1. tum hamaare nahiN tho kya gham hai
hum tumhare tho haiN ye kya kam hai
husN ki shokiyaaN zara dekho
gaahe shola hai gaahe shabnam hai
mushkuraa do zara khuda ke liye
shamm-e-mehfil meiN roshni kam hai
ban gaya hai ye zindag ab to
tunJhse baDhkar hameN tera gham hai
2. teri berukhi aur teri meharbaaNi
yahi maut hai aur yahi zindgaaNi
wahi ek fasaana wahi ek kahani
jawaani jawaani jawaani jawaani
laboN par tabassuM
tho aankhoN mein hai paani
yahi hai yahi dil jaloN ki nishaani
bataaooN hai kya aaNsooN ki haqiqat
jo smJho tho sab kuch
na smJho tho paani
3. aankoN se yooN aaNsoo dhalke
saagar se jaise mai chalke
hum samJhe mafhoom-e-baharaaN
koi aya bhesh badal ke
kaash bata sakte parwaane
kya khoya kya paaye Jal ke
manzil tak wo kya pahuNchaaye
jisne dekhi raah na chal ke
4. abhi wo kamsin ubHar raha hai
abhi hai us par shabaab aadha
abhi jigar meiN khalisH hai aadhi
abhi hai muJhpar itaaB aadhaa
mere sawaal-e-wasl par
tum nazar jhuka kar khaDe huye ho
tumhi bataaO ye baat kya hai
swaal poora jawaab aadhaa
laga ke laare pe le tho aaya hooN
sheikh sahaaB ko maiqade tak
agar ye do ghooNT pi le
milege muJhko sabab aadha
kabhi sitam hai kabhi karam hai
kabhi tawaJJO kabhi tagaful
ye saaf zaahir hai muJhse ab tak
hua hooN maiN kaamyaab aadhaa
5. in ashkoN ko paani kehna
bhool nahiN naadaani hia
tan-man mein jo aag lagaaye
ye tho aise paani hai
kaise tum se iskq hua thaa
kya kya hum par biti hai
sunlo tho sachcha afsaana
warna ek kahaani hai
sheik-O-baRhaman zaahiD-O-waaeeZ
piree mein ye kya jaane
bhool bhi ho jaathi hai isme
iska naam jawaani hai
dukh-sukh sehna aur khush rehna
iskq mein laazim hai ye 'sahar'
dil waale ho math ghabraaO
ye tho reet puraani hai
sheik-O-baRhaman : mulla aur panDit
(islmic and hindu priest)
zaahiD-O-waaeeZ : tapaswi dharmik pracharak
(religious preacher)
6. phool bhare haiN daaman daaman
lekin weeraN ghshan gulshan
aKl ki baat karne waale
kya samJhoge dil ki dhaDkan
kaun kisi ke dukh ka saathi
apne aaNsooN apna daaman
tera daaman chodooN kaise
meri duniya tera daman
7. husn waaloN ka ehtaraam karo
kuch tho duniya meiN nek kaam karo
seikh aayeN hiaN Baawzoo hokar
ab tho peene ka intezaam karo
abhi barsenge har taraf jalwe
tum nighaahoN ka ehtamaam karo
log darne lage gunaahon se
barish-e-rehmat-e-tamaam karo
ehtaraam : izzat
(respect)
Baawzoo : wazoo karna
ehtamaam : prabandh
(arrangement)
barish-e-rehmat-e-tamaam : khuda ki kripa ki baarish
(shower of lords blessings)
8. utha suraahi ye sheesha-o-jaam le saaqi
fir iske baad khuda ka bhii naam le saaqi
fir uske baad hameN tishnagi rahe na rahe
kuch aur der murawwat se kaam le saaqi
fir iske baad jo hoga wo dekha jaayega
abhi to peene pilaane se kaam le saaqi
tere huzoor meiN hosh-o-kHirad se kya haasil
nahin hain mai tho nigaahon se kaam le saaqi
Thursday, September 8, 2011
Forget Me Not
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Popular Posts
-
Raabta Meaning : There are many different views about the word but as far as i think it is an Arabic or Urdu word which is stands fo...
-
following version is written by Gulzar Saheb for the movie ‘ Ghulami ‘. inspired by Hazrat Amir Khosro's poet written in Persian + Br...
-
The lyrics are: Zihaal-e-Miskeen maqun ba-ranjish, bahaal(ba-haal)-e-hijra bechara dil hei..... Hindi: Iss gareeb/laachaar(miskeen) di...
-
Dilo me apni betabiyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Nazar me khwabo ki bizliyan le kar chal rahe ho to zinda ho tum... Hawa k j...
-
Rajesh Khanna (born Jatin Khanna ) (29 December 1942 - 18 July 2012[1]) was an Indian actor in Hindi films, and was also a film producer ...
-
umass minutemen tickets unc pembroke braves tickets unlv rebels tickets Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsik...
-
Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye Pyar Nahin Hai Khel Priye, Tum MA 1st Division Ho, Main Hua Matric Phel Priye, Mushkil Hai Apna Mel Priye, Ye...
-
Movie: Agent Vinod (2012 film) Singers : Arijit Singh, Hamsika, Joi Music Director : Pritam Lyricist : Amitabh Bhattacharya Kehte ...
-
Tamil Movie 3Three Dhanush,Shruthi Hassan singing Kolavari Di Meaning of Kolavari Song:- Its a song of drunk boy who is asking his girlf...
-
Zehaal-e-miskeen makun taghaful, Duraye naina banaye batiyan. Do not overlook my misery, by blandishing your eyes and weaving tales, Ke ...

No comments:
Post a Comment