Thursday, September 8, 2011

Mirage

1.  apni marzi se kahaN apni safar ke hum haiN
    rukH hawaaON ka jidhar ka hai udhar ke hum haiN

    pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai
    apne hi ghar meiN kisi doosre ghar ke hum haiN

    waqt ke saath miTTi ka safar sadiYoN se
    kisko maaloom kahan ke haiN kidhar ke hum haiN

    chalte rehte haiN ke chalnaa hai musaafir ka naseeb
    sochte rehte haiN kis raah guzar ke hum haiN


2. rishta kya hai tera mera maiN hooN shab aur tu hai sawera tu hai chaand sitoroN jaisa meri kismat ghoR andhera phooloN jaise raaheN teri kaaToN jaisa mera Dera aata jaata hai ye jeewan pal-do-pal ka raiN basera
3. dushman ko bhee seene se lagana nahiN bhoole hum apne buzurgoN ka zamana nahiN bhoole tum aaNkhoN ki barsaat bachaaye huye rakhna kuch log abhi aag lagaana nahiN bhoole ye baat alag haath qalam ho gaye apne hum aapki tasveer bananaa nahiN bhoole ik umR huyee maiN to hansi bhool chuka hooN tum ab bhee mere dil to dukhaana nahiN bhoole
4. koi chaudhweeN raat ka chaaNd bankar tumhaare tasavvuR meiN aaya to hoga kisi se to kee hogi tumne mohabbat kisi ko gale se lagaya to hoga tumhaare khayaloN ke angDaaiyoN meiN meri yaad ke phool mehKe to honge kabhi apne aanKhoN ke kaajal se tumne mera naam likhkar miTaaya to hoga laboN se mohabbat ka jaadoo jagake bhari bazm meiN sabse nazareN bachaake nigaahoN ki raahoN se dil meiN samaake kisi ne tumHe bhee churaaya to hoga kabhi aaeeNe se nigaaheN milakar jo lee hogi bharpoor angDaaiyoN toone to ghabraake khud teri angDaaiyoN ne tere husN ko gud-gudaaya to hoga
5. ik baramhahN ne kaha hai ke ye saal achhaa hai zulm ki raat ab jaldi Dhalegi abto aag choolhoN meiN har ek roz jalegi abto bhookh ke maare koi bachha nahiN royega chaiN ki neeNd har ik shaksh yahaN soyega aandhi nafrat ki chalegi na kahiN ab ke baras pyaar ki faSl ugaayegi zamiN ab ke baras hai yakiN ab na koi shor-sharaaba hoga zulm hoga na kahiN khoon-kharaaba hoga Os or dhooP ke sadme na sahega koi ab mere desh meiN be-ghar na rahega koi naye waadoN ka jo Daala hai wo jaal achha hai rehnumaaoN ne kaha hai ke ye saal achha hai dil ke khoosh rakhne meiN 'Ghaalib' ye khayal achha hai
6. maiN na hindoo na musalmaan muJhe jeene do dosti hai mera imaaN muJhe jeene do koi ehsaaN na karo muJhpe to ehsaaN hoga siRf itna karo ehsaaN muJhe jeene do sabke dookh-dard ko apna samaJh ka jeena bas yahi hai mera armaaN muJhe jeene do log hote haiN jo hairaaN mere jeene se log hote rahe jairaaN muJhe jeene do
7. zindagi say badi saza hi nahin aur kya jurm hai pata hi nahin itne hissoN meiN bat gaya hoon maiN meray hisay meiN kuch bacha hi nahin sach ghatay ya badey to sach na rahey jhooth ki koi intehaa hi nahin jad do chaandi meiN chahey sonay meiN aaiana jhooth bolta hi nahin
8. mai rahe meena rahe gardhish meiN paimaana rahe mere saaqi tu rahe aabaad maikhaana rahe harsh hee to ho chuka rukh se nahiN haTthi naqaab hadh bhee aakhir kuch hai kab tak koi deewaana rahe raat ko jo baiThte haiN roz hum majnu ke paas pehle an-ban reh chuki hai ab to yaaraana rahe zindagi ka luTf ho uDati rahe hardam 'riyaz' hum hoN seeshe ke pari ho ghar parikhaana rahe

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts