Thursday, September 8, 2011

Insight

1.   garaj baras pyaasi dharthi par phir paani de maula
     chidiyoN ko daane bacchoN ko guD-dhaani de maula

     do aur do ka jod hamesha chaar kahan hota haiN
     soch samajh waaloN ko thoDi naadaani de maula

     phir roshan kar zeher ka pyaala chamka nayee salibeN
     jhootoN ki duniya meiN sach ko taabaani de maula
   
     phir moorath se bahar aakar chaaroN aur bhikar ja
     phir mandir ko koi meera deewaani de maula

     tere hote koi kisi ki jaan ka dushman kyooN ho
     jeene waaloN ko marne ki aasaani de maula


2. Dohe
3. badlaa na apne aap ko jo the vahii rahe milte rahe sabhii se magar ajnabii rahe duniyaa na jeet paao to haaro na Khud ko tum Tho.Dii bahut to zaheN mein naaraazagii rahe apni tarah sabhii ko kisii kii talaash thii ham jiske bhii qariib rahe duur hii rahe guzro jo baaG se to duaa maa.Ngate chalo jismeiN khile hain phool wo Daalii harii rahe
4. ye zindagii aaj jo tumhaare badan kii chhoTii-baDii nasoN meiN machal rahii hai tumhaare pairoN se chal rahii hai ye zindagii tumhaarii aawaaz meiN Gale se nikal rahii hai tumhaare lafzoN meiN Dhal rahii hai ye zindagii jaane kitne sadiyoN se yuuN hii shaqleiN badal rahii hai badalatii shaqleiN badalate jismoN meiN chaltaa-phirtaa ye ik sharaaraa jo is ghaDii naam hai tumhaaraa isii se saarii chahal-pahal hai isii se roshan hai har nazaaraa sitaare toDo yaa ghar basaao qalam uThaao yaa sar jhukaao tumhaarii aaNkhoN kii roshnii tak hai khel saaraa ye khel hogaa nahiiN dubaaraa ye khel hogaa nahiiN dubaaraa
5. Jeevan kya hai
6. muuNh kii baateN sune har koii, dil kaa dard na jaane kaun aavaazoN ke baazaaroN meiN Khaamoshii pehachaane kaun sadiyoN sadiyoN wahii tamaashaa rastaa rastaa lambii khoy lekin jab ham mil jaate haiN, kho jaataa hai jaane kaun vo meraa aaeenaa hai maiN us kii parachhaaii huuN mere hii ghar meiN rehtaa hai, mujh jaisaa hii jaane kaun kiran kiran halkaa saa suuraj, palak palak khultii niiNndeN yuuN hii dil pighal rahaa hai, zaRRaa-zaRRaa jaane kaun
7. apna gham le ke kahin aur na jaaya na jaye ghar meiN bikhri huee cheezoN ko sajaaya jaye jin chiragoN ko hawaOn ka koi khauf nahiN un chiragoN ko hawaOn se bachaya jaye baag mein jaanay ke aadaab hua karte haiN kisi titlee ko na phoolon say udaya jaye ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar le kisi rote huye bachay ko hansaya jaye
8. chaaNd se phool se yaa merii zubaaN se suniye har taraf aap kaa qiSSaa jahaaN se suniye sab ko aataa hai duniyaa ko sataa kar jiinaa zindagii kyaa mohabbat kii duaa se suniye merii aawaaz pardaa mere chehare kaa maiN hooN Khaamosh jahaaN muJhko wahaaN se suniye kyaa zaRooii hai ki har pardaa uThaayaa jaaye mere haalaat apne apne makaaN se suniye

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts