Thursday, September 8, 2011

Rare Gems

Their Earliest Recordings


Doston,
       zehan ke kisi kone se jhaank rahee haiN kuch
    aisee ghazaleN jo aap hi nahiN, maiN bhee bhool 
    chuka hooN.
    Ho sakta hain app meiN se kuch logon ne inhe suna
    bhi na ho, kyoon ki ye HMV ka wo khazana hai jo aaj
    se pachhees saal pehle alag alag LPs par release 
    hua tha aur ab cassette or CD ki shaKl meiN aap
    tak pahuNch raha hai.
    Aaeeye unhi bhoolee bisri yaadoN ko awaaz deN aur
    sune' un ghazaloN ki gungunati aahaT.
   
    -Jagjit


1.  apna gham bhool gaye, teri jafa bhool gaye
    hum to har baat mohabbat ke siwa bhool gaye

    hum akele hi nahiN pyaar ke diwaane sanam
    aap bhi nazreN jhookaaneN ki adaa bhool gaye

    ab to socha hai ke daaman hi tera thaamenge
    haath jab humne uthaaye hain dua bhool gaye
  
    shuKr samjho ya ise apnee shikaayat samJho
    tumne wo dard diya hai ke dawa bhool gaye



2. aaNkh ko jaam samaJh baitha tha anJaane meiN saaqiya hosh kahaN tha tere diwaane meiN jaane kis baat ki unko hai shikaayat muJhse naam tak jinka nahiN hai mere afsaaNe meiN dil ke tukDoN se teri yaad ki khushboo na gayee hue maiN baaqi hai TooTe huye paimaanoN meiN dil-e-barbad meiN umeed ka aalaM kya hai TimTimathi huyee ik shamma hai veeraaNe meiN
3. ye kiska tassavvur hai, ye kiska fasaana hai jo ashK hain aansooN mein takbeeh ka daana hai aankhoN meiN nameeN si hai chup-chup se wo baithe haiN nazook si nighahON mein naazook sa fasaana hai ye ishK naheeN aasaaN itna to samaJh leeje ik aag ka dariyaa hai aur doob ke jaaNa hai ya wo the' khaFa humse, ya hum haiN khaFa unse kal unka zamaanaa tha, aj apna zamaana hai
4. muJhe de rahe haiN tasalliyaaN wo har ek tazaa payaam se kabhi aake manzir-e-aam par kabhi haT ke manzir-e-aam se na garaZ kisi se na waastha muJhe kaam apne hi kaam se tere zikR se, teri fikR se, teri yaad se, tere naam se mere saaqiya mere saaqiya tuJhe marhawa tuJhe marhawa tu pilaaye jaa tu pilaaye jaa isi chashm-e-jaam-wa-jaam se teri suboh aish hai kya bala tuJhe ae falaK jo ho hausla kabhi kar le aa ke mukaabala gham-e-hiJr-e-yaar ki shaam se
5. wo jo hum meiN tumme qaraar tha tumHe yaad ho ke na yaad ho wo hi aani waala nebaahta tumHe yaad ho ke na yaad ho wo naye gile wo shiKaayate wo maze-maze ki hikaayateN wo har ek baat pe roothna tumHe yaad ho ke na yaad ho koi baat aisi agar huyee jo tumhaare jee ko buree lagi to bayaaN se pehle hi bhoolna tumHe yaad ho ke na yaad ho jise aap ginte the aashnaa jise aap kehte the baawafaa main wohi hooN 'momin'-e-mubtila tumHe yaad ho ke na yaad ho
6. bus ke dushwaar hai har kaam ka aasaaN hona aadmee ko bhee muyassar naheeN insaaN hona kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba haay us zood_pashemaaN ka pashemaaN hona haif us chaar girah kapDe ki qismat 'GHalib' jis ki qismat meiN ho aashiq ka girebaaN hona
7. ab to ghabraake ye kehte haiN ke mar jaayenge mar ke bhee chaiN naa paaya to kidhar jaayenge laaye jo masth haiN turbat pe gulaabi aankheN aur agar kuch nahiN do phool to dhar jaayenge hum nahiN wo jo kareN khoon ka daawa tuJhse bal ke poochega khuda bhee to muKar jaayenge
8. kab se hooN kya bataaooN jahaan-e-kharaab meiN shab haaye hizr ko bhi rakhooN gar hisaab meiN taakhir na intezaar meiN neeNd aaye umr bhar aaNe ka 'ehed kar gaYe aaYe jo khwaaB meiN qaasid ke aate aate khat ik aur likh rakhooN main jaanta hooN jo wo liKhenge jawaab meiN
9. dil ko kya ho gaya khuda jaane kyoon hai aisa udaas kya jaane keh diya maiNe haal-e-dil apnaa isko tum jaano ya khuda jaane jaante-jaante hi jaanega muJhme kya hai abhi wo kya jaane tum na paaOge sada-dil muJhsa jo tagaful ko bhi hayaa jaane
10. shaheroN shaheroN aaj hai taNhaa dil par gehra daaG liye galiyoN galiyoN ho gaye ruswaa dil par gehra daaG liye aaj gulistaaN meiN failee hai khusboo teri yaadoN kee mausam-e-gul hai hum haiN tanha dil par gehra daaG liye rote dhote jee ko jalaate manzil-e-shab tak aa pahunche chere par hai gard-e-tamanna dil par gehra daaG liye DhoonDne unko shaher-e-buta meiN aaj gaye the' hum bhi 'Adeeb' aankh meiN lekar gum ka dariyaa dil par gehra daaG liye
11. fir kuchch is dil ko beqaraaree hai seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai fir jigar khodane laga naaKHun aamad-e-fasl-e-laala_qaaree hai fir usee bewafaa pe marte haiN fir wohee zindagee hamaaree hai be_KHudee be_sabab naheeN 'GHalib' kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai
12. os pade bahaar par aag lage kanaar meiN tum jo nahiN kanaar meiN luTf hi kya bahaar meiN uspe kare khuda rahem gardish-e-rozgaar meiN apnee talaash choDkar jo hai talaasH-e-yaar meiN hum kahin jaane waale-e-ahed daaman-e-ishq choDkar zeest tere huzur meiN, maut tere dayaar meiN
13. ishq fana ka naam hai, ishq meiN zindagee na de jalwa-e-aaftaab ban, zarre meiN roshni na de shauq ko rehnuma bana jo ho chuka kabhi na de aag dabi huyee nikaal aag bujhi huyee na de tuJhko khuda ka waasta tu meri zindagee na de jiski sehar bhee shaam ho uski siyaah shabi na de
14. ajab apna haal hota jo wisaal-e-yaar hota kabhi jaan sadke hoti kabhi benisaar hota na maza hai dushmaNi meiN, no hai luTf dosthi meiN koi ghair-ghair hota koi yaar-yaar hota ye maza tha dillagi ka, ke baraabar aag lagti na tumhe qaraar hota na humeN qaraar hota tere waade par sitamgar abhi aur saBr karte agar apnee zindagee ka hume aitbaar hota
15. jab bhi aati hai teri yaad kabhi shaam ke baad aur baDh jaati hai afsoorda-dili shaam ke baad ab iraadoN pe bharosa hai na tauba pe yakeeN muJhko le jaa re kahan tashna_labi shaam ke baad yuN to har lamhaa teri yaad ka boJhal guzraa dil ko mehsooS hui teri kaMi shaam ke baad yuN to kuCh shaam se pehle bhi udaasi thee 'Adeeb' ab to kuCh aur baDhi dil ki laGi shaam ke baad
16. dhuaaN uTha thaa diwaaNe ke jalte ghar se saari raat lekiN wo khaamOsh rahe duniya ke Dar se saari raat raat yuN jalte dil par teri yaadoN ki barsaat huyee jaise ik pyaase ki chitha par barkha barse saari raat saari raat to sapNe dekhe subah ko ye mehsoos hua humNe apna sar Takraaya ik pathhar se saari raat
17. patha-patha booTa-booTa haal hamaara jaane hai jaane na jaane gul hi na jaane baag to saara jaane hai chaara gareebi maariye dil ki rasm-e-shehar-e-husn naheeN warna dilbar ae' naadaaN bhi is dard ka chaara jaane hai mehar-o-wafa-o-lutf-o-inaayat ek se waakif inmeiN nahiN aur to sab kuCh tanz-o-kinaaye ranjo ishaara jaane hai
18. uski hasrat hai jise dil se miTa bhee na sakooN dhoonDne usko chala hooN jise paa bhee na sakooN meharbaaN hoke bula lo muJhe chaaho jis waqt maiN gaya waqt naheeN hooN ke fir aa bhee na sakooN daal kar kHaak mere khooN pe qaaTil nikaah kuCh ye meHndi naheeN meri ke chupaa bhi na sakooN zauf meiN taa maye agiyaar ka shikwaa kya hai baat kuCh sar to naheeN hai ke utha bhee na sakooN zabt kambakht ne aur aake gala ghonTa hai ke use' haal sunawooN to suna bhee na sakooN zaher milta hee nahiN muJhko sitamgar warna kya kasam hai tere milne ki ke khaa bhee na sakooN uske pehlooN meiN jo le jaake sulaa dooN dil ko neeNd aisi use' aaye ke jagaa bhee na sakooN

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts