Zindagi ki shor, rajnit ki apadhaati, rishton naataon ke galiyon aur kya khoya kya paaya ke baazaaro se aage, soch ke raaste par kahin ek aisa nukkaD aata hai jahan pahunch kar insaan ekaaki ho jaata hai. tab, jaag uththa hai ek kavi. fir shabdon ke rangoN se jeewan ki anokhi tasveeren banti haiN, kavitaayen aur geet, sapnoN ki tarah aate haiN aur kaagaz par hamesha ke liye apna ghar bana lete hain. Atal ji ki ye kavitaayen, aise hi pal, aise hi chaaON mein likhi gayi haiN, jab sunane waale aur sunaane waale meiN, tum aur maiN ki deewaareN TooT jaati hai, duniya ki saari dhaDkaNe simat kar ek dil meiN aa jaati haiN, aur kavi ke shaBd duniya ke har samwelan sheel insaan ke shaBD ban jaate haiN.
1. kya khoya kya paaya jag meiN milte aur bicHaDte mag meiN muJhe kisi se nahiN sHikaayat taddapi chhala gaya pag-pag meiN ek drishTi biti par daale yaadoN ki potali tatole prithwi laakhoN warsH puraani jeewan ek anant kahani par tan ki apni seemaayeN taddapi sau shardoN ki vaaNi itna kaafi hai antim dastak par khud darwaajaa khole jaNm-maraN ka avirat fera jeewan banzaroN ka Dera aaJ yahaN kal kahan kuch hai kaun jaanta kidhar savera andhiyara aakaash aseemiit pRaanoN ke pankhoN ko taule apne hi man meiN kuch bole
ABV: emergency lagi thi, saara desh ek jail-khaane mein badal diya gaya thaa. swatantrataon ka apharan hua thaa. badi sankhya mein log giraftaar kiye gaye the, jailon mein band kiye gaye the. jab ek saal beet gaya tho maine ek choti si kavita likhi... jhulsaata jeth maas sharad chaandni udaas siski bharte saawan ka antarghat beet gaya ek baras beet gaya ek baras beet gaya 2. ek baras beet gaya jhulsaata jeth maas sharad chaandni udaas siski bharte saawan ka antarghat beet gaya ek baras beet gaya seekachoN meiN simTa jag kintu vikal pRaaN wihaG dharti se ambar tak gooNJ mukti geet gaaya ek baras beet gaya path nihaarte nayan ginte din, pal chHin lauT kabhi aayega man ka jo meet gaya ek baras beet gaya
ABV: jo kal tthe, wae aaj nahin hain jo aaj haiN, kal nahiN honge hone na hone ka kRam isi tarah chalta rahega hum hain, hum rahenge, ye bhRam bhi sada palta rahega satya kya hai? hona ya na hona. ya dono hi satya hai. jo hai uska hona satya hai. jo nahin hai, uska na hona satya hai. mujhe lagta hai ke, hona na hona, dono ek hi satya ke do ayaam hain shesh sab samjah ka bhed, buddhi ke wyayaam hain 3. chauraaHe par luTha cheer pyaade se pit gaya vazeer chalooN aakhri chaal ki baazi choD wirakthi rachaaooN maiN raah kaun si jaaooN maiN sapna janmaa aur mar gaya madhu ritu meiN baag jHaD gaya tinke bikHre huye baTorooN ya nav shRishTi sajaaooN maiN raah kaun si jaaooN maiN do din mile udhaar meiN ghaaTe ke vyaapaar meiN ksHan-ksHan ka hisaab joDooN maiN yaa pooNJi shesh lutaaooN maiN raah kaun si jaaooN maiN
ABV: maine bahut kam kavitaayeN likhi haiN waQt nahin milta, lekin jab kabhi meri saal girah aati hai tab, pichle kuch saalon se main har saal girah par ek kavita likhtaa hoon. jeewan ki dhalne lagi saanJh umar ghat gayi dagar kat gayi jeewan ki dhalne lagi saanJh badleN hain arth shabdh huye wyarth shaant bina khushiyan hain baanJh jeewan ki dhalne lagi saanJh 4. jeevan beet chala kal , kal karte, aaJ haath se nikale saare bhoot bhaViShyat ki chiNta meiN wartmaaN ki baazi haare peHra koi kaam na aaya rasgHaT reet chala jeewan beet chala haani-laabh ke palaDoN meiN tultaa jeewan vyapaar ho gaya mol laga bikne waale ka bina bika bekaar ho gaya muJhe haaT meiN cHhoD akela ek-ek kar meet chalaa jeewan beet chala
ABV: emergeny ke dauraan, jab meri tabiyat kharaab huyi, tab mujhe bangalore ke jail se all india medical institute mein laaya gaya. chauthi ya paanchvi manzil par rakha gaya thaa. kada pehra thaa. lekin, roz sawere meri aankh achanak khul jaati thi. kaarn ye thaa ke rone ki awaaz aathi thi. maine pata lagaane ka pryaas kiya, ye awaaz kahan se aa rahi hai, kiski awaaz hai, tho mujhe bataya gaya ke medical institute mein raat mein jin marizon ka dehant ho jaata hai, ghar waalon ko unki laash sawere di jaati hai. sawere, unhe ye jaankaari milti hai ke unka priya jan nahi raha. rone ki awwaz, mujhe wichlit kar gayi door se awaaz aati thi magar hriday ko cheer kar chali jaati thi 5. door kahiN koi rota hai tan par pehra bhaTak raha man saathi hai kewal soonapan bichuD gaya kya swajan kisi ka kRandan sada kaRun hota hai jaNm - diwas par hum iThlaate kyon na maraN tyohaaR manaate antim yaatra ke awsar par aaNsoo ka aShkun hota hai antar roye, aaNkh na roye dhul jayenge swapNa saNjaaye chalna bhar wishwa meiN kewal sapna hi sach hota hai is jeewan se mRityu bhali hai aaNtkit jab gali-gali hai maiN bhi rota aaspaas jab koi kahiN nahiN hota hai door kahiN koi rota hai
ABV: emergency ke baad logon ne janata party par apna wishwaas pRakaT kiya thaa. jay prakash ji humaare neta thhe. unke nethritWa meiN humne raj ghat par jaa kar shapatH li thi, ke hum milkar chalenge, milkar desh ka bhala karenge. lekin aisa na hua. janata party TooT gayi, bikhar gayi. jay prakash ji ne apne aankhon ke aage janata party ka durghaTan dekha. gandhi ji ke kaaran rajghat par jay prakash ji ke nethritwa mein jo shapath li gayi thi, uska humne paalan nahin kiya. uska hameN afsos rahega. usi samay maine ye kavita likhi thi jo meri piDa ko thodi maatra mein wyakt karti hai. kshama karo bapu, tum humko, wachan bhang ki humne purani. raj ghat ko kiya apawan, manzil bhoole, yaatra aadhi. jay prakash ji rakho bharosa, toote sapnoN ko jodenge. chitha bhasm ki chingaari se, andhkaar ki gaDh todenge. 6. kadam milakar chalna hoga, baadhaayeN aati haiN aayeN, ghiRe pRalay ki ghoR ghaTaayeN, paawoN ke neeche angaareN, sir par barse yadi jwaalaayeN, nij haath se haNste-haNste, aag laga kar jalna hoga. kadam milakar chalna hoga. haaSya-rudaya meiN, toofaanoN meiN, amar asaNkHyaK balidaanoN meiN, uddhaanoN meiN veeraanoN meiN, apmaanoN meiN, sammanonN meiN, uNNat mastak, uBhara seena, peeDaaoN meiN palna hoga. kadam mila kar chalna hoga. uJiyaare meiN andhkaar meiN kal kacHaar meiN, beech dhaar meiN, ghoR ghRiNa meiN, poot pyaar meiN, ksHanik jeet meiN deeRgh haar meiN jeewan ke shat-shat aakarShak, armaanoN ko dalna hoga. kadam mila kar chalna hoga.
Thursday, September 8, 2011
Samvedna (Sensitivity)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Popular Posts
-
Raabta Meaning : There are many different views about the word but as far as i think it is an Arabic or Urdu word which is stands fo...
-
following version is written by Gulzar Saheb for the movie ‘ Ghulami ‘. inspired by Hazrat Amir Khosro's poet written in Persian + Br...
-
The lyrics are: Zihaal-e-Miskeen maqun ba-ranjish, bahaal(ba-haal)-e-hijra bechara dil hei..... Hindi: Iss gareeb/laachaar(miskeen) di...
-
Dilo me apni betabiyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Nazar me khwabo ki bizliyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Hawa k j...
-
Rajesh Khanna (born Jatin Khanna ) (29 December 1942 - 18 July 2012[1]) was an Indian actor in Hindi films, and was also a film producer ...
-
umass minutemen tickets unc pembroke braves tickets unlv rebels tickets Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsik...
-
Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye Pyar Nahin Hai Khel Priye, Tum MA 1st Division Ho, Main Hua Matric Phel Priye, Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye...
-
Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsika, Joi Music Director : Pritam Lyricist : Amitabh Bhattacharya Kehte ...
-
Tamil Movie 3Three Dhanush,Shruthi Hassan singing Kolavari Di Meaning of Kolavari Song:- Its a song of drunk boy who is asking his girlf...
-
Zehaal-e-miskeen makun taghaful, Duraye naina banaye batiyan. Do not overlook my misery, by blandishing your eyes and weaving tales, Ke ...
No comments:
Post a Comment