tasveer banaana auroN kee khud ko pase-aaeenaa rakhna kitna mushkil hai tumne mandir dekhe honge ye mera aangan hai ek diya bhee jalta rakhna kitna mushkil hai chullu meiN ho dard ka dariya dhyaan meiN uske hoNTh yuN bhee khud ko pyaasa rakhna kitna mushkil hai
4. Lab-e-khaamosh se izhaar-e-tamanna chaahe baat karne ko bhee tasveer ka lehJa chaahe tu chale saath to aahaT bhee na aaye apni dar meiN aahan bhee na ho yuN tuJhe tanha chaahe khwaab meiN roye to ehsaas ho sairaaBi ka ret par soYeN magar aankh meiN dariya chaahe aise tairaaq bhee dekhe haiN 'muzaffar' humne gharq hone ke liye bhee jo sahara chaahe
5. log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon haiN itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyoon haiN main na jugnu hoon diya hoon na koi tara hoon roshni vaalay meray naam say jaltay kyoon haiN neend se mera taaluq hi nahin barso sein khawab aa aa kay meri chhat pay tehltay kyoon haiN mod hotaa hai jawaani ka sambhalne kay liye aur sab log yahin aa kay fisaltay kyoon haiN
6. mera dil bhi shauk say todo ek tajurba aur sahee lakh khilonay tod chukay ho ek khilona aur sahee raat hai gham ki aaj bhuja do jalta hua har ek chirag dil mein andhera ho hi chuka hai ghar mein andhera aur sahee dam hai niklta ik aashiq ka bheed hai aa kar dekh to lo lakh tamashay dekhay hongay ek nazaara aur sahee khanjar ley kar saunchtay kya ho qatl `Murad' bhi kar daalo daag hain sau daaman pe tumharay ek izaafa aur sahee
7. jhoothi sachchi aas pay jeena kab tak aakhir aakhir kab tak mai ki jagah khoon-e-dil peena kab tak aakhir aakhir kab tak saucha hai ab paar utraingay ya Takra kar doob marenge toofanoN ki zad pay safeena kab tak aakhir aakhir kab tak ek maheene ke waade par saal guzaara phir bhi na aaye waade ka yeh ek maheena kab tak aakhir aakhir kab tak saamnay duniya bhar ke gham hain aur idhar ik tanha hum hain sainkDo pathar ik aaiana kab tak aakhir aakhir kab tak
8. saare badan ka khoon paseene meiN jal gaya itna chale ke jiSm hamara piGhal gaya chalthehi gin rahe the' museebat ke raat din dam lene hum jo baith gaye dam nikal gaya achha hua jo raah meiN Thokar lagee humeN hum gir paDe to saara jamaana sambhal gaya wehshat meiN koi saath humara na de saka daaman ke fiKr kee to garebaaN nikal gaya
9. saamne hai jo usey log bura kehte haiN jisko dekha hee nahi usko khuda kehte haiN zindagi ko bhee sila kehte haiN kehne waale jeene waale to gunaahoN kee saza kehte haiN faasile umR ke kuch aur badha deti hai jaaney kyoon log use phir bhee dawa kehte haiN chand masoom se pattoN ka lahoo hai `Fakir' jisko mehboob ke haathoN ki hina kehte haiN
10. ye kareN aur wo kareN aisa kareN waisa kareN zindagi do din ki hai do din mein hum kya kya kareN jee meiN aaata hai ki deiN parde se parde ka jawaab hum se wo parda kareN duniyaa se hum parda kareN sun raha hoon kuch luTere aa gayey haiN shehar meiN aap jaldi bandh apne ghar ka darwazaa kareN is puraani be-wafa duniya ka rona kab talak aaiyey mil-jul ke ik duniya nayee paida kareN
11. jahan jahan mujhe sehra dikhayee deta hai meri tarah se akela dikhayee deta hai yeh ek abR ka tukDa kahan kahan barse tamam dasht hi pyaasa dikhayee deta hai yeh kis maqaam pe laayee hai justjoo teri jahan se arsh bhi nicha dikhayee deta hai
12. shaayad aa jaayega saaqi ko taras ab ke baras mil na paya hai un aankhon ka bhi ras ab ke baras aisi chaayi thi kahan gham ki ghatayeN pehle haan mere deedar tar khoob baras ab ke baras oof wo un umad bhari aankhon ke chlakthe huye jaam badh gayi aur bhi peene ki hawas ab ke baras pehle ye kab tha ki wo mere hain main unka hoon unki yaadon ne sataya hai tho bas ab ke baras
Thursday, September 8, 2011
Beyond Time
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Popular Posts
-
Raabta Meaning : There are many different views about the word but as far as i think it is an Arabic or Urdu word which is stands fo...
-
following version is written by Gulzar Saheb for the movie ‘ Ghulami ‘. inspired by Hazrat Amir Khosro's poet written in Persian + Br...
-
The lyrics are: Zihaal-e-Miskeen maqun ba-ranjish, bahaal(ba-haal)-e-hijra bechara dil hei..... Hindi: Iss gareeb/laachaar(miskeen) di...
-
Dilo me apni betabiyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Nazar me khwabo ki bizliyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Hawa k j...
-
Rajesh Khanna (born Jatin Khanna ) (29 December 1942 - 18 July 2012[1]) was an Indian actor in Hindi films, and was also a film producer ...
-
umass minutemen tickets unc pembroke braves tickets unlv rebels tickets Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsik...
-
Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye Pyar Nahin Hai Khel Priye, Tum MA 1st Division Ho, Main Hua Matric Phel Priye, Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye...
-
Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsika, Joi Music Director : Pritam Lyricist : Amitabh Bhattacharya Kehte ...
-
Tamil Movie 3Three Dhanush,Shruthi Hassan singing Kolavari Di Meaning of Kolavari Song:- Its a song of drunk boy who is asking his girlf...
-
Zehaal-e-miskeen makun taghaful, Duraye naina banaye batiyan. Do not overlook my misery, by blandishing your eyes and weaving tales, Ke ...
No comments:
Post a Comment