Thursday, September 8, 2011

Ghazals from Films

1.   tum itna jo muskura rahe ho
     kya gham hai jisko chupaa rahe ho

     aankhoN meiN namee haNsi laboN par
     kya haal hai kya dikhaa rahe ho

     ban jaayenGe zaher peete peete
     ye ashQ jo peete rahe ho
     
     jin zakhmoN ko waqt bhar chala hai
     tum kyooN unhe cheDe jaa rahe ho

     rekhaaOn ka khel hai muqqaddar
     rekhaaOn se maat khaa rahe ho     


2. too nahiN to zindagi meiN aur kya reh jaayega door tak tanhaaeeyoN ka silsila reh jaayega dard ki saari tahe aur saare guzre haadse sab dhooaN ho jaayenge ik faakeya reh jaayega yuN bhee hoga wo muJhe dil se bhula dega maGar ye bhee hoga khud usee meiN ik khala reh jaayega daayre inkaar ke iqraar kee sargoshiyaaN ye agar TooTe kabhee to faaslaa reh jaayega
3. koi ye kaise bataaye ke wo tanha kyooN hai wo jo apna thaa wahi aur kisi ka kyooN hai yahi duniya hai to phir aisee ye duniya kyooN hai yahi hota hai to aakhir yahi hota kyooN hai ik zara haath baDha deN to pakaD le daaman uske seene meiN sama jaaye hamari dhaDkan itni kurbat hai to phir faaslaa itna kyooN hai dil-e-barbaad se nikla nahiN ab tak koi ik loote ghar pe diya karta hai dastak koi aas jo TooT gayee phir se bandhaata kyooN hai tum asarrat ka kahO ya ise gham ka rishta kehte hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta hai janam ka jo ye rishta to badalta kyooN hai
4. kyooN zindagi ki raah mein majboor ho gaye itne huye kareeb ke hum door ho gaye aisa naheeN ke humko koi bhee khushi nahiN lekin ye zindagi to koi zindagi nahiN kyooN iske faisle hameN manzoor ho gaye paaya tumHe to humko laga tumko kho diya hum dil pe roye aur ye dil humpe ro diya palkoN se khwaab kyooN gire kyooN choor ho gaye
5. Jhuki jhuki si nazar beqaraar hai ke nahiN daba daba sa sahee dil meiN pyaar hai ke nahiN tu apne dil ki jawaaN dhaDkanoN ko gin ke bata meri tarah tera dil beqaraar hai ke nahiN wo pal ke jis meiN mohabbat jawaaN hoti hai us ek pal ka tuJhe intezaar hai ke nahiN teri umeed pe ThukRaa raha hooN duniya ko tuJhe bhee apne pe ye aitbaar hai ke nahiN
6. tum ko dekha to ye khayaal aaya zindagi dhoop tum ghana chaaya aaj phir dil ne ik tamanna ki aaj phir dil ko humNe samJhaaya tum chale jaaoge to socheNge humne kya khoya humne kya paaya hum jise gunguna nahiN sakte waqt ne aisa geet kyooN gaaya
7. pyar muJh se jo kiyaa tumne to kya paaogi mere haalaat ki aandhi meiN bikhar jaaogi ranj aur dard ki basthi ka maiN baashinda hooN ye to bas maiN hooN ke is haal meiN bhi zinda hooN khwaab kyoon dekhooN wo kal jispe maiN sahrminda hooN maiN jo sharminda hooN to aur tum bhi sharmaaogi kyooN mere saath koi aur pareshaaN rahe meri duniya hai jo weeraan to weeraan rahe zindagi ka ye safar tum pe to aasaan rahe humsafar muJhko banaaogi to pachtaaogi ek maiN kya abhi aayenge diwaane kitne abhi goonjeNge mohabbat ke taraane kitne zindagi tumko sunaaegi fasaane kitne kyoon samaJhti ho muJhe bhool nahi paaogi
8. ye bata de muJhe zindagi pyaar ki raah ke humsafar kis tarah ban gaye ajnabee ye bata de muJhe zindagi phool kyooN saare muJhaa gaye kis liye buJh gayee chandini kal jo baahoN meiN thee aur nigaahoN meiN thee ab wo garmi kahaaN kho gayee na wo andaaz hai na wo awaaz hai ab wo narmi kahaaN kho gayee bewafa tum nahiN bewafa hum nahiN fir wo jazbaat kyooN so gaye pyaar tumko bhi hai pyaar humko bhi hai faasle phir ye kyooN ho gaye ye bata de muJhe zindagee
9. humsafar banke hum saath haiN aaj bhee fir bhee hai ye safar ajnabi ajnabi raah bhee ajnabi mod bhee ajnabi jaayeN hum kidhar ajnabi ajnabi zindagi ho gayee hai sulagta safar door tak aa raha hai dhuaaN sa nazar jaane kis mod par kho gayee har khushi deke dard-e-jigar ajnabi janabi humne chun chun ke tinke banaaya tha jo aashiyaaN hasratoN se sajaaya tha jo hai chaman meiN wahi aashiyaaN aaj bhee lag raha hai magar ajnabi ajnabi kisko maaloom tha din ye bhee aayenge mausamoN kee tarah dil badal jaayenge din hua ajnabi raat bhee ajnabi har ghaDi har pahar ajnabi ajnabi
10. rishtaa ye kaisa hai naata ye kaisa hai pehchaan jisse nahiN thee kabhi apna bana hain wahi ajnabi rishtaa ye kaisa hai naata ye kaisa hai tumhe dekhte hee rahooN main hamesha mere saamNe yoon hee baithe rahO tum karooN dil ki baateN maiN khaamoshiYoN se aur apne laboN se na kuch bhee kahO tum ye rishta hai kaisa, ye naata hai kaisa tere tan ki khushboo bhee lagti hai apni ye kaisi lagan hai ye kaisa milan hai tere dil ki dhaDkan bhee lagti hai apni tumhe paake mehsoos hota hai aise ke jaise kabhi hum judaa hee nahin the ye maana ke jismoN ke ghar to naye hain magar hai puraane ye bandhan diloN ke
11. phir aaj muJhe tumko bas itna bataana hai hasna hee jeewan hai haste hee jaana hai madhuban ho ya gulshan ho patjhad ho ya saawan ho har haal meiN insaaN ka ik phool sa jeewan ho kaantoN meiN ulajh ke bhi khushboo hee lutaana hai hasna hee jeewan hai haste hee jaana hai har pal jo guzar jaaye daaman ko to bhar jaaye ye soch ke jee leiN tho takdeer saWar jaaye is uMr kee raahoN se khushiyoN ko churaana hai hasna hee jeewan hai haste hee jaana hai sab dard miTaa de hum, har gham ko saza de hum kehte hai jise jeena duniya ko sikha de hum ye aaj to apna hai kal bhee apnaana hai hasna hee jeewan hai haste hee jaana hai
12. ye tera ghar ye mera ghar kisi ko dekhna ho gar to pehle aake maaNg le meri nazar teri nazar ye tera ghar ye mera ghar ye ghar bahut haseen hai ye ghar bahut haseen hai ye ghar bahut haseen hai na baadloN ke chaaOn meiN naa chandni ke gaaOn meiN na phool jaise raaste bane haiN iske waaste magar ye ghar ajeeb hai zameen ke kareeb hai ye eet-pattharoN ka ghar hamaari hasratoN ka ghar jo chaandni nahin to kya ye roshni hai pyaar ki diloN ke phool khil gaye to fikR kya bahaar ki hamaare ghar na aayegi kabhi khushi udhaar ki hamaari raahatoN ka ghar hamaari chaahatoN ka ghar yahan mahak wafaaoN ki mohabbatoN ka rang hai ye ghar tumhara khwaab hai ye ghar meri umang hai na aarzoo pe qaid hai na hausle pe jung hai humare hausloN ka ghar hamaari himmatoN ka ghar
13. ye daulat bhi le lo, ye shoHrat bhi le lo bhale cheen lo muJhse meri jawaani magar muJhko lauta do bachchpan ka saawan wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani mohalle ki sabse nishaani purani wo buDhiya jise bachche kehte the naani wo naani kee baatoN mein pariYoN ka DeRa wo chehre ke JhuriYoN meiN sadiYoN ka phera bhulaaYe nahiN bhool saqta hai koi wo choti see raateN wo lambi kahaaNi kaDi dhooP meiN apne ghar se nikalna wo chiDiya wo bulbul wo thithli pakaDna wo guDiya ki shaadi pe laDna jHagaDna wo JhooloN se girna, wo giR ke sambhalNa wo pithal ke challoN ke pyaare se tho'fe wo TuTi hui chudiYoN ki nishaani kabhi re't ke ooNche Tilon pe jaana gharOnde banana, banaake miTaana wo maasoom chaahat ki tasveer apni wo khwaboN khiloNo ki taabir jaageer apni na duniYa ka gham tha na rishtoN ke bandhan baDi khoobsoorat thi wo zindgaani
14. mere dil meiN tu hi tu hai dil ki dawa kya karooN dil bhee tu hai jaaN bhee tu hai tuJhpe fidaa kya karooN khud ko khoke tuJhko paakar kya kya mila kya kahooN teri hoke jeene meiN kya aaya maza kya kahooN kaise din haiN kaisee raateN kaisi fizaa kya kahooN meri hoke tune muJhko kya kya diyaa kya kahooN meri pehloo meiN jab tu hai phir maiN dua kya karooN dil bhee tu hai jaaN bhee tu hai tuJhpe fidaa kya karooN hai ye duniya dil ki duniya milke rahenge yahaan lootenge hum khushiyaaN har pal dukh na sahenge yahaaN armaano ke chanchal dhaare aise bahenge yahaaN ye to sapno ki jannat hai sab hi kahenge yahaN ye duniya mere dil meiN basi hai dil se juda kya karooN dil bhee tu hai jaaN bhee tu hai tuJhpe fidaa kya karooN

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts