1. din aa gaye sabaab ke aaNchal sambhaaliye hone lagi hai shehar meiN halchal sambhaaliye chaliye sambhal sambhal ke kaThin rah-e-ishq hai naazuk baDi hai aapKi paayal sambhaaliye saj dhaj ke aap nikle sare raah khair ho Takra na jaaye aapka paagal sambhaaliye ghar se naa jaaO door kisi ajnabi ke saath barseNge jor-jor se baadal sambhaaliye
2. ulfaT ka jab kisi ne liya naam ro paDe apni wafa ka soch ke anJaam ro paDe har shaam ye sawaal mohabbat se kya mila har shaam ye jawwab ke har shaam ro paDe raaH-e-wafa meiN humko khushi ki talaash thee do gaam hi chale the ke har gaam ro paDe roNa naseeb meiN hai to auroN se kya gila apne hi sar liya koi ilzaam ro paDe
3. gulshan ki faqat phooloN se nahiN kaaTon se bhi zeenat hoti hai jeene ke liye is duniya meiN gham ki bhi zaroorat hoti hai ae waaiz-e-naadan karta hai tu ek qayamat ka charcha yahan roz nigaHen milti haiN yahan roz qayamat hoti hai wo pursish-e-gham ko ayae HaiN kuch keh na sakooN chup reh na sakooN khaamosh rahooN to mushkil hai keh dooN to shikaayat hoti hai karna hi padega jabt-e-alam peene hi padenge ye aansoo fariyad-o-fugaaN se ae naadaaN tauheen-e-mohabbat hoti hai jo aake ruke daamal pe saba wo ashq nahiN hai paani hai jo ashq na chalke aankhoN se us ashq ki keemat hoti hai
4. shamme mazaar thee na koi sogwaar tha tum jis pe ro rahe the wo kiska mazaar thaa taDpoonga uMr bhar dil-e-marhoom ke liye kambaKht naamuraad laDakpan ka yaar thaa jaadoo hai ya tilisM tumhari jubaaN meiN tum jhooT keh rahe the muJhe aetbaar thaa kya kya hamari sazde kee ruswaaeeyaN huyeeN nakshe-kadam kisi ka sare rehguzaar thaa
5. ye kaisi mohabbat kahan ke fasaane ye peene pilaane ke sab haiN bahaane wo daaman ho unka ke sun-saan sehra bas humko to aakhir haiN aansoo bahaane ye kisne muJhe masth nazroN se dekha lage khud-ba-khud hi kadam laD-khaDaane chalo tum bhi 'gumnaam' ab maikade meiN tumhe daFn karne haiN kai gham puraane
6. kaanTon ki chubhan paayee phoolon ka maza bhi dil dard ke mausam meiN roya bhi hasa bhi aane ka sabab yaad na jaane ki khabar hai wo dil meiN raha aur use toD gaya bhi har ek se manzil ka pata pooch raha hai gumraah mere saath hua raahnuma bhi 'gumnaam' kabhi apnO se jo gam huye haasil kuch yaad rahe unme to kuch bhool gaya bhi
7. jab tera naam pyaar se likhti haiN oongliyaN meri taraf zamaane ki uThthi haiN oongliyaN daaman sanam ka haath meiN aaya tha ek pal din raat uss ek pal se mehakthi haiN oongliyaN jab se door ho gaye ho uss din se hee sanam bas din tumhare aane ke ginti haiN oongliyaN patthar taraash kar naa bana taj ek naya fankaar ke zamaane meiN kaTthi haiN oongliyaN
8. baat saaqi ki na Taali jaayegi karke tauba toD daali jaayegi dekh lena wo na khaali jaayegi aah jo dil se nikaali jaayegi gar yahi tarz-e-fugaN hai andali to bhi gulshan se nikaali jaayegi aate aate aayega unko khayaal jaate jaate bekhayali jaayegi kyoon nahiN milti gale se tegh-e-naaz id kya ab ke bhi khaali jaayegi
Thursday, September 8, 2011
Desires
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Popular Posts
-
Raabta Meaning : There are many different views about the word but as far as i think it is an Arabic or Urdu word which is stands fo...
-
following version is written by Gulzar Saheb for the movie ‘ Ghulami ‘. inspired by Hazrat Amir Khosro's poet written in Persian + Br...
-
The lyrics are: Zihaal-e-Miskeen maqun ba-ranjish, bahaal(ba-haal)-e-hijra bechara dil hei..... Hindi: Iss gareeb/laachaar(miskeen) di...
-
Dilo me apni betabiyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Nazar me khwabo ki bizliyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Hawa k j...
-
Rajesh Khanna (born Jatin Khanna ) (29 December 1942 - 18 July 2012[1]) was an Indian actor in Hindi films, and was also a film producer ...
-
umass minutemen tickets unc pembroke braves tickets unlv rebels tickets Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsik...
-
Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye Pyar Nahin Hai Khel Priye, Tum MA 1st Division Ho, Main Hua Matric Phel Priye, Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye...
-
Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsika, Joi Music Director : Pritam Lyricist : Amitabh Bhattacharya Kehte ...
-
Tamil Movie 3Three Dhanush,Shruthi Hassan singing Kolavari Di Meaning of Kolavari Song:- Its a song of drunk boy who is asking his girlf...
-
Zehaal-e-miskeen makun taghaful, Duraye naina banaye batiyan. Do not overlook my misery, by blandishing your eyes and weaving tales, Ke ...
No comments:
Post a Comment