1. dard se mera daaman bharde ya allah phir chahe deewana karde ya allah maine tuJh se chaand sitaare kab maange roshan dil bedaar nazar de ya allah suraj si ek cheez to hum sab dekh chuke sachmuch ki ab koi saher de ya allah ya dharti ke zakhmon par marham rakhde ya mera dil patthar kar de ya allah
2. tuJhse milne ki saza denge tere shehar ke log ye wafaoN ka sila denge tere shehar ke log kya khabar thee tere milne pe qayamat hogi muJhko deewaana bana denge tere shehar ke log teri nazaroN se giraane ke liye jaane-haya muJhko mujrim bhi bana denge tere shehar ke log kehke deewana muJhe maar rahe haiN patthar aur kya iske siwa denge tere shehar ke log
3. gham ka khazana tera bhi hai mera bhi ye nazraana tera bhi hai mera bhi apne gam ko geet bana kar gaa lena raag purana tera bhi hai mera bhi tu muJhko aur maiN tuJhko samJhaaooN kya dil deewana tera bhi hai mera bhi shehar meiN galiYoN galiYoN jiska charcha hai wo afsaana tera bhi hai mera bhi maikhaane kee baat na kar waaiz muJhse aana-jaana tera bhi hai mera bhi
4. kisko qaatil maiN kahooN kisko maseehaa samaJhooN sab yahaaN dost hee baiThe haiN kise kyA samaJhooN wo bhI kyA din the ke har vaham yakeeN hotA tha ab haqeekat nazar aaye to use kyA samaJhooN dil jo TooTaa to kaI haath duaa ko uTThe aise mAhaul meiN ab kis'ko paraayaa samaJhooN zulm ye hai ke hai yaqtaa terI begAnaaravee lutf ye hai ke maiN ab tak tujhe apanA samaJhooN
5. dil meiN ab dard-e-mohabbat ke siwa kuch bhi nahiN zindagi meri ibaadat ke siva kuch bhi nahiN maiN teri baargah-e-naaz mein kya pesh karoon meri Jholi meiN mohabbat ke siwa kuch bhi nahiN aye khuda muJh se na le mere gunaahoN ka hisaab mere paas ashq-e-nadamat ke siwa kuch bhi nahiN woh to miT kar muJhe mil hi gayee rahat waRna zindagi ranj-o-museebat ke siwa kuch bhi nahiN
6. har taraf har jagah beshumaar aadmee phir bhi tanhaaiyoN ka shikaar aadmee subah se shaam tak bojh Dhotaa hua apanee hi laash ka khud mazaaR aadmee har taraf bhaagate dauDate raaste har taraf aadmee ka shikaar aadmee roz jeetaa huA roz martaa hua har naye din nayaa intezaar aadmee zindagee kA muqaddar safar dar safar aakhree saaNs tak beqaraar aadmee
7. aankh se door na ho dil se utar jaayega waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega itna manoos na ho khilwat-e-gham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayega tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaoge aur woh baam-e-rifaqat se utar jayega zindagi teri ata hai to yeh jaane wala teri bakhshish teri dahleez pe dhar jayega8. meri tasveer meiN rang aur kisi ka to nahiN gher le muJhko sab aaNkheN maiN tamasha to nahiN zindagi tuJhse se har ik saaNs pe samJhauta karooN shauK jeene ka hai muJhko magar itna to nahiN rooh ko dard mila dard ko aaNkheN na mili tuJhko mehsoos kiya hai tuJhse dekha to nahiN soNchte soNchte dil dooBne lagta hai mera zehaN kee tay meiN 'muzaffar' koi dariya to nahiN
Volume II
9. mausam ko ishaaroN se bula kyoon nahiN lete rooThaa hai agar wo to manaa kyooN naheeN lete deewaana tumhaaraa koI gair naheeN machalaa bhI to seene se lagaa kyooN naheeN lete khat likhkar kabhI aur kabhI khat ko jalaakar tanhaaee ko raNgeen bana kyooN naheeN lete tum jaag rahe ho muJhako achchhaa naheeN lagtaa chupake se merI neeNd churaa kyooN naheeN lete
10. jo bhee bura bhala hai allah janta hai bande ke dil meiN kya hai allah janta hai yeh farsh-o-arsh kya hai allah janta hai pardoN meiN kya chhupa hai allah janta hai jaakar jahaan se koi wapas nahiN hai aata woh kaunsi jagah hai allah janta hai neki-badi ko apnee kitna hi tu chupaaye allah ko sab pata hai allah janta hai ye dhoop-chaoN dekho ye subah-shaam dekho sab kyoon ye ho raha hai allah janta hai kismat ke naam ko to sab jaante haiN lekin kismat meiN kya likha hai allah janta hai
11. dhoop meiN niklO ghaTaaOn meiN naha kar dekho zindagee kya hai kitaaboN ko haTaakar dekho wo sitaaraa chamakane do yooNhee aaNkhoN meiN kya zarooree hai us'e jism banaakar dekho pattharoN meiN bhee zubaaN hotI hai dil hota hai apane ghar ke dar-o-deewaar sajaakar dekho faasilaa nazaroN kA dhokhaa bhee to ho saktaa hai wo mile yA nA mile haath baDhaakar dekho
12. dhooaaN banake fizaaN meiN udaa diyaa muJhko maiN jal raha tha kisi ne bhJha diya muJhko khaDa hooN aaj bhi roTi ke chaar haRf liye sawaal ye hai kitaaboN ne kya diya muJhko safed sang kee chaadar lapeT kar muJhpar faseene shehar se kisi ne saja diya muJhko maiN ek zarra bulandi ko choone nikla thaa hawa ne tham ke zameeN par gira diya muJhko
13. mili hawaoN meiN uDne ki wo saza yaaro ke maiN zameen ke risHton se kat gaya yaaro woh be-khayal musafir maiN raasta yaaro kahan tha bas mein mere usko rokna yaaro mere kalam pe zamane kee gard aisee thee ke apne baare mein kuch bhi na likh saka yaaro tamaam sheher hi jiskee talaash mein gum tha maiN uske ghar ka pata kis'se poochta yaaro
14. tere jalwe ab muJhe harsoo nazar aane lage kaash yeh bhi ho ke muJh meiN tu nazar aane lage ibteda yeh thee ke dekhee thee khushi ki ek Jhalak inteha yeh hai ke gham harsoo nazar aane lage beqarari baDhte baDhte dil ki fitrat ban gayee shayed ab taskeen ka pehloo nazar aane lage khatM karde ae "Saba" ab shaam-e-gham ki daastaN dekh un aankhoN meiN bhee ansoo nazar aane lage
Thursday, September 8, 2011
Sajda
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Popular Posts
-
Raabta Meaning : There are many different views about the word but as far as i think it is an Arabic or Urdu word which is stands fo...
-
following version is written by Gulzar Saheb for the movie ‘ Ghulami ‘. inspired by Hazrat Amir Khosro's poet written in Persian + Br...
-
The lyrics are: Zihaal-e-Miskeen maqun ba-ranjish, bahaal(ba-haal)-e-hijra bechara dil hei..... Hindi: Iss gareeb/laachaar(miskeen) di...
-
Dilo me apni betabiyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Nazar me khwabo ki bizliyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Hawa k j...
-
Rajesh Khanna (born Jatin Khanna ) (29 December 1942 - 18 July 2012[1]) was an Indian actor in Hindi films, and was also a film producer ...
-
umass minutemen tickets unc pembroke braves tickets unlv rebels tickets Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsik...
-
Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye Pyar Nahin Hai Khel Priye, Tum MA 1st Division Ho, Main Hua Matric Phel Priye, Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye...
-
Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsika, Joi Music Director : Pritam Lyricist : Amitabh Bhattacharya Kehte ...
-
Tamil Movie 3Three Dhanush,Shruthi Hassan singing Kolavari Di Meaning of Kolavari Song:- Its a song of drunk boy who is asking his girlf...
-
Zehaal-e-miskeen makun taghaful, Duraye naina banaye batiyan. Do not overlook my misery, by blandishing your eyes and weaving tales, Ke ...
No comments:
Post a Comment