1. kiya hai pyar jise humne zindagi ki tarah wo aashna bhi mila humse ajnabi ki tarah kise khabar thi baDhegi kuch aur tareeqi chupega wo kisi badli meiN chandni ki tarah baDha ke pyaas meri usne haath choD diya wo kar raha tha murawwat bhi dillagi ki tarah sitam to ye hai ke wo bhi na ban saka apna qabool humne kiye jiske gam khushi ki tarah kabhi na socha tha humne 'qateel' uske liye karega hum pe sitam wo bhi har kisi ki tarah
2. wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare main tuJhko bhool ke zinda rahooN khuda na kare rahega saath tera pyaar zindagi bankar ye aur baat meri zindagi wafa na kare suna hai usko mohabbat duayeN deti hai jo dil pe choT to khaaye magar gila na kare ye theek hai nahin marta koi judaee meiN khuda kisi ko kisi se magar juda na kare
3. tujhko darya dili ki kasam saaqiya, mustakil daur par daur chalta raha raunak-e-maikada yooN hi baDhti rahe ek girta rahe ik sambhalta rahe shirf sabnam hi shaan-e-gulistaa nahin shola-o-gul ka bhi daur chalta rahe ashq bhi chasm-e-purnam se behte rahe aur dil se dhooaN bhi nikalta rahe tere kabze meiN hai ye mizaami jahaaN tu jo chaahe to sehra bane gulsitaaN har nazar par teri phool khilte rahe har ishaare pe mausam badalta rahe tere chehre pe ye zulf bikhri huyee neeNd ki godh meiN subah nikhri huyee aur is par sitam ye adaayeN teri dil hai aakhir kahan tak sambhalta rahe is meiN khoon-e-tamanna ki taaseer hai ye wafa-e-mohabbat ki tasveer hai aisi tasveer badle ye mumkeen nahin rang chaahe zamaana badalta rahe
4. muJhse milne ke wo karta tha bahaane kitne ab guzaarega mere saath zamaane kitne maiN gira tha to bahot log ruke the leKin sochta hooN muJhe aaye the uThaane kitne jis tarah maine tuJhe apna bana rakha hai sochte honge yahi baat na jaane kitne tum naya zakhm lagaO tumhe isse kya hai bharne waale hai abhi zakhm puraane kitne
5. uski baateN bahaar ki baateN waadiye na lazaar ki baateN gul-o-shabnam ka jiKr kar na abhi muJhko karni hai yaar ki baateN sheikh maikada hai qaaba nahiN yaaN to hogi khumaar ki baateN ishq ka kaarwaaN chala bhi nahiN aur abhi se gubaar ki baateN ye kafas aur tera khayaal-e-hasiN us pe harsooN bahaar ki baateN
6. hum to haiN pardesh meiN desh meiN nikla hoga chaaNd apni raat ki chhat par kitna tanha hoga chaaNd ho.. jin aankhoN meiN kaajal bankar tairi kaali raat un aankhoN meiN aaNsoo ka ik katra hoga chaaNd raat ne aisa pech lagaya TooTi haath se Dor aaNgan waale neem meiN jaakar aTka hoga chaaNd chaaNd bina har din yooN beeta jaise yug beethe mere bina kis haal meiN hoga kaisa hoga chaaNd
7. zakhm jo aapki inaayat hai is nishaani ko kyaa naam de hum pyaar deewar ban ke reh gaya hai, is kahaani ko kya naam de hum aap ilzaam dhar gaye hum par, ek ehsaan kar gaye hum par aapki ye bhi meharbaani hai, meharbaani ko naam kya de hum aap ko yuN hi zindagi samjha, dhoop ko humne chaaNdni samJha bhool hi bhool jiski aadat hai, ik jawaani ko naam kya de hum raat sapna bahaar ka dekha, din hua to gubaar sa dekha bewafa waqt bezubaaN nikla, bezubaani ko naam kya de hum
8. chale bhi aao wo hai kabR-e-faani dekhte jaaO tum apne marne waale ki nishaani dekhte jaaO abhi kya hai kisi ki hoo rulaayegi ye khaamoshi zubaan-e-haal ki zaado bayaani dekhte jaaO guroor-e-husN ka sadka koi jaata hai duniya se kisi ki khaak meiN milti jawaani dekhte jaaO sune jaate na the tumse mere din-raat ke shikwe kafan sar ka meri mezbaani dekhte jaaO
9. humsafar hota koi to baanT lete dooriyaaN raah chalte log kya samJhe meri majbooriyaaN muskuraate khwaab chunti gun-gunaati ye nazar kis tarah samJhe meri kismat ki na-manzooriyaaN haadisoN ki bheeD hai chalta hua ye kaarwaaN zindagi ka naam hai laachaariyaaN majbooriyaaN fir kisi ne aaj cheDa zikr-e-manzil is tarah dil ke daaman se lipatne aa gayi haiN dooriyaaN
10. aaj tum se bichhad raha hooN maiN aaj kehta hooN fir miloonga tumhe tum mera intezaar karti raho aaj ka aitbaar karti raho log kehte hain waqt chalta hain aur insaan bhi badalta hai kaash ruk jaaye waqt aaj ki raat aur badle na koi aaj ke baad waqt badle ye dil na badlega tum se rishta kabhi na tootega tum hi khooshboo ho meri saanso ki tum hi manzil ho mere sapno ki log boonte haiN pyaar ke sapne aur sapne bikhar bhi jaate haiN ek ehsaas hi to hai ye wafa aur ehsaas mar bhi jaate haiN
11. nama gaya koi na koi naamabar gaya teri khabar na aai zamaana guzar gaya hansta hooN yooN ke hiJr ki raateN guzar gayiN rota hooN yooN ke lutf-e-duaayeN saher gaya ab muJko hai qaraar to sab ko qaraar hai dil kya dhahar gaya ke zamaana thahar gaya ya rab nahiN maiN waapise rudaad-e-zindagi itna hi yaad hai ke jiya aur mar gaya
12. gham muJhe hasrat muJhe wehsat muJhe sauda muJhe ek dil dekar kuhda ne de diya kya kya muJhe ye namaz-e-ishq hai kaisa adab kiska adab apne paaye naaz par karne bhi do sazda muJhe dekhte hi dekte duniya se maiN uTh jaaoonga dekhti ki dekhti reh jaayegi duniya muJhe
13. dil ke ujle kaagaz par hum kaisa geet likheN bolo tumko gair likheN ya apna meeth likheN neele ambar ki angnai meiN taaroN ke phool mere pyaase hotoN par hai angaaroN ke phool in phooloN ko aakhir apni haar ya jeet likheN koi puraana sapna de do aur kuch meethe bol lekar hum nikle haiN apni aakhon ke kash khol hum banjaare preet ke maare kya sangeet likheN shaam khaDi hai ek chameli ke pyaale meiN shabnam jamuna ji ke oongli pakDe khel raha hai madhuban aise meiN ganga jal se radha ki preet likehN
14. na ho gar aashna nahin hota buth kisi ka khuda nahin hota tum bhi oos waqt yaad aate ho jab koi aasraa nahiN hota dil meiN kitna sukooN hota hai jab koi muddawa nahiN hota ho na jab tak shikar-e-naakami aadmi kaam ka nahiN hota zindagi thi shabaab tak 'seemab' ab koi saaneha nahiN hota
15. Shab-e-gham ae mere allah basar bhi hogi raat hi raat rahegi ke saher bhi hogi maiN ye sunta hooN ke wo duniya ki khabar rakhte haiN jo ye sach hai to unhe meri khabar bhi hogi chaiN milne se hai unke na juda rehne se aakhir ae ishq kisi tarha basar bhi hogi
Thursday, September 8, 2011
Your Choice
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Popular Posts
-
Raabta Meaning : There are many different views about the word but as far as i think it is an Arabic or Urdu word which is stands fo...
-
following version is written by Gulzar Saheb for the movie ‘ Ghulami ‘. inspired by Hazrat Amir Khosro's poet written in Persian + Br...
-
The lyrics are: Zihaal-e-Miskeen maqun ba-ranjish, bahaal(ba-haal)-e-hijra bechara dil hei..... Hindi: Iss gareeb/laachaar(miskeen) di...
-
Dilo me apni betabiyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Nazar me khwabo ki bizliyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Hawa k j...
-
Rajesh Khanna (born Jatin Khanna ) (29 December 1942 - 18 July 2012[1]) was an Indian actor in Hindi films, and was also a film producer ...
-
umass minutemen tickets unc pembroke braves tickets unlv rebels tickets Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsik...
-
Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye Pyar Nahin Hai Khel Priye, Tum MA 1st Division Ho, Main Hua Matric Phel Priye, Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye...
-
Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsika, Joi Music Director : Pritam Lyricist : Amitabh Bhattacharya Kehte ...
-
Tamil Movie 3Three Dhanush,Shruthi Hassan singing Kolavari Di Meaning of Kolavari Song:- Its a song of drunk boy who is asking his girlf...
-
Zehaal-e-miskeen makun taghaful, Duraye naina banaye batiyan. Do not overlook my misery, by blandishing your eyes and weaving tales, Ke ...
No comments:
Post a Comment