Thursday, September 8, 2011

Passion / Black Magic

1.     pathaR ke kHuda, pathar ke sanam
       pathaR ke hi insaaN paayeN haiN
       tum sehre-e-mohabbat kehte Ho
       Hum jaaN bachcha-kar aayeN haiN

       but-khaaNa samajhte Ho jisko
       puchcho na wahan kyaa haalat hai
       Hum loG wahin se lauTe haiN
       bas shukr karO lauT aaye haiN

       Hum sonch raHeN haiN muddat se
       ab umR guzaareN bhi to kaHaN
       sehra meiN khusHi ke Phool nahiN
       shehroN meiN gamon ke Saaye haiN

       hoThoN pe tabassuM halqa sa
       aankhoN meiN nami si a'e Faaqir
       Hum aehle-e-mohabbat par aksar
       aise bhi zamaaNe  aaye haiN
       


2. jaB bHi tanhaaYee se ghabraaKe simaT jaate haiN Hum teri yaaD ke daaman se lipaT jaate haiN unpe thoofaN ko bhi afSoS hua karta hai wo safine jo kinaroN pe ulaT jaate haiN Hum to aaye the' raheN saaKh meiN phooloN ki tarah tum agar haar samajhte ho to haT jaate haiN
3. jaWaani ke heele, haya ke baHaane Ye maana ke tum mujhse parda karOgi Ye duniyaN magar tuJhsee bHolee nahiN hai chupaake mohabbat ko rusWa karogee baDi koshishoN se, baDi kHwaahishoN se taMaNNa ke seHmi hui saaJishoN se mileGa jo mauka to be-chain hokar darichoN se tum mujhko dekha kaRoGi sataayeGi jaB chaandni ki udaasi duKhaayeGi dil jab fiZaa ki khamosHi ufaQ ki taraH khaali nazareN jamaakar kabHi jo na socha wo socha karoGi kabhi dil ki dhaDkan mehsoos hoGi kabhi thanDi saaSoN ki thooFaaN uTheGi kabhi Gir ke bishtar pe aaHeN bharoGi kabhi jHuK ke takiye pe roYa karogi
4. Ye kya JaaNe mein Jaana hai, jaate ho khafaa hoKaR Main jab jaanooN, mere dil se chale-jaao juda hoKaR qayaamat taak uDegi dil se uThkar khaaq aankhoN taq isee raste gaya hai hasratoN ka kaafila hoKaR tumHi ab dard-e-dil ke naaM se ghaBraaYe jaate ho tumHi to dil meiN shaayad Aaye the' dard-e-aashiYaN hoKaR yooNhi hamdam ghaDi bhar ko mila karte tho behtaR tha ke dono waqt jaise roz milte haiN juda hoKaR
5. maiN pilaakaR aapka kya jaaYeGa jaaYega eemaaN jiska jaaYeGa dekHkar mujhKo wo sharmaa jaaYeGa Ye tamaasHa kis-se dekha jaaYeGa jaaooN buth-khaane se kyoon kaabe ko maiN haaTh se ye bhi Thikaana jaaYeGa qaTl ki jab usne di dhamKi mujHe keH diya maiNe bhi deKha jaaYeGa pee bhi le do ghooNt zaahiD pee bhi le maiqade se kaun pyaasa jaaYeGa
6. hai ikhtiyaar mein tere to mauJ sa kar de wo shakhs mera nahiN hai usse mera kar de mere kHizaN kahiN kahtM hi nahiN hota zara see door ro rasta hara bhara kar de maiN uske shor ko dekhooN wo mera sab .... muJhe charag bana de usse haWa kar de aKeli shaam bahut hi udaaS karti hai kisiko bHeJ, koi mera hum-nawa kar de
7. Ye bhi Kya ehsaaN kam hai dekhiye na aap ka ho raha hai har taraF charcha humara aap ka chaanD meiN to daaG hai par aape mein wo bhi nahiN chaudHwi ke chaanD se baDhke hai chechra aap ka isHq meiN aise bhi hum dooBe huye haiN aap-ke apne chechRe pe sada hota hai dhoKha aap ka chaanD-suraJ, dhoop-subaHah, keh-kasHa taare-shama haR ujaale ne churaaYa hai uJaala aap ka
8. agar hum kaheN aur wo mushkura deiN Hum unke liye zindgaaNi luTa deiN har ik mod par Hum gamoN ko sazaa deiN chalO zindaGi ko mohabbat bana deiN aGar khud ko bhoole to kuch bhi na bhoole ke chaahat meiN unkee khuda ko bhula deiN kabHi gam kee aandhee jinHeN choo na paaye wafa ke Hum wo nashe-Man bana deiN qayaamat ke deewaane kehte haiN humse chalO unke chehRe se parda haTa deiN saza de silaa de, bana de miTaa de maGar wo koi fiaslaa to sunaa de

No comments:

Vertical Bar

c6284600b2c4504c4700725ae468c08f7f18e548a102af1d31
Freelance Jobs

Popular Posts