Thursday, September 8, 2011

Mirza Ghalib

Ibteda


      haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
      kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur 


      Balli maarhah ke mahalle ki wo pechida daleeloN ki see wo galiYan
      saamne Taal ke nuKkad pe baTeroN ke posheede
      guD-guDaati hui paaN pi peekoN meiN wo daad wo waH-waH
      chand darwaaze par laTke huye boshida se kuch TaaT ke parde
      ek baKri ke mamiyaane ki awaaZ
      aur dhoondhlaayi huyi shaam ke be-noor andhere
      aise deewaroN se mooH joD kar chalte haiN yahaN
      chuDi-waala unke katri ke badi bee jaise
      apNi boojHti hui aaNkhoN se darwaaze TaTole
      aisee be-noor andheri see gali qaasim se
      ek quran-e-sukhan ka safa khulta hai
      asad allah Khan 'GHalib' ka patha milta hai.


1. har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ? tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ? ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ? chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ? jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ? rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
2. aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ? aashiqee sabr talab aur tamanna betaab dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ? ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak
3. ishq mujhko naheeN, wehshat hee sahee meree wehshat, teree shohrat hee sahee ham bhee dushman to naheeN haiN apne GHair ko tujh se mohabbat hee sahee ham koee tarq-e-wafa karte haiN na sahee ishq, museebat hee sahee
4. qaasid ke aate aate khat ik aur likh rakhooN main jaanta hooN jo wo liKhenge jawaab meiN kab se hooN kya bataaooN jahaan mein kharaab meiN jab haaye hizr ko bhi rakhoo gar hisaab meiN muJh tak kab unki bazm meiN aata thaa dauR-e-jaam saaqi neiN kuch mila na diya ho sharaab meiN taaqir na intezaar meiN neeNd aaye umr bhar aaNe ka 'ehed kar gaYe aaYe jo khwaaB meiN 'GHalib' chuTi sharaab par ab bhi kabHi kabHi peeta hooN roj-e-abro shab-e-maahtaab meiN
5. hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle
6. dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ? royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ? dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ? haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ? 'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ? roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?
7. woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ? woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ? thee woh ik shaKHs ke tasavvur se ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN ? 'eisa aasaaN naheeN lahoo rona dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ? fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN ?
8. tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota agar aur jeete rehte yahee intezaar hota ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
9. baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ? too dekh ke kya rang tera mere aage imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage
10. kisee ko de ke dil koee nawaa_sanj-e-fuGHaaN kyoN ho ? na ho jab dil hee seene meiN to fir muNh meiN zubaaN kyoN ho ? wafa kaisee ? kahaaN ka ishq ? jab sar phoDna THehra to fir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaaN kyoN ho ? yahee hai aazmaana to sataana kis ko kehte haiN ? `adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaaN kyoN ho ? qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte na Dar hamdam giree hai jis pe kal bijlee woh mera aashiyaaN kyoN ho ?
11. ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota agar aur jeete rehte yahee intezaar hota koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
12. koee din gar zindagaanee aur hai apne jee meiN hamne THaanee aur hai baarha dekhee haiN unkee ranjishaiN par kuchch ab ke sar_giraanee aur hai deke KHat muNh dekhta hai naamabar kuchch to paiGHaam-e-zabaanee aur hai ho chukeeN 'GHalib' balaayeN sab tamaam ek marg-e-naagahaanee aur hai
13. dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ? royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ? qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ? 'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ? roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?
14. zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai daaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN 'GHalib', sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai
15. dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ? aaKHir is dard kee dawa kya hai hamko unse wafa ki hai ummeed jo naheeN jaante wafa kya hai dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ? aaKHir is dard kee dawa kya hai ham haiN mushtaaq aur woh bezaar ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ? jab ki tujh bin naheeN koee maujood fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai jaan tum par nisaar karta hooN maiN naheeN jaanata duaa kya hai
16. unke dekhe se jo aa jaathi hai moonH par raunaq wo samajhteN haiN ke beemaar ka haal achcha hai dekhiye paate haiN pushaaq butoN se kya faiZ ik barhaman ne kaha hai ke ye saal achcha hai humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ko khusH rakHne ko 'GHalib' ye khayaal achcha hai
17. sab kahan-kuch lala-o-gul mein numaayaN ho gayee KHaaK mein kya surateN hongi ke piNhaN ho gayee ranZ se khu-garZ hua insaaN to mit jaata hai ranZ musHkilyeN muJh par padi itnee ke aasaaN ho gayee yuN hi gar rota raha 'GHalib' to e-ehle jahaaN deKHna in bastiyoN ko tum ke weeraaN ho gayee
18. na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ? huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota huee muddat ke 'GHalib' mar gaya par yaad aata hai wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts