Thursday, September 8, 2011

Cry for Cry

1.   ab main ration ki kataRon mein naZar aata hooN
     apne khetoN se bichchaDne ki saza paata hooN

     itnee menhgaayee ke bazaar se kuch laata hooN
     apne bachchoN meiN us'se baanT ke sharmaata hooN

     apnee neendo ki lahoo pochne ki koshish meiN
     jaagte jaagte, thak jaata hooN so jaata hooN

     koi chaadar samaJh ke kheench na le fir se "Khaleel"
     maiN qafan oDh kar foot-paath pe so jaata hooN
 


2. aaj ke daur mein ae dost ye manjhar kyoon hai. zakhM har sar pe har ik haath meiN paththaR kyoon hai jab haqeeqat hai ke har zaRRe meiN tu rehta hai fir zamiN par kahiN masjid kahin mandir kyoon hai apna anjaam to maaloom hai sabko phir bhi apnee nazroN mein har insaan sikandar kyoon hai zindagi jeene ke qaabil hi nahiN ab "Faakir" warna har aaNkh meiN ashkoN ka samandar kyoon hai
3. maa sunao mujhe wo kahani jisMe raja na ho na ho raNi jo hamari tumhari katha ho jo sabhi ke hriday ki gatha ho gandh jisme ho apni dhara ki baat jisme na ho apsara ki ho na pariYan jahaN aasmaani wo kahani ko hasna sikha de pet ki bhookh ko bhi mita de jisme sach ki bhari chaandni ho jisme um'meed ki roshni ho jisme na ho kahani puraani
4. kabhi aansoo kabhi khushi bechi hum gariboN ne bekasi bechi chaNd saanse khareedne ke liye roz thoDi si zindagi bechi jab rulaane lage muJhe saayee maiNe uqta ke roshni bechi ek hum the ke bik gaye khud hi warna duniya ne dosthi bechi
5. apne chechre se jo zaahir hai chupaayeN kaise teri marzi ke mutaabik nazar aayeN kaise ghar sajaaNe ka tasawwur bahut baad ka hai pehle ye tay ho ke is ghar ko bachchayeN kaise kar kaha aankh ka bartaav badal deta hai hansNe waale tuJhe aaNsoo nazar aayeN kaise koi apnee hi nazar se to hume dekhega ek qatre ko samandar nazar aayeN kaise
6. mujh mein jo kuch achchha hai sab uska hai. mera jitna charcha hai sab uska hai uska mera rishta baDa puraana hai maiNe jo kuch socha hai sab uska hai meree aankheN uski noor se roshan hai maiNe jo kuch dekha hai sab uska hai maiNe jo kuch khoya tha sab uska tha maiNe jo kuch paaya hai sab uska hai jitnee baar maiN TooTa hooN wo TooTa tha idhar udhar jo bikhRa hai sab uska hai
7. wo rulakar hans na paya der taq jab maiN rokar mushkuraaya der taq bhoolna chaaha agar usko kabhi aur bhi wo yaad aaya der taq bhookhe bachchoN ki tasalli ke liye maa ne phir paani pakaya der taq gungunata jaa raha tha ik fakeer dhoop rehti hai na saaya der taq
8. lab pe aati hai dua banke tamanna meri zindagi shamma ki surat ho khuda ya meri ho mere dum se yuN hi mere watan ki zeenat jis taraH phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho meri parwaane ki surat ya rab iLm ki shamma se ho muJhko mohabbat ya rab ho mera kaam gariboN ki himaayat karNa dard mando se zaeefoN se mohabbat karNa mere allaah buraayee se bachchana muJhko nek jo raah ho uss reh pe chalaana muJhko

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts