Thursday, September 8, 2011

Jaam Utha

1.   maan mausam ka kaha chaayi ghaTa jaam utha
     aag se aag buJha phool khila jaam utha

     yeh mere yaar tujhe uski kasam detha hoon
     bhool ja shikwa gila haath mila jaam utha

     ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyoN jaisa
     der kya karna yahaaN haath badHa jaam utha

     pyaar hi pyaar hai sab log baraabar hai yahan
     maikade mein koi choTa na bada jaam utha
   

2. nazar nazar se milakaR sharaab peete haiN hum unko paas biThakar sharaab peete haiN isi liye to andhera hai maikade meiN bahut yahan gharoN ko jalaakar sharaab peete haiN hume tumhare siwa kuch nazar nahiN aata tumhe nazar meiN sazakar sharaab peete haiN unHi ke his'se meiN aati hai pyaas hi aksar jo doosroN ko pilaakar sharaab peete haiN
3. Jhoom ke jab rindO ne pilaa dee sheikh ne chupke chupke dua dee ek kamee thee taj mahal meiN humne teri tasveer laga dee aapne jhooTa waada karke aaj hamaRi umr baDha dee teri galee meiN sazde karke humne ibaadat-gaah bana dee
4. tere nisaar saqiya jitni piyoo pilaaye jaa mast nazar ka waasta mast muJhe banaaye jaa tuJhko kisi se marz kya bijli kahiN giraaye jaa dil jale ya zigar jale tu yun hi mushkuraaye jaa saamne mere aa ke dekh rookh se naqaab haTa ke dekh khilman-e-dil hai muntazir barKe nazar giraaye jaa wafa-e-badnaseeb ko baksha hai tune dard jo hai koi iski bhi dawa itna zara bataaye jaa
5. ye peene waale bahut hi ajeeb hote haiN jahaN se door ye khud ke kareeb hote haiN kisi ko pyaar mile aur kisi ko ruswaayee mohabbatoN ke safar bhi ajeeb hote haiN mila kisi ko hai kya sochiye ameeree se diloN ke shaah to aksar gareeb hote haiN yahaN ke logoN ki hai khaasiyat ye sabse baDi habeeb lagte hain lekiN raqeeb hote haiN
6. na keh saaqi bahaar aane ke din haiN zigar ke daaG chil jaane ke din haiN ada see khooB adaa aane ke din haiN abHi to door sharmaane ke din haiN garebaaN DhoonDte hain haath mere chaman meiN phool khil jaane ke din haiN tumhe raaz-e-mohabbat kya bataayeN tumhare khelne khaane ke din haiN ghaTaayeN oondi oondi keh rahi hai maye angoor khichwaane ke din haiN
7. aap aaye janaab barsoN meiN humne pee hai sharaaB barsoN meiN phir se dil kee kali khilee apni phir se dekha sabaaB barsoN meiN tum kahaN the' kahaN rahe saahiB aaj hoga hisaaB barsoN meiN pehle naadaaN the' ab huye daaNa unko aaya adaaB barsoN meiN isi um'meed pe' maiN zinda hooN kya wo denge jawaaB barsoN meiN
8. mere kareeb na aaO ke maiN sharaabi hooN mera shavoo na jagaaO ke maiN sharaabi hooN zamaaNe bhar ke nigaahoN se gir chuka hooN maiN nazar se tum na giraaO ke maiN sharaabi hooN ye aRz karta hooN gir kar khulush waaloN se uTha sakO to uthaaO ke maiN sharaabi hooN tumhari aaNkh se bhar looN suroor aaNkhoN meiN nazar nazar se milaaO ke maiN sharaab hooN

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts