1. sachchi baat kahi thee maiNe logoN ne sooli pe chaDhaya muJhko zehaR ka jaaM pilaaya phir bHi unko cha'in na aaya sachchi baat kahi thee maiNe leke jahaN bhi waqt gaya hai zulM mila hai zulm saha hai sach ka Ye Inaam mila hai sachchi baat kahi thee maiNe sab se behtaR kabhi na ban'na jag ke rehBar kabhi na ban'na peer pa'yambar kabhi na ban'na sachchi baat kahi thee maiNe chup rehkar hi waqt guzaarO sach kehne pe jaaN math waaro kuch to seekho muJh se Yaaro sachchi baat kahi thee maiNe
2. dairO haram meiN basNe waaLe mai-KhaRo meiN phooT na Daalo ThoofaaN se hum TaKraaYenge tum apNi kashthi ko samBhalO maiKhana meiN aaYe waaee'z inko bhi insaaN bana Lo aarizoN-laB saada rehne do tajMahal pe rang na daalo
3. besabab baat baDhaaNe ki zaroorat kya hai hum khaFa kab the maNaane ki zaroorat kya hai aapKe dum se to duniYa ka bhaRam hai kaaYam aap jab haiN to zamaaNe ki zaroorat kya hai tera kucha, tera dar, teri gali kaafi hai be-ThikanO ko Thikane ki zaroorat kya hai dil se miLne ki tamanna hi nahiN jab dil meiN haath se haath milaaNe ki zaroorat kya hai ranG aankhoN ke liye boo hai damaagoN ke liye phool ko haaTh lagaane ki zaroorat kya hai
4. zindagGi tune lahoo leke diYa kuch bhi nahiN tere daamaN meiN mere waaste kYa kuch bhi nahiN mere in haathoN ki chaaho to talaashi le lO mere haathoN meiN lakiroN ke siwa kuch bhi nahiN humNe dekha hai kai aise khudaOn ko yahaN saamNe jinke wo sach much ka khuda kuch bhi nahiN Yaa khuda ab ke ye kis ranG se aaYi hai bahaaR zarD hi zarD hai peDoN pe hara kuch bhi nahiN dil bhi ik zid pe aDa hai kisi bachche ki taraH ya to sab kuch hi ise chaachiYe ya kuch bhi nahiN
5. tumNe badle humSe gin-gin ke liye humNe kya chaaha tha is din ke liye waSl ka din aur itna mukhTasar din giNe jaate the is din ke liYe wo nahiN sunte hamari kYa kareN maanGte haiN hum dua jinke liYe chaahNe waalO se gar matlab nahiN aap phir paida hua kinke liYe baarabaaN kaliYan ho halqe ranG ki bheJnee hai ek kamsin ke liYe
6. pyaaR ka pehla khat liKhne meiN waqt to lagta hai naYe pariNdo ko uD'dne meiN waqt to lagta hai jiSm kee baat nahiN thi unKe dil taq jaana tha lambi doori tay kaRne meiN waqt to lagta hai gaanTh agar pad jaaye to phir rishte ho ya Dori laakh kareN koshish khulne meiN waqt to lagta hai humNe ilaaze zakhme dil to DhoonD liya lekin gehRe zakhmoN ko bharNe meiN waqt to lagta hai
7. jeete rehNe ki saza de, zindaGi ae zindaGi ab to maRne ki dua de zindaGi ae zindaGi maiN to ab uqta gaya hoon kya yahi hai qaayanaat bas Ye aa'ieena haTa de zindaGi ae zindaGi DhoonDne niklaa Tha tuJhko aur khud ko kho diYa tu hi ab mera pata de zindaGi ae zindaGi Yaa muJhe ehsaas ki ees qaid se kar de riHaa waRna deewana banaade zindaGi ae zindaGi
8. sheiKhji thoDi see peeKar aa'iye mai hai kYa shai pHir hume batlaa'iYee aap kYoon haiN saari duniya se khaFa aap bHi dusHman mere ban jaa'iye kYa hai achcha, kya buRa banda-nawaaZ aap samJheN to hume samJhaa'iYe jaaNe diJe akL ki baateN janaaB dil ki suniYe aur peete jaa'iYe
Thursday, September 8, 2011
Face to face
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Popular Posts
-
Raabta Meaning : There are many different views about the word but as far as i think it is an Arabic or Urdu word which is stands fo...
-
following version is written by Gulzar Saheb for the movie ‘ Ghulami ‘. inspired by Hazrat Amir Khosro's poet written in Persian + Br...
-
The lyrics are: Zihaal-e-Miskeen maqun ba-ranjish, bahaal(ba-haal)-e-hijra bechara dil hei..... Hindi: Iss gareeb/laachaar(miskeen) di...
-
Dilo me apni betabiyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Nazar me khwabo ki bizliyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Hawa k j...
-
Rajesh Khanna (born Jatin Khanna ) (29 December 1942 - 18 July 2012[1]) was an Indian actor in Hindi films, and was also a film producer ...
-
umass minutemen tickets unc pembroke braves tickets unlv rebels tickets Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsik...
-
Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye Pyar Nahin Hai Khel Priye, Tum MA 1st Division Ho, Main Hua Matric Phel Priye, Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye...
-
Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsika, Joi Music Director : Pritam Lyricist : Amitabh Bhattacharya Kehte ...
-
Tamil Movie 3Three Dhanush,Shruthi Hassan singing Kolavari Di Meaning of Kolavari Song:- Its a song of drunk boy who is asking his girlf...
-
Zehaal-e-miskeen makun taghaful, Duraye naina banaye batiyan. Do not overlook my misery, by blandishing your eyes and weaving tales, Ke ...
No comments:
Post a Comment