Thursday, September 8, 2011

In Search

1.   apne hoThoN par sajaana chaahta hooN
     aa tuJhe maiN gun-gunaana chaahta hooN
 
     koi aaNsoo tere daaman par girakar
     boond ko moti banaana chaahta hooN

     thak gaya maiN karte-karte yaad tuJhko
     ab tuJhe maiN yaad aana chaahta hooN

     chaa raha hai saari basti meiN andhera
     roshni ko ghar jalaana chaahta hooN

     aakhri hichki tere zaanO pe aaye
     maut ko bhi shaayarana chaahta hooN



2. dosti jab kisi se kee jaaye dushmano ki bhi raaye lee jaaye maut ka zahar hai fizaoN meiN ab kahan ja kay saans lee jaaye bas isee soNch meiN hooN dooba hua ye nadi kaise paar kee jaaye mere maazi ke zakhm bharne lage aaj phir koi bhool kee jaaye botlayeN khol ke to pee barsoN aaj dil khol ke bhee pee jaaye
3. kahiN aisa naa ho daaman jala lo hamaare aaNsooN par khaaK daalo manaana hee zaroori hai to fir tum hume sabse khafa hokar mana lo bahut royee huyee lafti haiN aaNkheN meri khaatir zara kaajal laga lo akelepan se khauF aata hai muJhko kahan jo ae mere khwab-o-khayaaloN bahut masoom baitha hooN maiN tumse kabhi aakar muJhe haiRat meiN daalO
4. yaa to miT jaa'iye ya miTa dijiye kijiye jo bhi sauda khaRa kijiye ab jafa kijiye ya wafa kijiye aakhri waqt hai bas dua kijiye apnee chehre se zulfeN haTa dijiye aur phir chaand ka saamna kijiye har taraf phool hi phool khil jaayenge aap aise hee haNste raha kijiye aapkee ye haNsi jaise ghoongru baje aur qayamat hai kya ye bata dijiye
5. kaise kaise haadse sehte rahe hum yuNhi jeete rahe haNste rahe uske aa jaane kee um'meedeN liye raasta muD muD ke hum takte rahe waqt to gujra magar kuch is tarah hum charaagoN kee tarah jalte rahe kitne chehre the humaare aas-paas tum hi tum dil meiN magar baste rahe
6. khaamoshi khud apni sada ho aisa bhi ho sakta hai sannaTa hee goonJ raha ho aisa bhi ho sakta hai mera maaJi muJh se bichaD kar kya jaane kis haal meiN hai meri taraH wo bhi tanha ho aisa bhi ho sakta hai sehra sehra kab tak maiN DhoonDooN ulfat ka ek aalam aalam aalam ik sehraa ho aisa bhi ho sakta hai aehle tooFaaN soNch rahe haiN saahil dooba jaata hai khud unka dil dooB raha ho aisa bhi ho sakta hai
7. bebasi Jurm hai hauslaa jurm hai zindagi teri ek-ek adaa Jurm hai ae sanam tere baare meiN kuch soNchkar apne baare meiN kuch sochna Jurm hai yaad rakhna tuJhe mera ek Jurm thaa bhool jaana tuJhe doosra Jurm hai kya sitam hai ke tere haseeN sehar meiN har taraf gaur se dekhnaa Jurm hai
8. jab kisi se koi gila rakhnaa saamne apne aai'ina rakhna YuN ujaaloN se waasta rakhnaa shamma ke paas hi hawa rakhnaa ghar ki taameer chaahe jaisi ho ismeN rone ki jageH rakhnaa masJideN haiN namaaziYoN ke liye apne ghar meiN kahiN khuda rakhnaa milan-julna jahaN zaroori ho milne-julne ki hauslaa rakhnaa

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts